Dil-o-Jaan Tujh Par Fida Ghous-e-Azam Lyrics in Urdu and English | دل و جان تجھ پر فدا غوث اعظم
Kalam e Khalid Rumi
Dil-o-Jaan Tujh Par Fida Ghous-e-Azam
دل و جان تجھ پر فدا غوث اعظم
میرے رہبر و رہنما غوث اعظم
Dil-o-Jaan Tujh Par Fida Ghous-e-Azam
Mere RahbaroRehnuma Ghous-e-Azam.
سراپا کرم کی گھٹا غوث اعظم
محمد کے گھر کی ضیا غوث اعظم
Saraapa Karam Ki Ghata Ghous e Azam
Muhammad Ke Ghar Ki Zaya Ghous-e-Azam
علی، فاطمہ اور حسین و حسن کا
جہاں میں تو ہے دلربا غوث اعظم
Ali Fatima Aur Hussaino Hasan Ka
Jahañ Meiñ Tu Hai Dilruba Ghause Azam.
تیرا فیض جاری یہاں روز و شب ہے
نہیں بند راہ عطا غوث اعظم
Tera Faiz Jaari Yahañ Roz-o-Shab Hai
Nahi Band Raah-e-A’ta Ghous e Azam.
مصیبت کے ماروں کا تو آسرا ہے
غریبوں کے دکھ کی دوا غوث اعظم
Museebat Ke Maaroñ Ka Tu Aasra Hai
Ghareeboñ Ke Dukh Ki Dawa Ghous-e-Azam.
ملی دین و دنیا کی دولت تجھی سے
سبھی کا ہے تو پیشوا غوث اعظم
Mili Deen-o-Duniya Ki Daulat Tujhi Se
Sabhi Ka Hai Tu Peshwa Ghous-e-Azam.
سر بزم یہ تیری شان ﷲ ﷲ
کریں تجھ پہ رشک اولیا غوث اعظم
Sar-e-Bazm Ye Teri Shaan Allah Allah
Kareñ Tujh Pe Rashk Auliya Ghous-e-Azam.
مجھے بھیک کچھ تو پئے فاطمہ دے
میں ہوں تیرے در کا گدا غوث اعظم
Mujhe Bheek Kuchh To Paye Fatima De
Maiñ Hooñ Tere Dar Ka Gadaa Ghous e Azam.
ہوئے جس سے ظاہر ہیں وحدت کے جلوے
ہے وہ پرتو مصطفیٰ غوث اعظم
Hue Jis Se Zaahir Hain Wahdat Ke Jalwe
Hai Woh Partaw-e-Mustafa Ghous-e-Azam.
اٹھاؤں نہ سجدوں سے اپنی جبیں کو
ملے گر ترا نقش پا غوث اعظم
Uthauñ Na Sajdoñ Se Apni Jabeeñ Ko
Mile Gar Tera Naqsh-e-Paa Ghous e Azam.
حوادث کے ہاتھوں نہ ڈوبے سفینہ
مدد کو ذرا میری آ غوث اعظم
Hawaadis Ke Hathoñ Na Doobe Safina
Madad Ko Zara Meri Aa Ghous e Azam.
بڑھے ہاتھ رومی کا تیری طرف ہی
اسے اپنا منگتا بنا غوث اعظم
Badhe Haath Rumi Ka Teri Taraf Hi
Ise Apna Mangta Bana Ghous e Azam.
کــلام: خالــد رومــی
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar