Hum Milad Wale Lyrics | Rabiul Awal Kalam
NaatKhwan: Sajid Qadri
Salle Ala Nabiye-Na Salle Ala Mohammadin
Salle Ala Shafiye-Na Salle Ala Mohammadin
Sadiyon Se Jo Karte Hain Wohi Kaam Karenge
Is Saal Bhi Hum Shaan Se Meelad Karenge.
Gar Shaan Se Jeena Hai To Milad Hai Karna
Utha Ke Sar Chalna Hai To Milad Hai Karna.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Milad Pe Jauñ Sadqe Waari
Poori karange zimmedari,
Sunni Karenge Khoob Tayaari
Jashn e Nabi Hai Shaan hamari.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Har Dard Meiñ Makhlook Ki Imdad Karenge
Aise Bhi Nabi Paak Ka Milad Karenge,
Miladi Hi Mushkil Meiñ Madadgar Rahe Haiñ
Kaam Aa Ke Ghareeboñ Ke Yuñ Dil Shaad Karenge.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Kaho Na, Marhaba, Marhabaaa… Marhaba.
Paidayish-e-Sarkar Pe Jannat Ko Sajaya
Ye Lauh-o-Qalam Arz-o-Falak Khoob Sajaya,
Aaqa Ki Wiladat Pe Betoñ Se Nawaza
Ye Dekh Ke Shaitan Ne Phir Munh Kyuñ banaaya!
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Milad Wale Hum Milad Wale Hum
Sub’ho Taiba Mein Hui BaTta Hai Baada Noor Ka
Sadqa Lene Noor Ka Aaya Hai Taara Noor Ka.
Bhaag-e-Taiba Mein Suhana Phool Phoola Noor Ka
Mast-e-Boo Haiñ Bulbuleñ Padhti Hain Kalma Noor Ka.
Baarahweeñ Ke Chaand Ka Sajda Hai Mujra Noor Ka
Baarah Burjoñ Se Jhuka EK Ik Sitaara Noor Ka.
Unke Qasr-e-Qadr Se Khuld Ek Kamra Noor Ka
Sidra Paayiñ Baagh Mein Nanha Sa Paudha Noor Ka.
Maiñ Gada Tu Baadshah Bhar De Piyala Noor Ka
Noor Din Doona Tera De Daal Sadqa Noor Ka.
Teri Nasl-e-Paak Mein Hai Bachcha Bachcha Noor Ka
Tu Hai Ain-e-Noor Tera Sab Gharana Noor Ka.
Ay ‘Raza’ Ye Ahmad-e-Noori Ka Faiz-e-Noor Hai
Ho Gayi Meri Ghazal Badh Kar Qaseeda Noor Ka.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Aao Ke Chuneñ Nabiyoñ Ke Sultan Ka Rasta
Jannat Ka Hai Rasta Yahi Ehsaan Ka Rasta,
Ashaab-e-Nabi Aal-e-Nabi Dono Ka Naukar
Kaise Main Bhala Chhod Dooñ Qur’aan Ka Rasta.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Kaho Na, Marhaba, Marhabaaa… Marhaba.
Milad Pe Jauñ Sadqe Waari
Poori karange zimmedari,
Sunni Karenge Khoob Tayaari
Jashn e Nabi Hai Shaan Hamari.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Jhaalar Pe Sunniyoñ Ke Haiñ Jo Chañd Sitare
Ushhaq-e-Muhammad ﷺ Haiñ Bane Dil Ke Sahare.
Hum Dhoodte Rahte Haiñ Mahaafil Meiñ Nabi Ki
Inke Bina To Hote Nahi Apne Guzaare.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Milad Wale Hum Milad Wale Hum.
Allah Ki Us Khaas Inyat Ki Khushi Hai
Sarkar e Muhammad ﷺ Ki Wiladat Ki Khushi Hai,
Kyuñ PhooTti Haiñ Khushiyañ Ye Aasaar Haiñ Kis Ke
Wallah! Mere Maula Ki Rahmat Ki Khushi Hai.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Milad Pe Jauñ Sadqe Waari
Poori karange zimmedari,
Sunni Karenge Khoob Tayaari
Jashn e Nabi Hai Shaan Hamari.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Aao To Kareñ Un Lab-o-Rukhsar Ki Baateñ
Milad Ki Baateñ Mere Sarkar Ki Baateñ
Makke Meiñ Jo Utreeñ, Kareñ Anwaar Ki Baateñ
Ghar Aamina Ke Utreeñ Firishtoñ Ki Qitaareñ
Lamhaat-e-Wiladat Shah-e-Abrar Ki Baateñ.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Kaho Na, Marhaba, Marhabaaa… Marhaba.
Milade Nabi Dekha Hai Duniya Mein ‘Ujagar’
Har Samt Chamakte Haiñ Muhammad ﷺ Ke Sanaagar,
Aaqa Ki Wiladat Mein Jo Karte Raheñ Khushiyañ
Sarkar Ghulamoñ Se Khush Hote Hain Barabar.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Milad Pe Jauñ Sadqe Waari
Poori karange zimmedari,
Sunni Karenge Khoob Tayaari
Jashn e Nabi Hai Shaan Hamari.
Kaho Na, Kaho Na, Kaho Milad Wale Ham.
Milad Wale Hum Milad Wale Hum.
Our Pages
Naat-E-Paak
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar