Dil Se Milad Hum Manaien ge Lyrics

Dil Se Milad Hum Manaien ge Lyrics By Ghulam Mustafa Qadri

 

Dil Se Milad Hum Manaien ge
Dil Dil Dil Se Milad Hum Manaien ge

 

Har Dukan Har Makan Saj Gaya Hai Aaj
Kya Zameen-o-Aasman Saj Gaya Hai Aaj
Ye Jahan Wo Jahan Saj Gaya Hai Aaj
Ye Makan La-Makan Saj Gaya Hai Aaj

Poore Dil Se Poori Duniya
Ham Sajaeinge
Ham Sajaeinge
Zindagi Bhar Jashne Aaqa
Ham Manayenge
Ham Manayenge
Poore Dil Se Poori Duniya
Ham Sajaeinge
Ham Sajaeinge

Hoñto Pe Mohabbat Ke Fasane Wohi Laaye
Allah Ki Rahmat Ke Khazane Wohi Laaye
Sakar Ne Makhlooq Pe Ahsaan Kiye Hain
Allah Ki Bakhshish Ke Bahane Wohi Laaye

Poore Dil Naal Sari Duniya
Asi Sajawange
Asi Sajawange

Sari Zindagi Jashne Aaqa
Asi Manawañge
Raj-Raj Manawañge

Poore Dil Se Poori Duniya
Ham Sajaeinge
Ham Sajaeinge
Zindagi Bhar Jashne Aaqa
Ham Manayenge
Ham Manayenge
Poore Dil Se Poori Duniya
Ham Sajaeinge
Ham Sajaeinge

 

Ghar Ghar Me Chiraghañ Karo Jhande Bhi Lagao
Wo Aa Gaye Sarkar Haiñ Jazbat Jagao
Halaat Hoñ Makhdoosh Ya Mahgayi Ke Aalam
Har Haal Me Sarkar Ka Milad Manao

Poora Dil Si Aakkhi Duniya
Ame Sajawana
Zindagi Bhar Jashne Aaqa
Ame Manawana

Poore Dil Se Poori Duniya
Ham Sajaeinge
Ham Sajaeinge
Zindagi Bhar Jashne Aaqa
Ham Manayenge
Ham Manayenge
Poore Dil Se Poori Duniya
Ham Sajaeinge
Ham Sajaeinge

 

Har Dukan Har Makan Saj Gaya Hai Aaj
Kya Zameen-o-Aasman Saj Gaya Hai Aaj
Ye Jahan Wo Jahan Saj Gaya Hai Aaj
Ye Makan La-Makan Saj Gaya Hai Aaj

 

(Aasman Ko Ham Apna Khaima Banaeinge
Suraj Ko Apna Parcham Banayenge
Waqt Ko Apna Ghoda Banayenge
Ham Daudte Raheñge Jab Tak Milad Ka Parcham Sari Duniya Me Na Lahra deñ
Ham Chain Se Baithne Wale Nahi Agar Ye Batil-e-Qubbateñ, Pahad Khod Bhi Daleñ ya Pahadoñ Ko Zindan Bhi Bana Dale Ham Apne Maqsad Se Peechhe Hatne Wale Nahi

Zindagi Bhar Apne Aaqa Ka Milad Manate Raheñge
Ye Zamiñ Bhi Miladi Hai, Ye Aasman Bhi
Miladi Hai
Are Ham Hi Nahi Ye Sara Jaha Miladi Hai. Are Agar Na Hote Muhammad ﷺ Zamiñ Na Hoti Zamañ Na Hota Maki Na Hote Makañ Na Hota, Chuni Na Hote, Chuna Na Hota,
Ye Sab Mere Nabi Ka Sadqa Hai, Jashne Milad Manane Ke liye Ham Aakhiri Had Tak Jayenge Khoon Ka Aakhiri Qatra Tak Baha Deñge.)

 

Taleem Karo Aam Zamane Ko Batao
Qur’aan Ki Tafseer Se Seeno Ko Sajao,
Islam Ke Farzando Zaroori To Yehi Hai
Har Haal Me Bachhoñ Ko Namazi Bhi Banao.

Poore Dil Naal Sari Duniya
Asi Sajawañge
Asi Sajawañge
Sari Zindagi Jashne Aaqa
Asi Manawañge
Raj-Raj Manawañge

Poore Dil Se Poori Duniya
Ham Sajaeinge
Ham Sajaeinge
Zindagi Bhar Jashne Aaqa
Ham Manayenge
Ham Manayenge
Poore Dil Se Poori Duniya
Ham Sajaeinge
Ham Sajaeinge

 

Zikre Nabi Sunane Ka Kuchh Sisila Bhi Ho
Seerat Pe Unki Chalne Ka Kuchh Hosla Bhi Ho,
Ye Soch Ho Ye Fikr ‘Ujagar’ Tamaam Umr
Aaqa Pe Jiyeñ Aur Mareñ Faisla Bhi Ho
(Bas Yehi Faisla Ho….)

Poora Dil Si Akkhi Duniya Ame Sajawañga
Zindagi Bhar Jashne Aaqa Ame Manawañga

 

Poore Dil Se Poori Duniya
Ham Sajaeinge
Ham Sajaeinge
Zindagi Bhar Jashne Aaqa
Ham Manayenge
Ham Manayenge
Poore Dil Se Poori Duniya
Ham Sajaeinge
Ham Sajaeinge

 

Har Dukan Har Makan Saj Gaya Hai Aaj
Kya Zameen-o-Aasman Saj Gaya Hai Aaj
Ye Jahan Wo Jahan Saj Gaya Hai Aaj
Ye Makan La-Makan Saj Gaya Hai Aaj

Poore Dil Se Poori Duniya
Ham Sajaeinge
Ham Sajaeinge
Zindagi Bhar Jashne Aaqa
Ham Manayenge
Ham Manayenge
Poore Dil Se Poori Duniya
Ham Sajaeinge
Ham Sajaeinge

Dil Se Milad Hum Manaien ge Lyrics

Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

More Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali         

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *