Daba Ke Chal Diye lyrics | Kabhi Kaha Na Kisi Se Lyrics | Na Chhed Aag Laga Doonga Lyrics
Qawwal : Aziz Mian
Shayar: Qamar Jalalvi, and others
Wo aa gaye to qalb ki taleef ho gai
Rukhsat Hue to phir wohi takleef ho gai
Mahshar Mein Ik sawal kiya tha Kareem ne
Mujhse wahañ bhi aapki tareef ho gai
Tum na maano magar haqeeqat hai
Ishq insaan ki zarurat hai
Unki Mahfil Mein baith kar dekho
Zindagi kitni khoobsurat hai
Shukriya aapki Inayat Ka gham ki Daulat Mujhe ata kar di
Tumne hañs hans ke ibtida ki thi maine ro ro ke Inteha kar di
Mujhme ye aib hai Aashiq bhi hun Saudai bhi
Unme ye wasf Hai Qaatil Bhi Hain Harjaayi bhi
Kabhi Kaha Na Kisi Se
Kabhi Kaha Na Kisi Se
Kis qayamat ke ye naame mere naam aate hain
Unke khat mein mujhe ghairoñ ke salam aate hain
Kabhi kaha na kisi se
Kabhi kaha na kisi se
Woh mere samne baitha tha ghair ko lekar
Kabhi kaha na kisi se
Kabhi kaha na kisi se
Raat ke waqt me piye Saath raqeeb ko liye
Kabhi kaha na kisi se
Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasane Ko
Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasane Ko
Are! Na Jaane Kaise Khabar Ho Gayi Zamane Ko
Na jaane kaise khabar ho gayi zamane ko
Na jaane kaise khabar ho gayi zamane ko
Unhen Apne dil ki khabrein
Mere Dil Se mil rahi theeñ!
Na jaane kaise khabar ho gayi zamane ko
Na jaane kaise khabar ho gayi zamane ko
Suna hai Ghair Ki Mehfil Mein Tum Na jaaoge
Kaho To Aaj Saja Looñ Gharib-khaane Ko
Bahaar Ja Chuki Daur-e Khizañ Hai Ay Sayyaad
Na Chhed Aag Laga Doonga Aashiyane Ko
Na chhed aag laga doonga ..
Na chhed aag laga doonga ..
Meri Har nazar hai jalva
Na chhed aag laga doonga ..
Na chhed aag laga doonga ..
Pani nahin manga hai
Jise maara Hai nazar se
Na chhed aag laga doonga ..
Na chhed aag laga doonga ..
Mataa-e dard o gham o Iztarab mujh mein hai
Tajalliyon ka mukammal jawab mujhme hai
Na chhed aag laga doonga ..
Na chhed aag laga doonga ..
Go Toor Kalim nahi na sahi
Main khaaki hoon le phook mujhe
Na chhed aag laga doonga ..
Na chhed aag laga doonga ..
Tan yak taraf, Sar yak taraf
Dil yak taraf, Jaañ yak taraf
Na chhed aag laga doonga ..
Na chhed aag laga doonga ..
Hijaab ko behijab kar de
Naqaab ko benaqab kar de
Qasam hai maasoomiyat ki tujhko
Nizaam e fitrat kharaab kar de
Wo kaif ki tarha se ulajhta hai
Jeib o daamaañ ki dhajjiyoñ se
Maiñ us junooñ ki talash mein hoon
Jo chaak tera Naqaab kar de
Ujaad de mere dil ki duniya
Mere sukooñ ko tabaah kar de
Magar meri Iltija hai tujhse
Meri taraf ek nigaah kar de
Ye parda-daari hai kya tamaasha
Mujhi mein rahkar mujhi se parda
Tabaah karna agar hai mujhko
Naqaab utha aur tabaah kar de
Na chhed aag laga doonga ..
Na chhed aag laga doonga ..
Ishq mein bekhudi ka asar dekh le
Shauk mein mahv hun kis qadar dekh le
Meri janib bhi o bekhabar dekh le
Dekh le dekh le ik nazar dekh le
Apni nazroñ Ka sadqa idhar dekh le
Qatlgah mein huñ Seena sipar dekh le
Hooñ jhukaye Hue Apna Sar dekh le
Hai shahadat Ki dhun Kis qadar dekh le
Fek kar apna teer e nazar dekh le
Aaj tu bhi hamaara jigar dekh le
Seena sipar hoon dekh le
Teer e nazar ka waar kar
Aa jaa nazar ke saamne
Gesu zara sawar kar
Adl o Qahar Teri Khushi
Rehm o karam talab meri
Achcha to chal yuñ hi sahi
Mere gunah shumaar kar
Lazzat e Aashiqui Hai Kya
Tu bhi to chakh kabhi maza
Aafiyat mein jalwe se
Khud ko kabhi shikaar kar
Mujhko to is jahaan mein
Sirf tujhi se ishq hai
Ya mera imtihaan le
Ya mera aitbaar kar
Na chhed aag laga doonga ..
Na chhed aag laga doonga ..
Mujhe de Na ghaib ki dhamkiyañ
Gireñ laakh baar ye bijliyañ
Na chhed aag laga doonga ..
Na chhed aag laga doonga aashiyane ko
Daba Ke Chal Diye Sab Qabr Mein Dua Na Salaam
Zara si der mein dekho..
Zara Si Der Mein Kya Ho Gaya Zamaane Ko
Daba ke chal diye..
Daba ke chal diye..
Padhi namaz janaaze ki meri ghairon ne
Marey thei Jin ke liye wo rahe wazoo karte
Daba ke chal diye..
Daba ke chal diye..
Marne wala qabar mein kya chain paye baad e dafn
Maut ne duniya se dono rukh dikhaye baad e dafn
Mutthiyoñ mein khaak lekar dost aaye baad e dafn
Zindagi bhar ki mohabbat ka sila dene lage
Daba ke chal diye.. Daba ke chal diye..
Daba ke chal diye.. Daba ke chal diye..
Ye aadmi.. Ye aadmi.. Ye aadmi.. Ye aadmi..
Aadami ka jism kya hai jis pe shaida hai jahan
Ek matthi ki imarat ek matthi ka makaañ
Khoon ka gaara banaa aur eeñt (brick) jismein haddiyañ
Chand sanson per khada hai ye khayaali aasman
Maut ki purzor aandhi jab isse takraayegi
Ye imarat toot ke phir khaak mein mil jayegi
Ye jo kuchh dekhta hai tu fareb e khwaab e hasti hai
Takhayyul ke karash mein hai balandi hai na pasti hai
Ajab duniya e hairat aalam e gor e gharibañ Hai
Ke veeraane ka veeraana hai aur basti ki basti hai
Wohi ham hain kabhi jo raat din phooloñ meiñ tulte thei
Wohi ham hain ke turbat chaar phooloñ ko tarasti hai
Daba ke chal diye.. Daba ke chal diye..
Daba ke chal diye.. Daba ke chal diye..
Kisi ke munh se na nikla hamare dafan ke Waqt
Ke inpe khaak na daalo ye hain nahaaye hue
Daba ke chal diye.. Daba ke chal diye..
Daba ke chal diye.. Daba ke chal diye..
Mujhe paida kiya to apni soorat ka kiya paida
Phir uske baad khud hi dekh kar khud ho gaya shaida
Farishtoñ ne kiya Aflaak par dekho mujhe sajda
Mere sar par jab *Neechaayelooñ* ka taaj rakha tha
(*Please suggest an edit 🙏🏻 or confirm it’s correctness in comment box)
Na samjho khaak ka putla
binaaye do jahañ main hoon
Muraqqe ko na dekho main nahi hoon
Kisi ka Aayina hai main nahin hoon
Wo mujhme bolta hai main nahi hoon
Tumheñ dhoka hua hai main nahin hoon
A’baa pahne hue matti ki moorat
Koi bairoopiya hai main nahin hoon
Ab admi kuchh aur hamari nazar mein hai
Jab se suna hai yaar libas-e bashar mein hai
Wo Fakhr-e Laila Maiñ Rashk-e Majnooñ
Ke yaar mujh mein, main yaar mein hoon
Wo mujh pe shaida main uspe maftooñ
Ke yaar mujh mein, main yaar mein hoon
Mita jo illa mein naqsh laa ka
khicha fana mein baqaa ka naqsha
Pukar utTha taroon e bairooñ
Ke yaar mujh mein, main yaar mein hoon
Aafaak ha gar deeda am
Mehr e Butaañ warzeeda am
Bis yaar khoobañ deeda am
Lekin tou cheeze deegari
Man Tou shudam, Tou man shudii
Man tan shudam Tou jaañ shudii
Taa kas na goyad baad azeeñ
Man deegaram Tou deegari
Ay Allah
Maine laa kaha main laa hua
Wo laa bhi usme laa hua
Juz laa hua, kul laa hua
Phir kya hua – Allah Hua!
Lekin jab main paida hua
Hindu na Musalman tha mai
Bait Taurait se
na waaqif e Qur’aan tha mai
Haan magar itna pata hai
Ke ik insaan tha main
Ay Allah
Main chala mandar ki jaanib
Dee brahman ne sada
Jaane wale aa idhar
dekh parabhu Ka Makañ
Main chala masjid ki jaanib
Dee Moazzin ne sada
Jane wale aa idhar
dekh moula ka makañ
Main kidhar jaaun
Main kahan jaaun
Ajab hai ye Tera dhandha
gharaj ye Isi kashmkash Mein
meri zindagi guzri
Baad marne ke maiyat per Meri
Laga Hai Mela
Koi kahta hai ke lakdi se jalao isko
Koi kahta hai ke matti mein dabaao isko
Ay Allah
Gharaz ye sabka mansha hai
Ke duniya se mitaao isko
Daba ke chal diye.. Daba ke chal diye..
Dabaa ke chal diye.. Dabaa ke chal diye..
Dabaa ke chal diye.. Dabaa ke chal diye..
Dabaa ke chal diye.. Daba ke chal diye..
–— Additional Verses—
Dua Bahaar Ki Maañgi To Itne Phool Khile
Kahiñ Jagah Na Rahi Mere Aashiyane Ko
Meri Lahad Pe Patañgoñ Ka Khoon Hota Hai
Huzur Shamma Na Laaya Kareñ Jalane Ko
Ab Aage Is Meiñ Tumhara Bhi Naam Aaega
Jo Hukm Ho To Yahiñ Chhod Dooñ Fasane Ko
‘Qamar’ Zara Bhi Nahiñ Tum Ko Ḳhauf-e Rusvayi
Chale Ho Chañdni Shab Meiñ Unheñ Bulane Ko
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
Mere sar par jab ” Inni jaaeelun ” ( انی جاعل Quran ki aik Ayat ki taraf ishara hai jis mein Allah Paak ney frishtoon sey farmaya tha k mein zameen mein apna khaleefa banaoon ga.) ka taaj rakha tha.
Bhai…koi matlab toh samjha do.