Eid Milne Aaja Tasneem Arif Lyrics Eid Milan Nazam
Kasim raza ko teri ho deed milne aaja
Tu eid milne aaja, tu eid milne aaja
Jab se juda huye ho tum la pata huye ho
Mahboob mere mujhse aise khafa huye ho
Ye sooni sooni baahein tumko pukarti hain
Aankhen tumhara har dam rasta niharti hain
Sadiyon pe bhari pal pal mera guzar raha hai
Har lamha chahaton ka toofan ubhar raha hai
Taron ko ginte ginte raaton ko kaatta hun
Yaadon me teri dil ki har baat baantta hun
Tanhayi ki ye raaten mujhko sata rahi hain
Aankhen firaq e gham ka dariya waha rahi hain
Tujhse bichhad ke jana kya dard e mohabbat hai
Har roz zindagi ka bas roz e qayamat hai
Khane ko daurte hain ye baam o dar makan ke
Be-noor lag rahe hain jalwe sabhi jahan ke
Chahat ki mit na jaye ummid milne aaja
Tu eid milne aaja, tu eid milne aaja
Tu eid milne aaja, tu eid milne aaja
Taqdeer ka sitam bhi palken bhigo raha hai
Daagh e mufarikat ko ashkon se dho raha hai
Betaab ye nazar hai betaab ye sama hai
Deedar tera kar le is dil ki ye sada hai
Zanjeer bandishon ki ab tor dekh aaja
Shaikwe gile hain job hi sab chhor dekh aa ja
Hai yaad wo tumhara panghat pe roz aana
Sakhiyon ki anjuman me chhup chhup ke muskurana
Naaz o ada se aanchal daanton tale dawana
Palken kabhi jhukana palken kabhi uthana
Girta hua dupatta bal kha ke thaam lena
Sharma ke haste haste maula ka naam lena
Dariya ka wo kinara tujhko bula raha hai
Furkat ka wo hamari maatam mana raha hai
Ab dil na koi kar le tajdeed milne aaja
Tu eid milne aaja, tu eid milne aaja
Tu eid milne aaja, tu eid milne aaja
Tu eid milne aaja, tu eid milne aaja
Nazar e jahan teri wo chhup chhup ke roz milna
Wo chand ki tarha se chhupna kabhi nikalna
Qasme jo ghayin tune kyun unko tor daala
Gardan ko chahaton ko tune maror daala
Pahlu me mere tera dil bekaraar karna
Saughat ulfaton ki mujh par nisaar karna
Haathon ka mere tere haathon ka aana dilwar
Ghabra ke tera fauran phir door jana dilwar
Apna banake tune begana kar diya hai
Tere sitam ne mujhko diwana kar diya hai
Teri ada ke qurban teri nazar ke sadqe
Jo tune de diya hai dard e jigar ke sadqe
Is dil ki khwahishon ka kirdar mar na jaye
Mere sanam tumhara beemar mar na jaye
Aankhon se rooth baithi hai neend milne aaja
Tu eid milne aaja, tu eid milne aaja
Tu eid milne aaja, tu eid milne aaja
Tu eid milne aaja, tu eid milne aaja
Gulshan mahak raha hai kya phool khil rahe hain
Sawan ka hai mahina sab log mil rahe hain
Baaghon me tere jhule khaali pade huye hain
Ab tak tumhare tewar kyunkar chhadhe huye hain
Gussa nahin hai achha gusse ko peena seekho
Mahboob is jahan me has has ke jeena seekho
Lo aa gaya hai ramzan rozon ka hai zamana
Jaari hai masjidon me qur’aan ka tarana
Roze rakhenge ham bhi dil malamal hoga
Tu saath me nahin hai itna malaal hoga
Sahri karunga tanha aftaar main karunga
Yaad e khuda se dil ko sarshaar main karunga
Le chand raat aayi ankhon me bhi nami hai
Har cheez hai yahan par bas teri ik kami hai
kasim raza kare kya tamheed milne aaja
Tu eid milne aaja, tu eid milne aaja
Tu eid milne aaja, tu eid milne aaja
Tu eid milne aaja, tu eid milne aaja
Fankar: Haji Tasneem Arif
Shayar: Kasim Raza Udaypuri Bijnor
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|