Hame Ghous-ul-Wara Ki Shaan-o-Shaukat Lyrics

Hame Ghous-ul-Wara Ki Shaan-o-Shaukat Yaad Aati Hai Lyrics in Urdu and English | ہمیں غوث الوری کی شان و شوکت یادآتی ہے


Hame Ghous-ul-Wara Ki Shaan-o-Shaukat Yaad Aati Hai

ہمیں غوث الوری کی شان و شوکت یادآتی ہے
شہِ بغداد کی بـے مثل سیرت یاد آتی ہے
Hame Ghous-ul-Wara Ki Shaan-o-Shaukat Yaad Aati Hai
Shah-e-Baghdad Ki Be-Misl Seerat Yaad Aati Hai.

 

حسَن کا حُسن پایا اور حُسینِ پاک کی سیرت
اُنھیں دیکھو تو دونوں کی وجاہت یادآتی ہںے
Hasan Ka Husn Paya Aur Hussain-e-Paak Ki Seerat
Unheñ Dekho To Donoñ Ki Wajaahat Yaad Aati Hai.

 

صحابی، تابعی کے بعد ہر رتبہ اُنھیں حاصل
مچل جاتا ہںے دل، جب اُنکی عظمت یاد آتی ہںے
Sahabi, Taabayi Ke Baad Har Rutba Unheñ Hasil
Machal Jata Hai Dil, Jab Unki Azmat Yaad Aati Hai.

 

نبی کا ہاتھ اُن پر، اور اُنکا سارے عالَم پر
شہ جیلاں کی یہ شانِ نیابت یاد آتی ہے
Nabi Ka Haath Un Par, Aur Unka Saare Aalam Par
Shahe Jeelañ Ki Ye Shaan-e-Niyaabat Yaad Aati Hai.

 

جِلایا آپ نے مُردوں کو لفظِ “قُم بِاِذنی” سے
ہمیں، مُردے جِلانے کی کرامت یاد آتی ہںے
Jilaaya Aap Ne Murdoñ Ko Lafz-e-“Qum Bi-izni” Se
Hameñ, Murde Jilane Ki Karamat Yaad Aati Hai.

 

وہ جب چاہیں، جہاں چاہیں، پہنچ جاتے ہیں لمحوں میں
گئے ستّر کے گھر ؛ ہمکو وہ دعوت یاد آتی ہںے
Wo Jab Chaaheñ, Jahañ Chaheñ, Pahoñch Jaate Haiñ Lamhoñ Meiñ
Gaye Sattar Ke Ghar, Humko Wo Da’awat Yaad Aati Hai.

 

عقیدت مند کو گرنے سے پہلے تھام لیتے ہیں
ہمیں انکی رسائ اور حمایت یاد آتی ہے
Aqeedat-Mand Ko Girne Se Pahle Thaam Lete Haiñ
Hameñ Unki Rasaayi Aur Himaayat Yaad Aati Hai.

 

نِکالی دریا سے بارات برسوں بعد بھی زندہ
خدا نے جو اُنھیں بخشی وہ قدرت یاد آتی ہںے
Nikaali Darya Se Baaraat Barsoñ Baad Bhi Zinda
Khuda Ne Jo Unheñ Bakhshi Wo Qudrat Yaad Aati Hai.

 

جمال ایسا کہ جس میں مصطفی کےحسن کا جلوہ
جلال ایسا کہ فاروقی عدالت یاد آتی ہںے
Jamal Aisa, Ke Jis Meiñ Mustafa Ke Husn Ka Jalwa
Jalaal Aisa Ke Faarooqi Adaalat Yaad Aati Hai.

 

صداقت میں، وہ اپنے وقت کے صدیق اکبر ہیں
شجاعت دیکھ کر حیدر کی جرأت یاد آتی ہںے
Sadaqat Meiñ Wo Apne Waqt Ke Farooq-e-Akbar Haiñ
Shuja’at Dekh Kar Haider Ki Jurrat Yaad Aati Hai.

 

کرم ایسا، کہ دیدیں چور کو ابدال کا منصب
عطا ایسی کہ عثماں کی سخاوت یاد آتی ہںے
Karam Aisa, Ke Dedeñ Chor Ko Abdaal Ka Mansab
A’ta Aisi Ke Usmañ Ki Sakhawat Yaad Aati Hai.

 

کیا بـےخوف اپنوں کو “مُرِیدِی لاَ تَخَف” کہکر
“عَزُومٌ قَاتِلٌ” سےاُنکی نصرت یاد آتی ہںے
Kiya Be Khauf Apnoñ Ko “Mureedi Laa-Takhaf” Keh Kar
“A’zoomun Qaatilun” Se Unki Nusrat Yaad Aati Hai.

 

فقط انساں ہی کیا، جِنّ و مَلَک بھی جس کو سنتے تھے
زبانِ حق بیاں کی وہ خطابت یاد آتی ہے
Faqat Insañ Hi Kya, Jinn-o-Malak Bhi Jis Ko Sunte The
Zabaan-e-Haq-Bayañ Ki Woh Khitaabat Yaad Aati Hai.

 

زمانہ سید الطرفین کے اعزاز پر قرباں
رسول اللہ سے انکی قرابت یاد آتی ہے
Zamana Sayyad-ul-Tarfain Ke Ezaz Par Qurbañ
Rasoolullah Se Unki Qaraabat Yaad Aati hai.

 

شہِ کونین کے نقش قدم پر ہے قدم اُن کا
ہمیں انکی قیادت اور امامت یاد آتی ہے
Shah-e-Kaunain Ke Naqsh-e-Qadam Par Hai Qadam Unka
Hameñ Unki Qayadat Aur Imamat Yaad Aati Hai.

 

وفا والے، محبت والے، اُن کا ذکر کرتے ہیں
ولی کے دشمنوں کو، کب وہ نعمت یاد آتی ہںے
Wafa Wale, Mohabbat Wale, Unka Zikr Karte Haiñ
Wali Ke Dushmanoñ Ko, Kab Wo Nemat Yaad Aati Hai.

 

چمک اُٹھّےدر و دیوار، سارا گھر مہک اُٹھّا
مرے گھر غوث کے آنے کی برکت یاد آتی ہںے
Chamak Utthe Dar-o-Deewar, Saara Ghar Mahak Uttha
Mere Ghar Ghous Ke Aane Ki Barkat Yaad Aati Hai.

 

ٹپکتی ہںے فریدی کے قلم سے غوث کی اُلفت
مَیں اُن کا ذکر کرتا ہوں عنایت یاد آتی ہںے
Tapakti Hai Freedi Ke Qalam Se Ghous Ki Ulfat
Maiñ Unka Zikr Katra Hooñ Inayat Yaad Aati Hai.


Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali