Banaam e Hussain (AS) Lyrics | Muhammad Samie | Marsiya Muharram 2021|
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|
اُردو میں پڑھیے
Banaam e Hussain (AS) Lyrics
Yuñ Raqam Karta Hai Ik Raavi e Maghmoom o Hazeeñ
Ek Doolha Liye Jaata Tha Baraat Apni Kahiñ
Wahb e Kalbi Tha Laqab, Tha Woh Ghulam e Shah e Deeñ
Door Se Aayi Nazar Usko Jo Maqtal Ki Jameeñ
Dil Pe Shabbir (AS) Ke Giriya Ka Asar Hone Laga
Dekh Kar Ganj e Shaheedañ Ki Taraf Rone Laga
Ik Zamiñdar Khada Tha Yeh Kiya Usse Kalam
Kiski Yeh Fauj Hai Aur Kiske Yeh Laashe Haiñ Tamaam ?
Yeh Jo Zakhmi Hai Khada Laashoñ Mein Kya Uska Hi Naam ?
Ro Ke Woh Shakhs Pukara Ke Hai Rone Ka Maqaam
Haiñ Ye Jallad Jo Kheeñche Hue Shamsheereñ Haiñ
Aur Zehra (SA) Ke Muraqqe Ki Ye Tasvireñ Haiñ
Ye Jo Zakhmi Hai Khada, Khaata Hua Neiza o Teer
Hai Sakhi Ibn-e Sakhi Aur Ameer Ibn-e Ameer
Hai Yahi Teen Shab o Roz Ka Pyasa Shabbir (AS)
Ab Talak Sub’ha Se Loota Gaya Baagh-e Zahra (SA)
Ab Ye Be Rahm Bujhaate Hain Charaagh-e Zahra (SA)
Yuñ To Ik Zulm Se Ik Zulm Hua Shah Pe Siva
Teen Sadmoñ Mein Magar Zulm Ka Yaara Na Raha
Ik Jawañ Iska Bhateeja Tha, Hasan (AS) Ka Beta
Shab Ko Woh Doolha Bana, Sub’ho Shaheedoñ Meiñ Mila
Uske Marne Ki Khabar Shah Ne Jo Pahuñchaayi Thi
Maañ Dulhan Ko Liye Sar-Nañge Nikal Aayi Thi
Doosra Haadsa Ik Bhai Ba-Shakl e Safdar
Jab Se Woh Mar Gaya, Seedhi Nahi Hoti Hai Kamar
Ab Bhi Rota Hai Use Haaye Baraadar Kah Kar
Be-Kafan Laash Wo Uski Hai Padi Darya Par
Abhi Woh Laash Ajab Dard Se Tharrayi Thi
Bachchi Ik Haaye Chacha Kah Ke Jo Chillaayi Thi
Teesra Haadsa Maiñ Kya Kahooñ, PhaTta Hai Jigar !
Ik Jawañ Beta Tha At’Thaara Baras Ka Akbar (AS)
Barchhiyoñ Se Abhi Maara Gaya Woh Haaye Pisar
Haif Hai Dafn Hui Raat Ko Jiski Maadar !
Gham e Akbar (AS) Meiñ Usey Kya Kahooñ Kyuñkar Dekha
Sab Ne Maidaan Meiñ Laasha e Bahattar Dekha
You might also like:-
Manqabat Shahidan e Karbala | Noha Lyrics
- Al-salam Aye Tajdar e Karbala | अस्सलाम ऐ ताजदारे करबला
- Karbala me lutne wale Tajdaron Ko Salam | कर्बला मे लुटने वाले ताजदारों को सलाम
- Deeñ Ka Bharam Husain| दीं का भरम हुसैन
- Jaan e Rasool Quwwat e Khaibar Shikan Husain | जान ए रसूल कुव्वत ए
- Husain Ek Noor Hai | हुसैन एक नूर है
- Husain Jaisa Shaheed e Azam| حسین جیسا شہیدِ | हुसैन जैसा शहीदे
- Aye Chand Muharram Ke Tu Badli Mein Chala Ja | ऐ चांद मुहर्रम के तू
- Aaj Bhi Zainab Ki Aati Hai Sada Bhai Husaain | आज भी ज़ैनब की आती है सदा
- Raazi Taqdeer Utte Fatima Da Laal
- Hamare Hain Hussain
- Mahina Muharram da |مہینہ محرم دا
- Aap Par Salam Zainab |آپ پر سلام زینب
- Abal Fazl Lyrics by Mesum Abbas | ابو الفضل نوہا ۔
- Mere Baba Maiñ Karooñ Kya
- Mujhpe kyun band karte ho paani मुझ पे क्यों बंद करते हो पानी
- Shabbir Tera Maatam
- Bano Kahan Talash Kare
- Husn o Shabab rait par
- Abbas Ka Maula | अब्बास का मौला
Urdu, Hindi and English Lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hassan Akhtar