Ayam e Fatmiya Noha 2024 Lyrics | Zakhmi Hain Fatima
Ayam e Fatmiya Noha 2024 Lyrics | Zakhmi Hain Fatima
Dar Jal Chuka Hai Yusuf e Zehra Kab Aaoge
Zehra Sadayen Deti Hai Maula Kab Aaoge
Al Ajal, Al Ajal, Al Ajal, Al Ajal
Allahumma Ajjil Lewaliyekal Faraj
Allahumma Ajjil Lewaliyekal Faraj
Zakhmi Hai Fatima Tooti Hain Pasliyañ
Ya Shahe Waz Zamañ, Ya Shahe Waz Zamañ
Zakhmi Hai Fatima Tooti Hain Pasliyañ
Ya Shahe Waz Zamañ, Ya Shahe Waz Zamañ
De Kar Sadayeñ Aapko Leti Hai Hichkiyañ
Ya Shahe Waz Zamañ
Zakhmi Hai Fatima Tooti Hain Pasliyañ
Ya Shahe Waz Zamañ, Ya Shahe Waz Zamañ
Pahlu Shikastañ Ho gaya Jaldi Sambhaal Lo
Binte Nabi Ko Aag Se Aa Kar Nikaal Lo
Maula Tumhari Daadi Haiñ Sholoñ Ke Darmiyan
Ya Shahe Waz Zamañ
Zakhmi Hai Fatima Tooti Hain Pasliyañ
Ya Shahe Waz Zamañ, Ya Shahe Waz Zamañ
Dekha To Hoga Zulm Nigah e Imam Se
Betoñ Ke Samne Kabhi Logoñ Ke Samne
Khaye Nabi Ki Beti Ne Durre Kahañ Kahañ
Ya Shahe Waz Zamañ
Zakhmi Hai Fatima Tooti Hain Pasliyañ
Ya Shahe Waz Zamañ, Ya Shahe Waz Zamañ
Afzal Abu Turaab Hai Kul Kaynat Se
Khaibar Ko Fat’ha Jisne Kiya Apne Haath Se
Wo Sher e Kibriya Kahañ Aur Rassiyañ Kahañ
Ya Shahe Waz Zamañ
Zakhmi Hain Fatima Tooti Hain Pasliyañ
Ya Shahe Waz Zamañ, Ya Shahe Waz Zamañ
Haye Maadar Ka Chehra Takti Haiñ Hasrat Se Bar Bar
Zainab Ke Saath Sath Haiñ Kulsoom Be Qarar
Chehre Pe Neel Dekh Ke Roti Haiñ Betiyañ
Ya Shahe Waz Zamañ
Zakhmi Hai Fatima Tooti Hain Pasliyañ
Ya Shahe Waz Zamañ, Ya Shahe Waz Zamañ
Ik Zal-Zala Sa Taari Tha Qabr e Rasool Par
Zalim Ne Aise Haath Uthaya Batool Par
Bikhri Zamiñ Pe Toot Ke Zehra Ki Baaliyañ
Ya Shahe Waz Zamañ
Zakhmi Hai Fatima Tooti Hain Pasliyañ
Ya Shahe Waz Zamañ, Ya Shahe Waz Zamañ
Kis Din Zahoor Paoge Ae Ibne Fatima
Batla Rahi Hai Zehra Ki Ye Zere Dar Sada
Yasrab Me Tumne Dekhi Hai Zakhmon Se Choor Maa
Ya Shahe Waz Zamañ
Zakhmi Hai Fatima Tooti Hain Pasliyañ
Ya Shahe Waz Zamañ, Ya Shahe Waz Zamañ
Ae Waris e Rasool Qayamat Phir Aa Gayi
Ghaiwat Me Tum Ho Aur Shahadat Fir Aa Gayi
Aa Kar Suna To Do Hameñ Ghurbat Ki Dastañ
Ya Shahe Waz Zamañ
Zakhmi Hai Fatima Tooti Hain Pasliyañ
Ya Shahe Waz Zamañ, Ya Shahe Waz Zamañ
Har Dushman e Batool Ko Tukdoñ Me Baañt Do
Tumko Qasam Hussain Ki Wo Haath Kaat Do
Jis Haath Ka Hai Bibi Ke Rukhsar Par Nishañ
Ya Shahe Waz Zamañ
Zakhmi Hai Fatima Tooti Hain Pasliyañ
Ya Shahe Waz Zamañ, Ya Shahe Waz Zamañ
Ayyam e Pursadaar e Zehra Ka Wasta
Karte Hain Khum Me Mir Takallum Ye Sab Dua
Matam Kareñ Baqiya Me Har Maatmi Jawañ
Ya Shahe Waz Zamañ
Zakhmi Hai Fatima Tooti Haiñ Pasliyañ
Ya Shahe Waz Zamañ, Ya Shahe Waz Zamañ
Noha Khwan: Mir Hasan Mir
Lyrics: Janab Mir Takallum
Our Pages
Manqabat Shahidan e Karbala Nohey Lyrics
Manqabat Imam Hussain As Lyrics
Manqabat Bibi Sakina Sa Lyrics
Manqabat Bibi Fatima Sa Lyrics
Noha Khwan