Ada Ki Lai Rahi Hai Arsh Ki Pahlu Nasheeñ Hokar Lyrics in Urdu and English | ادا کی لَے رہی ہے عرش کی پہلو نشیں ہو کر | Naat-e Paak, Full Lyrics |
Kalaam-e Bedam Shah Warsi
हिंदी में पढ़िए
ادا کی لَے رہی ہے عرش کی پہلو نشیں ہو کر
Ada Ki Lai Rahi Hai Arsh Ki Pahlu Nasheeñ Hokar Lyrics
ادا کی لَے رہی ہے عرش کی پہلو نشیں ہو کر
زمیں روضہ کی تیرے، تیرے روضہ کی زمیں ہو کر
Ada ki lai rahi hai arsh ki pahlu nasheen hokar
Zameeñ Rauze ki tere, tere Rauze ki Zameeñ hokar
رہا جو مدتوں تاجِ سرِ عرشِ بریں ہو کر
وہی چمکا عرب میں نورِ رب العالمیں ہو کر
Raha jo muddatoñ taaj-e-sar-e-arsh-e-bareeñ hokar
Wahi chamka arab mein Noor-e Rabbil Alamiñ ho kar
محمد ﷺ سر سے پا تک مظہرِ حسنِ الٰہی ہیں
کہ آئے دہر میں تصورِ صورت آفریں ہو کر
Muhammad ﷺ sar se paa tak Mazhar e Husn-e ilahi haiñ
Ke aaye dahr mein Tasvir e Soorat aafreeñ ho kar
کریں تزئین مہرویانِ عالم کو ضرورت ہے
تمہیں کیا چاہیے محبوبِ رب العالمیں ہو کر
Kareñ Taz’een, mehruyaan-e aalam ko zarurat hai
Tumheñ kya chaahiye Mahboob e Rabbil Alamiñ ho kar
محمد ﷺ سب سے پہلے ہم گنہگاروں کو پوچھیں گے
ہمیں وہ بھول سکتے ہیں شفیع المذنبیں ہوکر
Muhammad ﷺ sab se pahle hum gunahgaaroñ ko poochheñge
Hameñ woh bhool sakte hain shafiul muznabiñ ho kar !
ہمارا کچھ نہ ہونا لاکھ ہونے کے برابر ہے
چلے دنیا سے ہم شیدائے ختم المرسلیں ہوکر
Hamara kuchh na hona laakh hone ke barabar hai
Chale duniya se hum shaida e Khatm-ul-Murasaliñ ho kar
ہمارے سر پہ بیدم ظلِ دامانِ محمد ﷺ ہے
تو کیا کر لے گا پھر خورشیدِ محشر خشمگیں ہو کر
Hamare sar pe Bedam Zill-e Daamaan-e Muhammad ﷺ Hai
To kya kar lega phir Khurshid e Mahshar khushmagiñ hokar
شاعر : بیدم شاہ وارثی
کتاب : کلیاتِ بیدم وارثی
Related Post:
Urdu, Hindi and English Lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| QAWWALI |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hassan Akhtar