Haq Nama Lyrics – Muhammad Samie

Haq Nama Lyrics

Haañ!
Daulat na, jaah-o-mansab, na jism jaavedañ hai.
Zaat-e-Bashar ki manzil bas shahr-e-khamoshañ hai.

Humne to yahi dekha duniya teri mehfil meiñ,
Jisko hai talab jitni, utna hi pareshañ hai!

 

Ye ishq ne dekha hai, ye aql se pinhañ hai,
Qatre meiñ samandar hai zarre meiñ bayabañ hai.

Ilm-ul-kitab tujhko aata hai agar waaiz
Kyuñ raaz-e-jahañ teri idraak se pinhañ hai!

 

Haañ!
Sau baar tera daaman haathoñ meiñ mire aaya,
Jab aañkh khuli dekha, apna hi girebañ hai!

Tumne jo basaarat di, humne tabhi pahchana
Hum jisko khuda samjhe ik banda-e-yazdañ hai!

 

“Kun” se to nahi chalte insañ ke kaarkhane
Tadbeer se Amal se bante haiñ sab zamaane.

Hai inqalaab laazim Fikr-o-Amal meiñ warna
Haiwañ meiñ aur bashar meiñ, kuchh farq hi kahañ hai.

 

Haañ!
Daulat na jaah-o-mansab, na jism jaavedañ hai.

Zaat-e-Bashar ki manzil bas shahr-e-khamoshañ hai.

Haq Nama Lyrics Haq Nama Lyrics


Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali