Gesuon Ko Chehre Par Aap Ne Bakhera Hai Lyrics in Hindi and English गेसुओं को चेहरे पर आपने बिखेरा है ..
Qawwal : Nusrat Fateh Ali Khan
Shab-e Gham Ki Sahar Nahi Hoti
Ho Bhi To Mere Ghar Nahi Hoti
Zindagi Tu Hi Mukhtasar Ho Ja
Shab-e Gham Mukhtasar Nahi Hoti
शबे ग़म की सहर नहीं होती
हो भी तो मेरे घर नहीं होती
ज़िंदगी तू ही मुक्तसर हो जा
शबे गम मुक्तसर नहीं होती।
Lazzat-e Intezaar Leta Hooñ
Yun Shab-e Gham Guzaar Leta Hooñ
Jab Bhi Dasti Hai Mujhko Tanhaayi
Naam Tera Pukaar Leta Hooñ
लज़्ज़त ए इंतजार लेता हूं
यूं शबे ग़म गुज़ार लेता हूं
जब भी डसती है मुझको तन्हाई
नाम तेरा पुकार लेता हूं।
Kya Meri Baat Ka Yakeen Nahi
Koi Bhi Aap Sa Haseen Nahi
Be Jhijhak Dil Mein Tum Chale Aao
Is Makaañ Meiñ Koi Makeen Nahi
क्या मेरी बात का यक़ीन नहीं ?
कोई भी आप से हसीन नहीं !
बेझिझक दिल में तुम चले आओ
इस मकां में कोई मकीन नहीं।
Aap Aayeiñ Ghareeb Khaane Meiñ
Sach Toh Yeh Hai Mujhe Yakeen Nahi
Aapke Roo-e Yasmeeñ Ki Qasam
Chaañd Bhi Is Qadar Haseen Nahi
आप आएं ग़रीबख़ाने में सच तो ये है मुझे यक़ीन नहीं
आपके रूए यासमीं की क़सम चांद भी इस क़दर हसीन नहीं।
गेसूओं को चेहरे पर ..
Gesuon Ko Chehre Par ..
Gesuon Ko Chehre Par Aapne Bakhera Hai..
गेसूओं को चेहरे पर आपने बिखेरा है..
Gesuon Ko Chehre Par Aapne Bakhera Hai
Baadaloñ Ke Saaye Mein Chaañd Ka Basera Hai
गेसूओं को चेहरे पर आपने बिखेरा है
बादलों के साए में चांद का बसेरा है
Kya Ajab Jo Aise Meiñ ToD De Koi Tauba
Jaam Bhi Laba-Lab Hai Abr Bhi Ghanera Hai
क्या अजब जो ऐसे में तोड़ दे कोई तौबा
जाम भी लबालब है अब्र भी घनेरा है
Tu Bachaaye Jaa Daaman Main Na Baaz Aauñga
Mera Ishq Mera Hai Tera Husn Tera Hai
तू बचाए जा दामन मैं न बाज़ आऊंगा
मेरा इश्क़ मेरा है तेरा हुस्न तेरा है
Teri Zulf Se Dil Ko Yuñ Lagaow Hai Jaise
Teri Zulf Nagin Hai Mera Dil Sapera Hai
तेरी जुल्फ़ से दिल को यूं लगाव है जैसे
तेरी जुल्फ़ नागिन है मेरा दिल सपेरा है
Unki Zulf-e Barham Meiñ Aarizoñ Ko Kya Dekhuñ
Chaañd Paas Hai Lekin Door Tak Andhera Hai
उनकी जुल्फ़े बरहम में आरिज़ों को क्या देखूं
चांद पास है लेकिन दूर तक अंधेरा है
In Dino Mizaaj Ay Dost Is Tarah Hai Hasrat Ka
Dil Mein Gham Zamaane Ka Lab Pe Naam Tera Hai
इन दिनों मिज़ाज ऐ दोस्त इस तरह है हसरत का
दिल में ग़म ज़माने का लब पे नाम तेरा है
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
Well done
Shukriya Bhai
Yasneen ka matlab kya hai bhai
Yaasmeen ka matalab chameli ka phool
Jazakallah bhai