Baap Hi Tha Saaiban Lyrics By Tahir Hassan
Ae Sayeban Ae Meharban
Saye Me Ham Jiske Rahe
Ab Kahan Wo Sayeban
Zindagi Ki Dhoop Me Wo Baap Hi Tha Sayban
Yaad Aata Hai Bahot Wo Rahnuma, Wo Mehrban
Zindagi Ki Dhoop Me Wo Baap Hi Tha Sayban
Jiske Dum Se Rounqen Thi Chaar Su Gulzaar Me
Ham Chaman Ke Phool The Wo Chaman Ka Baghban
Raste Jab Purkhatar The Zindagi Dushwar Thi
Daur E Pur-Aashob Me Wo Tha Hamara Pasban
Doobti Saanson Me Thi Ik Fikr Apni Aal Ki
Waqt E Aakhir Ho Rahe The Ashk Aankhon Se Rawan
De Gaya Hai Umr Bhar Ki Mehnaton Ka Ye Sila
Rahnuma Ab Ban Gaye Hain Uske Qadmon Ke Nishan
Thi Kaha Parwaaz Tanha Zindagi Ki Raah Me
Jab Chala Le Kar Chala Ae Dosto Sara Jahan
Kar Rahe Hain Ye Duayen Mil Ke Sab Ahle Wafa
Saya-E-Rahmat Rakhen Tujh Par Zamin O Aasma
Jo Bhi Aaya Hai Jahan Me Laut Kar Wo Jayega
Ta-Qayaamat Ae Samar Chalta Rahega Karwan
Zindagi Ki Dhoop Me Wo Baap Hi Tha Sayeban
Baba.. Baba.. Baba.. Baba..
Voice: Tahir Hassan
father Related Kalam, manqabat lyrics 2022
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|