Ameer Hamza Khalilabadi | मेरा दिल हुसैन हैं | Mera Dill Hussain Hain Lyrics

Ameer Hamza Khalilabadi | मेरा दिल हुसैन हैं | Mera Dill Hussain Hain Lyrics

Manqabat Khwan: Ameer Hamza Khalilabadi

 

जाने रसूले पाक हैं कामिल हुसैन हैं
धड़कन मेरी हसन हैं मेरा दिल हुसैन हैं
Jaane Rasoole Paak Hain Kaamil Hussain Hain
Dhadkan Meri Hasan Hain Mera Dill Hussain Hai

 

छाया हुआ है चार सू रंगे हुसैनियत
यूं लग रहा है रौनक-ए-महफ़िल हुसैन हैं
Chhaya Hua Hai Chaar Soo Runge Hussainiat
Yun Lag Raha Hai Rounq-e-Mahfil Hussain Hain

 

जिस के बग़ैर कुछ भी नहीं हुसने बंदगी
रुखसार ए बंदगी का वही तिल हुसैन हैं
Jis Ke Baghair Kuchh Bhi Nahin Husne Bandagi
Rukhsar-e-Bandagi Ka Wahi Til Hussain Hain

 

सजदे को तूल देना है इस बात की दलील
दीने नबी की आख़िरी मंज़िल हुसैन हैं
Sajde Ko Tool Dena Hai Is Baat Ki Daleel
Deene Nabi Ki Aakhri Manzil Hussain Hain

 

होकर रहेगा हक़ ओ सदाक़त का सर बुलंद
ज़ालिम यज़ीदियों के मक़ाबिल हुसैन हैं
Hokar Rahega Haq-o-Sadaqat Ka Sar Buland
Zaalim Yazidiyon Ke Maqabil Hussain Hain

 

करता हूँ उनकी मदह हमावक़्त पे ऐ हसन
यूं मेरी ज़िन्दगानी में शामिल हुसैन हैं
Karta Hun Unki Madha-Hamawaqt Ae Hasan
Yun Meri Zindgaani Me Shamil Hussain Hain


Hindi and English Lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Allama Saim Chishti  | Bedam  Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

QAWWALI |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hassan Akhtar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *