Bismillah Moula Rasool Allah Lyrics
Marhaba Ya Mustafa Salle Ala Salle Ala
Marhaba Marhaba Ya Nabi Ul Mala’him
Marhaba Marhaba Ya Nabi Ul Mala’him
Ya Abal Qasim Muhammad ﷺ Ibne Abdullah
NoorimMinnoorinllah
Noorim Minnoorinllah
Mahe-e-Milad Aaya Khushiyoñ Ka Kanz Laya
Har Ghar Pe Sabz Parcham Dekho Dekho Lahraya
Marhaba… Marhaba… Marhaba..
Shah-e-Khooba Bismillah
Jaane Jana Bismillah
Bismillah
Bismillah Mola Rasool Allah
Ya Habibi, Ya Muhammad, Ya Rasool Allah
Ya Imamul Ambiya Mola Rasool Allah
Sayyadul-Saqlain Imamul Qiblatain
Sayyadul-Saqlain Imamul Qiblatain
Saje Haiñ Aañgan Saje Nasheman Saje Haiñ Choubare
Khushi Manane Me Arsh Farshi Magan Huye Sare
Falak Se Utre Hoñ Jaise Goya Zamiñ Pe Tare
Bajayi Aaj Israfeel Ne PurKaif Shahnayi
Hui Fouj-e-Malayak Jam’aa Zere Charkh Beenayi
Nida Aayi Dareeche Khol Do Aiwan-e-Qudrat Ke
Nazare Khud Karegi Aaj Qudrat Shaan e Qudrat Ke
Sahaabe Noor Aa Kar Chha Gaya Makke Ki Wasti Par
Hui Phooloñ Ki Har Barish Balandi Aur Pasti Par
Hua Arshe Mo’alla Se Nuzoole Rahmat e Bari
To Istaqbal Ko Uthhi Haram Ki Char Deewari
Raqsañ Haiñ Maho Akhatar
Aaye Nabiyoñ Ke Sarwar
Marhaba… Marhaba… Marhaba
Arshi Mehmañ Bismillah
Farshi Sultañ Bismillah
Bismillah Moula Rasool Allah
Bismillah Moula Rasool Allah
Shamsudduha Marhaba
Badrudduja Marhaba
Sadrul Ula Noorul Huda Bismillah
Hai Jiski Khatir Bani Ye Duniya Nabi Wo Aate Haiñ
Khushi Ke Maare Falak Pe Tare Bhi Jhilmilate Haiñ
Firishte Aake Khuda Ke Ghar Pe Alam Lagate Haiñ
Haañ….
Noori Noori Hai Manzar,
Nazreiñ Haiñ Hairañ Shashdar
Marhaba Marhaba Marhaba
Noor e Rahmañ Bismillah
Zille Yazdañ Bismillah
Bismillah
Bismillah Moula Rasool Allah
Marhaba Marhaba Marhaba
Ya Habibi, Ya Muhammad, Ya Rasool Allah
Ya Imamul Ambiya Mola Rasool Allah
Sayyadul-Saqlain Imamul Qiblatain
Sayyadul-Saqlain Imamul Qiblatain
Khuda Ne Hakim Bana Ke Khadim Rasool Ko Bheja
Tajdare Khatme Nabuwat Zindabad Zindabad
Tajdare Khatme Nabuwat Zindabad Zindabad
Khuda Ne Hakim Bana Ke Khadim Rasool Ko Bheja
Dua-e-Hazrat Khalil Haiñ Ye Basharat-e-Isa
Har Ik Nabi Ne Sunaya Mujda Hai Unki Aamad Ka
Khalilullah Ne Jisky Liye Haq Se Duaeiñ Ki
Zabiullah Ne Waqte Zibha Jiski Iltijaeiñ Ki
Jo Bankar Roushni Phir Deeda-e-Yaqoob Me Aaya
Jise Yusuf Ne Apne Husn Ki NaiRang Me Paya
Wo Jiske Naam Se Daood Ne Naghma Sarayi Ki
Wo Jiski Yaad Me Shahe Sulemañ Ne Gadayi Ki
Dil-e-YahYah Me Armañ Rah Gaye Jiski Ziyarat Ke
Lab-e-Isa Pe Aayi Baat Jiski Shaan e Rahmat Ki
Awwal Se Bhi Awwal Haiñ
Aakhir Me Aane Wale
Marhaba Marhaba Marhaba
Nahre Tauba Bismillah
Shaahe Shaha Bismillah
Bismillah Mola Rasool Allah
Marhaba Marhaba Marhaba
Marhaba Marhaba Ya Nabi Ul Malahim
Marhaba Marhaba Ya Nabi Ul Malahim
Faqiho Jashne Nabi Manana Hai Khoon Me Shamil
Hai Aarzoo Ye Dili Ke Ghar Ghar Nabi Ki Ho Mahfil
Nabi Ki Naateiñ Raza Sunao Har Aan Har Ik Pal
Aaye Jab Waqte Aakhir Jaari Ho Apne Lab Par
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Rasool Allah
Jane Jana Bismillah
Shahe Khoobañ Bismillah
Bismillah
Bismillah Mola Rasool Allah
Ya Habibi, Ya Muhammad, Ya Rasool Allah
Ya Imamul Ambiya Mola Rasool Allah
Sadr-ul-Ula Marhaba
Noor-ul-Huda Marhaba
Recited by: Saleem Raza Qadri Rizvi
Poet: Faqeer Farid
Our Pages
Naat-E-Paak
More Rabiul Awwal Mutalliq Kalam
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar