Aye chand muharram ke tu badli mein chala ja lyrics

Aye chand muharram ke tu badli mein chala ja lyrics

Noha | Manqabat Shahidan e Karbala


اردو میں پڑھئے

हिंदी में पढ़िए


Sughra ke naseeboñ mein to rona hi likha hai
Beemaar e Madina ko mili kaisi saza hai

Khat aaya na Akbar ka rooti rahi Sughra
Aye chaand muharram ke tu badli mein chala ja

 

Ghar Zehra ka lutnay ki khabar tu ne sunaayi.
Tujhe dekh ke roti hai moharram mein Khudayi.

Chaudah sau baras beetei sab kartay hain shikwa.
Aye chaand muharram ke tu badli mein chala ja

 

Milne ke liye bhai ko bechain badi hai
Kab se Ali Akbar ki ye rahoñ mein khadi hai

Bichhdi hai ye muddat se ise tu na nazar aa
Aye chaand muharram ke tu badli mein chala ja

 

Viraan gharoñ mein na ise neeñd hai aati.
Akbar ki judaayi hai ise khoon rulaati.

Qadmon ke nishan dhaañp ke baithi hai sar-e-raah.
Aye chaand muharram ke tu badli mein chala ja

 

Gin gin ke jo Sughra ne ye din hain guzaare
Zinda hai to Akbar ke hi waadoñ ke sahare

Din raat tadapti hai ise aur na tadpa.
Aye chaañd muharram ke tu badli mein chala ja

 

Bhayya ki judaayi mein pareshan hai rahti.
Har roz ye nana ko ro ro ke hai kehti.

Akbar na mila nana main marjaungi tanha.
Aye chaand muharram ke tu badli mein chala ja

 

Waada jo kiya behan ko seenay se laga ke.
Main shaadi karuñga to tere paas hi aake.

Mai saat moharram ko aaooñga na ghabra.
Aye chaand muharram ke tu badli mein chala ja

 

Ronei nahi dete mujhe raatoñ ko musalmañ
Bemaari se be haal hooñ kuchh roz ki mehmaañ.

Har simt se hai mujh ko ab maut ne ghera.
Aye chaand muharram ke tu badli mein chala ja

 

Bahnoñ ka to bhaiyoñ se rishta hi ajab hai.
Tum bhool gaye mujh ko ye kaisa ghazab hai.

Is aas pe zinda hooñ dekhooñ tera sehra.
Aye chand muharram ke tu badli mein chala ja


 Hindi and English Lyrics

| Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *