Binte hawwa by sadiq hussain lyrics
Teri Ik Ik Ada Gouhr E Be-Masal
Tera Dil Marqaz E Ishq E Mahr o Wafa
Is Ki Taqdees O Hurmat Ka Ahsaas Kar
Teri Soorat Ki Qeemat Nahin Hai Koi
Saari Duniya Mile Tab Bhi Becha Na Kar
Ye Hawas Ke Pujari Hain Sarmayadaar
Noch Lete Hain Ye Qadr O Ismat Teri
Inse Naata Bhi Mahga Hai Tere Liye
Hey Hey Hey Hey Hey
Binte Hawwa Hawaon Ke Rukh Per Na Chal
Binte Hawwa Hawaon Ke Rukh Per Na Chal
Binte Hawwa Hawaon Ke Rukh Per Na Chal
Binte Hawwa Hawaon Ke Rukh Per Na Chal
Tu Ne Paala Hai Moosa Ko Darbar Me
Tere Aanchal Me Eesa Maseeha Pala
Tu Dati Jab To Beti Ali Ki Bani
Ek Lahja Tha Jo Tarz E Zainab Bani
Sham Ke Mahal Me Aisa Khutba Diya
Pahalwanoñ Ki Shamsheer Kund Ho Gayi
Gir Gaye Sab Ke Haathon Se Teer O Tabar
Sarey Haira.N Pareshan Darte Rahe
Hey Hey Hey Hey Hey
Binte Hawwa Hawaon Ke Rukh Per Na Chal
Binte Hawwa Hawaon Ke Rukh Per Na Chal
Mard Ki Ham Nawa Aur Maseeha Bhi Tu
Husn Me Hai Misaal E Zulaikha Bhi Tu
Tujhko Maaloom Hai Teri Qeemat Hai Kya
Aasma Cheer Sakti Hai Teri Sada
Tere Lab Se Ada Ho Jo Ik Bad’dua
Arsh Hil Jaye Ga, Din Thahar Jayega
Tujhpe Naza.N Hain Shabnam Kali Aur Gul
Kaanch Tere Tarnnum Se Ban Jaye Gil
Hey Hey
Binte Hawwa Hawaon Ke Rukh Per Na Chal
Binte Hawwa Hawaon Ke Rukh Per Na Chal
Mard o Zan Ki Adamat Nahi Hai Koi
Ye Bahas Hai Hamaqat Ki Laayi Huyi
Hai Taqaaza Mera Teri Aazadgi
Par Ye Ba-Raftgi Aur Ye Aawargi
Teri Ismat Kuchalti Chali Jayegi
Aise Aawaargi Se Kinara Rahe
Warna Hurmat Teri Tujhse Chhin Jayegi
Nasl E Aadam Zami.N Par Bikhar Jayegi
Hey Hey Hey Hey Hey
Binte Hawwa Hawaon Ke Rukh Per Na Chal
Binte Hawwa Hawaon Ke Rukh Per Na Chal
Binte Hawwa Hawaon Ke Rukh Per Na Chal
Binte Hawwa Hawaon Ke Rukh Per Na Chal
Voice : Sadiq Hussain
Lyrics: Syed Tahir Musavi
Binte hawwa by sadiq hussain lyrics hindi
तेरी इक इक अदा गौहर-ए-बे-मसल
तेरा दिल मरक़ज़-ए-इश्क़-ए-महर-ओ-वफ़ा
इसकी तक़दीस-ओ- हुरमत का एहसास कर
तेरी सूरत की क़ीमत नहीं है कोई
सारी दुनिया मिले तब भी बेचा ना कर
ये हवस के पुजारी हैं सरमायादार
नोच लेते हैं ये क़द्र-ओ-इस्मत तेरी
इन से नाता भी महंगा है तेरे लिए
हे हे हे हे हे
बिन्ते हव्वा हवाओं के रूख़ पर ना चल
बिन्ते हव्वा हवाओं के रूख़ पर ना चल
बिन्ते हव्वा हवाओं के रूख़ पर ना चल
बिन्ते हव्वा हवाओं के रूख़ पर ना चल
तू ने पाला है मूसा को दरबार में
तेरे आंचल में ईसा मसीहा पला
तू डटी जब तो बेटी अली की बनी
एक लहजा था जो तर्ज़-ए-ज़ैनब बनी
शाम के महल में ऐसा ख़ुत्बा दिया
पहलवानों की शमशीर खुद हो गई
गिर गए सब के हाथों से तीर-ओ-तबर
सारे हैरां-परेशां डरते रहे
हे हे हे हे हे
बिन्ते हव्वा हवाओं के रूख़ पर ना चल
बिन्ते हव्वा हवाओं के रूख़ पर ना चल
मर्द की हमनवा और मसीहा भी तू
हुस्न में है मिसाल-ए-ज़ुलैखा भी तू
तुझको मालूम है तेरी क़ीमत है क्या
आसमां चीर सकती है तेरी सदा
तेरे लब से अदा हो जो इक बद्दुआ
अर्श हिल जाएगा दिन ठहर जाएगा
तुझ पर नाज़ां हैं शबनम कली और गुल
कांच तेरे तरन्नुम से बन जाए गिल
हे हे हे
बिन्ते हव्वा हवाओं के रूख़ पर ना चल
बिन्ते हव्वा हवाओं के रूख़ पर ना चल
मर्दों ज़न की अदामत नहीं है कोई
ये बहस है हमाक़त की लाई हुई
है तक़ाज़ा मेरा तेरी आज़ादगी
पर ये बा-रफ़्तगी और ये आवारगी
तेरी इसमत कुचलती चली जाएगी
ऐसे आवारगी से किनारा रहे
वरना हुरमत तेरी तुझ से छीन जाएगी
नस्ले आदम ज़मीं पर बिखर जाएगी
हे हे हे हे हे
बिन्ते हव्वा हवाओं के रूख़ पर ना चल
बिन्ते हव्वा हवाओं के रूख़ पर ना चल
बिन्ते हव्वा हवाओं के रूख़ पर ना चल
बिन्ते हव्वा हवाओं के रूख़ पर ना चल
Our Pages
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi