Dard Seh Kar Bhi Tera Naam Liye jate Hain Lyrics in Urdu and English | درد سہہ کر بھی تیرا نام لیے جاتے ہیں | Arifana Kalam |
Kalaam: Fana Nizami Kanpuri
हिंदी में पढ़िए
درد سہہ کر بھی تیرا نام لیے جاتے ہیں
تیرے دیوانے تجھے یاد کیے جاتے ہیں
Dard Seh Kar Bhi Tera Naam Liye jate Hain
Tere Deewane Tujhe Yaad Kiye Jaate Hain
تو نوازے نا نوازے تیری مرضی جاناں
ھم تو سجدے تیری چوکھٹ پے کیے جاتے ہیں
Tu Nawaaze Na Nawaze Teri Marzi Janaañ
Ham to Sajde Teri Chaukhat Pe Kiye Jaate Hain
شکریا تیرا رفوگر مگر اتنا تو بتا
کیا محبت میں گریبان سیے جاتے ہیں
Shukriya Tera Rafugar Magar Itna To Bata
Kya Mohabbat Mein Girebaan Siye Jaate Hain
ایک ہم ہیں کے ہمیں کچھ بھی نہیں پاسِ وفا
ایک وہ ہیں کے کرم ہم پے کیے جاتے ہیں
Ek Ham Hain Ke Hameñ Kuchh Bhi Nahiñ Paas e Wafa
Ek Woh Hain Ke Karam Ham Pe Kiye Jaate Hain
ہم پرستارِمحبت ہیں ہمیں جام سے کیا
وہ پلاتے ہیں نگاہوں سے پیے جاتے ہیں
Ham Parastaar e Mohabbat Hain Hameñ Jaam Se Kya
Woh Pilaate Hain Nigaahoñ Se Piye Jaate Hain
جانے والے تیرے قدموں کے نشاں باقی ہیں
ہم تو سجدے اُنہی راہوں پے کیے جاتے ہیں
Jane Wale Tere Qadmoñ Ke Nishañ Baaqi Hain
Ham to Sajde Unhi Rahoñ Pe Kiye Jaate Hain
اے فنا عشق کا دستور تجھے کیا معلوم
عشق میں دل ہی نہیں سر بھی دیے جاتےہیں
Aye Fana Ishq Ka Dastoor Tujhe Kya Maaloom
Ishq Mein Dil Hi Nahin Sar Bhi Diye Jaate Hain
فنا نظامی کانپوری
Urdu, Hindi and English Lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
Related Post: