Hai pyari zaat hai aur naam pyara Lyrics

Hai pyari zaat hai aur naam pyara Fakhre Azhar ka Lyrics

 

है प्यारी ज़ात है और नाम प्यारा फख़रे अज़हर का
बुलन्दी पर हमेशा है सितारा फ़ख़रे अज़हर का

 

अरे ओ हासिदो ले लो अभी भी अक़्ल के नाखुन
ज़बान ए ग़ैर से लगता है नारा फ़ख़रे अज़हर का

 

निगाहे आला हज़रत में अगर गिरने से बचना है
अभी भी वक़्त है ले लो सहारा फ़ख़रे अज़हर का

 

हुज़ूर ए अस्जद ए मिल्लत को दुनिया देख कर बोली
है प्यारा अहले सुन्नत का दुलारा फ़ख़रे अज़हर का

 

अभी तक पादरी मुंह को छुपाए फिर रहा है क्यूं
भला क्या मुंह दिखाए वो है मारा फ़ख़रे अज़हर का

 

असद इक़बाल के दिल में मेरे मौला ये हसरत है
वो देखे ख्वाब में जल्वा दुबारा फ़ख़रे अज़हर का

 

Asad Iqbal Kalkattavi


Hai pyari zaat hai aur naam pyara fakhar e Azhar ka

bulandi per hamesha Hai Sitara fakhre Azhar ka

 

Are O! hasido le Lo abhi bhi aql ke nakhun

Zaban e Ghair se lagta hai Nara fakhre Azhar ka

 

Nigahe ala Hazrat mein agar girne Se bachna hai

Abhi bhi waqt hai le Lo Sahara fakhre Azhar ka

 

Huzoor e Asjad e millat Ko duniya dekh kar boli

Hai pyara ahle sunnat ka dulara fakhre Azhar ka

 

Abhi Tak padri muh Ko chhupaye Fir Raha Hai Kyun

Bhala kya muh dikhaye woh hai mara fakhre Azhar ka

 

Asad Iqbal Ke Dil mein mere maula yeh Hasrat Hai

Wo dekhe Khwab mein jalwa dobara fakhre Azhar ka


Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali