Dard Se Mere Hai Tujhko Beqarari Haay Haay!
Qawwal: Ustad Rahat Fateh Ali Khan
Poet: Mirza Asad-ullah Khañ ‘Ghalib’
दर्द से मेरे है तूझको हिंदी
Aa… Aa… Aa…
Dard ho dil mein to dawa keeje ×4
Dil hi jab dard ho to kya keeje ×2
Humko Faryad karni aati hai ×2
Aap sunte nahi to kya keeje ×2
Ranj uthaane se bhi khushi hogi ×2
Pahle Dil Dard aashna keeje ×2
Maut aati nahi kahiñ Ghalib ×2
Kab tak afsos zeest ka keeje!
Dard Se Mere Hai Tujhko Be-Qarari Haay-Haaye!
Dard Se Mere Hai Tujhko Be-Qarari Haay-Haaye!
Kya Huyi Zalim Teri..
Kya Huyi Zalim Teri Ghaflat-Sha’aari Haay-Haaye!
Dard Se Mere Hai Tujhko Be-Qarari Haay-Haaye!
Aa..
Dard Se Mere Hai Tujhko Be-Qarari Haay-Haaye!
Apni Hasti Hi Se Ho, Jo Kuchh Ho ×2
Aa-gahi Gar Na Sahi, Ghaflat Hi Sahi
Kya Huyi Zalim Teri Ghaflat-Sha’aari Haay-Haaye!
Dard Se Mere Hai Tujhko Be-Qarari Haay-Haaye!
Aa..
Dard Se Mere Hai Tujhko Be-Qarari Haay-Haaye!
Tere Dil Meiñ gar Na Tha Aashob-e-Gham Ka Hausla
Tere Dil Meiñ gar Na Tha Aashob-e-Gham Ka Hausla ×5
Tune Phir Kyuñ Ki Thi Meri
Tune Phir Kyuñ Ki Thi Meri Gham-Gusaari Haay-Haaye! ×2
Tune Phir Kyuñ Ki Thi Meri Gham-Gusaari
Aa.. ha.. Aa…..Ha……… Aa…..
Tune Phir Kyuñ Ki Thi Meri Gham-Gusaari Haay-Haaye!
Kyuñ Meri Gham-Khwargi Ka Tujhko Aaya Tha Khayal?
Kyuñ Meri Gham-Khwargi Ka Tujhko Aaya Tha Khayal? ×3
Dushmani Apni Thi, Meri Dost-Daari Haay-Haaye! ×2
Dushmani Apni Thi, Meri
(Sargam)
Dushmani Apni Thi, Meri Dost-Daari
(Sargam)
Dushmani Apni Thi, Meri Dost-Daari Haay-Haaye!
Umr Bhar Ka Tune Paimaan-e-Wafa Baañdha Tha Kyuñ
Umr Bhar Ka Tune Paimaan-e-Wafa Baañdha Tha Kyuñ ×3
Umr Ko Bhi To Nahi Hai..
Umr Ko Bhi To Nahi Hai Paa-e-Daari Haay-Haaye! ×2
Umr Ko Bhi To Nahi Hai Paa-e-Daari…Aa..
Umr Ko Bhi To Nahi Hai Paa-e-Daari…Aa..
Umr Ko Bhi To Nahi Hai Paa-e-Daari Haay-Haaye!
Zahr Lagti Hai Mujhe Aab-o-Hawa-e-Zindagi
Zahr Lagti Hai Mujhe Aab-o-Hawa-e-Zindagi ×3
Yaani Tujh Se Thi Ise..
Yaani Tujh Se Thi Ise Na-Saaz-gaari Haay-Haaye! ×2
Yaani Tujh Se Thi Ise..
Aa…
Yaani Tujh Se Thi Ise Na-Saaz-gaari
Yaani Tujh Se Thi Ise Na-Saaz-gaari Haay-Haaye!
Zindagi apni, jab is shakl se guzri Ghalib
Zindagi apni, jab is shakl se guzri Ghalib
Hum bhi kya yaad kareñge ke khuda rakhte the
Yaani Tujh Se Thi Ise Na-Saazdaari Haay-Haaye!
Aa….
Yaani Tujh Se Thi Ise Na-Saazdaari Haay-Haaye!
Gul Fashaniha-e-Naaz-e-Jalwa Ko Kya Ho Gaya
Gul Fashaniha-e-Naaz-e-Jalwa Ko Kya Ho Gaya ×4
Khak Par Hoti Teri
Khak Par Hoti Teri Laalah-Kaari Haay-Haaye!×2
Khak Par Hoti Teri
Aa…
Khak Par Hoti Teri Laalah-Kaari Haay-Haaye!
(Sargam)
Khak Par Hoti, Khak Par Hoti,
Khak Par Hoti Teri Laalah-Kaari Haay-Haaye!
Khak Par Hoti Teri
Aa…
Khak Par Hoti Teri Laalah-Kaari Haay-Haaye!
Sharm-e-Ruswaayi Se Kya Chhupna Naqaab-e-Khaak Meiñ
Sharm-e-Ruswaayi Se Kya Chhupna Naqaab-e-Khaak Meiñ ×3
Khatm Hai Ulfat Ki Tujh Par
Khatm Hai Ulfat Ki Tujh Par Parda-Daari Haay-Haaye! ×2
Khatm Hai Ulfat Ki Tujh Par
Aa…
Khatm Hai Ulfat Ki Tujh Par Parda-Daari Haay-Haay!
Aa…
Khatm Hai Ulfat Ki Tujh Par Parda-Daari Haay-Haaye!
Aa…
Khatm … Aa…
Khaak Meiñ Maanoos-e-Paimaan-e-Mohabbat Mil Gaye
Khaak Meiñ Maanoos-e-Paimaan-e-Mohabbat Mil Gaye ×3
Uth Gayi Duniya Se Raah-e-Rasm-o-Yaari Haay-Haaye! ×2
Aa…
Uth Gayi Duniya Se Raah-e-Rasm-o-Yaari Haay-Haaye!
Ishq Ne Pakda Na Tha, Ghalib Abhi Wahshat Ka Rang ×2
Ishq Mujhko Nahi, Ishq Mujhko… Nahi
Ishq Mujhko….. Nahi, Wahshat Hi Sahi
Meri Wahshat, Teri Shohrat Hi Sahi
Ishq Ne Pakda Na Tha, Ghalib Abhi Wahshat Ka Rang × 4
Rah Gaya Dil Meiñ, Jo Kuchh, Zauq-e-Khwari Haay-Haaye! ×2
Rah Gaya Dil Mein, Jo Kuchh
Aa…
Rah Gaya Dil Meiñ, Jo Kuchh, Zauq-e-Khwari Haay-Haaye!
Dard Se MereHai Tujhko Be-Qarari Haay-Haaye!
Kya Huyi Zalim Teri
Kya Huyi Zalim Teri Ghaflat-Sha’aari Haay-Haaye!
Dard Se Mere Hai Tujhko Be-Qarari Haay-Haaye!
DardSe Mere Hai Tujhko Be-Qarari Haay-Haaye!
Urdu, Hindi and English Lyrics
| Naat-E-Paak|
Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |