Balaghal Ula Be Kamalehi Naat by Ali Zafar

Balaghal Ula Be Kamalehi Naat Qawwali Lyrics

Singer : Ali Zafar

Balaghal ula be Kamalehi Naat Lyrics by Ali Zafar
Balaghal ula be Kamalehi Naat Lyrics by Ali Zafar

 

Ae khatam-e-rusool
Kabaa-e-maqsood tuyi
Dar soorat-e-har che hast maujood tuyi
Ayaat-e-kamaal-e-haq ayaañ ast ba-to
Aan zaat ke dar parda nihan bood tuyi

 

Suhani raat thi aur pur-sukoon zamaanaa tha
Asar mein dooba hua jazb-e-ashiqana tha
Unhein to arsh pe mahbub ko bulanaa tha
Hawas thi deed ki miraj to bahaana tha

 

Sar-e-la-makan se talab hui
Sar-e-la-makan se talab hui
Soo-e-muntaha woh chaale nabi

Sar-e-la-makan se talab hui
Soo-e-muntaha woh chaale nabi

 

Ye kamal-e-husn ka moa’jiza
Ke firaq haq bhi na seh saka

Sar-e-la-makan se talab hui
Soo-e-muntaha woh chaale nabi

 

Shab-e-meraj liya arsh-e-bareen par bulwaaye
Sadma-e-hijar khuda se bhi gavara na hua
na hua

Sar-e-la-makan se talab hui
Soo-e-muntaha woh chaale nabi

 

Sar-e-la-makan se talab hui
Soo-e-muntaha woh chaale nabi

Koi had hai unke urooj ki
Koi had hai unke urooj ki
Balaghal-ula-bi-kamaalihi

Koi had hai unke urooj ki
Balaghal-ula-bi-kamaalihi

 

Sar-e-la-makan se talab hui
Koi had hai unke urooj ki

 

Khair-ul-wara sadr-ud-duqa najm-ul-huda noor-ul-ula
Khair-ul-wara sadr-ud-duqa najm-ul-huda noor-ul-ula
Shams-ud-dua badr-ud-duja yaani muhammad mustafa

 

Koi had hai unke urooj ki
Koi had hai unke urooj ki

 

Jo gaya hai farsh se arsh tak
Woh buraq le gaya be-dhadak
Tabaq-e-zameen waraq-e-falak
Gaye niche paun se kul sarak

Latein zulf ki jo gayiñ latak
To jahaan sara gaya mahak
Huyiñ mast bulbuleñ is qadar
To ye ghunche bole chatak chatak

 

Koi had hai unke urooj ki
Koi had hai unke urooj ki

 

Rukh-e-mustafa ki ye roshni
Ye tajalliyoñ ki hamahami

Ke har eik cheez chamak uthi
Ke har eik cheez chamak uthi
Kashafad-duja bi-jamalihi

 

Koi had hai unke urooj ki
Koi had hai unke urooj ki
Balaghal-ula-be-kamaalihi

 

Na falak na chand tare na sahar na raat hoti
Na tera jamal hota na yeh kaaynaat hoti

Koi had hai unke urooj ki
Koi had hai unke urooj ki
Balaghal-ula-bi-kamaalihi

 

Ai mazhar-e-noor-e-khuda
Balaghal-ula-bi-kamaalihi

Maula ali muskil-kusha
Kashafad-duja bi-jamalihi

Hasnain jan-e-fatima
Hasunat jami o Khisalihi

Yaani muhammad-e-mustafa
Sallu alaihi wa aalihi
Sallu alaihi wa aalihi

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Our Pages

Shayar

Naat Khwan:

Qawwali         

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *