Gunaah gaar sahi ummat e rasool to hai naat lyrics
Gunaah gaar sahi ummat e rasool to hai naat lyrics
Shayar: Ajmal Sultanpuri | Naat e Paak
गुनाहगार सही उम्मते रसूल तो है
हज़ार कांटों के झुरमुट में एक फूल तो है
Gunaah gaar sahi ummate rasool to hai
Hazaar kaanto ke jhurmut me ek phool to hai
बशर से दूर सही साहेबे बशर तो नहीं
ये कहकशाँ क़दमें मुस्तफ़ा की धूल तो है
Bashar se door sahi sahebe bashar se nahi
Ye kahkasha(n) qadme mustafa ki dhool to hai
नबी की एक इहानत हज़ार कुफ्र की जड़
अगरचे लाख इबादत हो,ना क़बूल तो है
Nabi ki ek e-haanat hazaar kufr ki jad
Agarche laakh ibadat ho, na qabool to hai
बगै़रे हुब्बे नबी हैं सभी अमल बेकार
तमाम उम्र नमाज़ें पढ़ो फ़ुज़ूल तो है
Bagaire hubbe nabi hain sabhi amal bekaar
Tamaam umr namaze padho fuzool to hai
मेरी ज़मीं तेरी जन्नत से कम नहीं रिज़वाँ
यहां बहिश्त की जाँ रौज़ए रसूल तो है
Meri zami teri jannat se kam nahi rizwa(n)
Yha bahisht ki jaa(n) rouzaye rasool to hai
हुज़ूर रहमते आलम की बज़्म में अजमल
कलामे नात तेरा क़ाबिले क़बूल तो है
Huzoor rahate aalam ki bazm me Ajmal
Kalaame naat tera qaabiley qabool to hai
hindi and english naat lyrics
hindi and english naat lyrics
| Naat-E-Paak | Ajmal Sultanpuri | | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan | Khalid Mahmud Khalid |
| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan |
| Sufi Song | Khailash Kher |