Aye Deen Ke Gaddar Bulaun Kya Ali Ko Lyrics
Ali To Ilm Duniya Me Barabar Baañt Deta Hai
Halaali Yaad Rakhta Hai Harami Bhool Jata Hai
Mola Ali Ali Ali Ali Ali
Mola Ali Ali Ali Ali Ali
Kalam e Rabbi Kalam Unka
Samajh Lo Is Se Maqaam Unka!!
Yahañ Se Lekar Wahañ Talak Sab
Hai Dekho Nijaam Unka!!
Wasila Apna Bana Ke Unko
Huye Jahannum Se Ham Bari!!
Paañch Nara Panjtan Ka
Ek Nara Haideri!!
Mola Ali Ali Ali Ali Ali
Mola Ali Ali Ali Ali Ali
Bana Lo Apna Muqaddar- Ali Ali Kah Ke
Bane Haiñ Kitne Qalandar- Ali Ali Kah Ke
Mola Ali Ali Ali Ali Ali
Mola Ali Ali Ali Ali Ali
Wo Aur Hoñge Jo Teero Kamaan Rakhte Hain
Ali Wale Hatheli Pe Jaan Rakhte Hain
Mola Ali Ali Ali Ali Ali
Mola Ali Ali Ali Ali Ali
(Lagta Hai Yehi Baat Zamane Ko Khali Hai
Har Mod Pe Hamara Madadgar Ali Hai)
Mola Ali Ali Ali Ali Ali
Mola Ali Ali Ali Ali Ali
Hussaini Aayega Jazwa Tumhare Bachhoñ Me
(Aye Khuda Ghar Se Jab Qadam Nikle
Karbala Jake Mera Dam Nikle
Apne Bachhoñ Ki Zindagi Maañgo
Jab Bhi Abbas Ka Alam Nikle)
Hussaini Aayega Jazwa Tumhare Bachhoñ Me
(Mola Abbas Ki Zulfon Ka Pasina Rakh Do
Saya e Hazrat e Abbas Rahega Us Par
Apni Beti Ka Agar Naam Sakina Rakh Do)
Hussaini Aayega Jazwa Tumhare Bachhoñ Me
Khilana Khwaja Ka Langar Ali Ali Kah Ke
Aye Mol Ali Ali Ali Ali Ali
Aye Mol Ali Ali Ali Ali Ali
Jab Karbala Ki Khaak Khyalon Me Aa Gayi
Sajdoñ Ki Qaynat Ujaloñ Me Aa Gayi
Dozakh Ali Ke Bughz Me Takseem Ho Gaya
Jannat Ali Ke Chahne Waloñ Me Aa Gayi
Aye Mol Ali Ali Ali Ali Ali
Aye Mol Ali Ali Ali Ali Ali
Allah Teri Rahmateñ Aisi Dhali Raheñ
Marne Ke Waqt Samne Mola Ali Raheñ
Mola Ali Ali Ali Ali Ali
Mola Ali Ali Ali Ali Ali
Hussain Haath Uthakar Jo Paani Kah Dete
(Qasam Allah Ki Rahmat Ke Wo Mañzar Nikle
Mere Mola Tere Bachhe To Tawangar Nikle
Aam Bachha To Nahin Fakhr e Jabiñ Hai Asghar
Ye Agar Adiyañ Ragde To Samander Nikle)
Hussain Haath Uthakar Jo Paani Kah Dete
To Chala Aata Samander Ali Ali Kah Ke
Aye Mola Ali Ali Ali Ali Ali
Aye Mola Ali Ali Ali Ali Ali
Na Aasmañ Na Kisi Shah Nashiñ Se Niklega
Ali Ke Ishq Ka Suraj Jabiñ Se Niklega
Ye Karbala Hai Ise Dekh Lo Jahañ Walo
Yazeediyat Ka Janaza Yehi Se Niklega
Aye Mol Ali Ali Ali Ali Ali
Aye Mol Ali Ali Ali Ali Ali
Aye Deen Ke Gaddar Bulauñ Kya Ali Ko
(Tu kya samajh Raha Hai Ke Sajda Bachayega
Nana Bachayenge Ya Nawasa Bachayega)
Aye Deen Ke Gaddar Bulauñ Kya Ali Ko
Kar Denge Tadipar Bulauñ Kya Ali Ko
Ik Baar Me Mit Jayega Har Baar Me Jhagda
Ali Baghair Kisi Pe Karam Nahin Hota
Karam Na Ho To Koi Mohtram Nahi Hota
Khuda Jane Teri Namaz Kaise Hoti Hai
Ali Baghair To Kaba Haram Nahin Hota
Ik Baar Me Mit Jayega Har Baar Ka Jhagda
Us Paar Se Is Paar Bulauñ Kya Ali Ko
Tum Ho Yazeedi Khud Ko Batate Ho Hussaini
Chal Jayegi Talwar Bulauñ Kya Ali Ko
Ali Mola Jab Aayenge Maar Hi Daleñge
Aaj Haaris Ko Haider, Allah Wale Haathoñ Se Uthayeñge Girayenge Maar Hi Daleñge
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar