Aayat Fatima | Hsabi Rabbi | Allah Ne Mujhko Paida Kiya Lyrics

Aayat Fatima | Hsabi Rabbi | Allah Ne Mujhko Paida Kiya Lyrics

 

Allah Ne Mujhko Paida Kiya
Amma Ne Goud Me Thaam Liya
Baba Ne Di Kaano Me Azañ
Nanna Sa Dil Purnoor Hua

 

Duniya Me Aane Par Mujhko
Itna Bada Tohfa Hai Mila
Allah Nabi Ke Naam Se
Dil Mera Roushan Hai Hua

 

Roushan Aañkhe Peer Huin
Nanhe Se Dil Ne Jab Ye Suna
Pyari Azan Ka Ye Kahna

La Ilaha Il Lallah

 

Hasbi Rabbi Jallallah
Mafi Qalbi Ghairullah
Noore Muhammad Sallallah
La Ilaha Il Lallah

 

School Me Teacher Ne Ye Kaha
Likkho Kalma Taiyaba
Jo Likkhega Sab Se Pyara
Milega Usko Chañd Sitara

 

Rang Sare Bhar Dena
Phool Kaliyañ Bichha Dena
Allah Nabi Ke Naam Ko
Jaan o Dil Se Saja Dena

 

Sab Bachhoñ Ne Dil Se Likha
Dekh Ke Teacher Ne Ye Kaha
Sab Hi Ne Sabse Pyara Likha

La Ilaha Il Lallah

 

Hasbi Rabbi Jallallah
Mafi Qalbi Ghairullah
Noore Muhammad Sallallah
La Ilaha Il Lallah

 

Ahmad Ka Darwaza Khula
Thandi Thandi Chali Hawa
Phooloñ Ka Muh Shabnam Se Dhula
Jago Jago Hui Subha

Bado Ne Bhi Kya Khoob Kaha
Subah Savere Jo Bhi Utha
Din Bhar Wo Hasta Hi Raha
Jago Jago Hui Subha

 

Uska Din Sara Allah
Kar De Gham Pyara Pyara
Jisne Subha Ko Uth Ke Padha

La Ilaha Il Lallah

 

Hasbi Rabbi Jallallah
Mafi Qalbi Ghairullah
Noore Muhammad Sallallah
La Ilaha Il Lallah

 

Manzil Teri Talash Me Ghoomengi Dar Badar
Khalq e Khuda Ki Raah Se Pattar Tu Hata Ke Dekh

 

Apne Paraye Dono Se Muskra Ke Jo Dekha
Muskurayeñ ge Nabi Muskurayega Allah

Mil Jayegi Duniya Tujhe Mil Jayega Deen e Khuda
Dil Me Jo Tere Jaari Raha

La Ilaha Il Lallah

 

Hasbi Rabbi Jallallah
Mafi Qalbi Ghairullah
Noore Muhammad Sallallah
La Ilaha Il Lallah

 

Simt e Nabi Bu Jahal Gaya
Aaqa Se Usne Ye Kaha
Gar Ho Nabi Batlao Zara
Meri Mutthi Me Hai Kya?

 

Aaqa Ka Farman Hua
Aur Fazle Rahman Hua
Mutthi Se Pattar Bola

La Ilaha Il Lallah

 

Hasbi Rabbi Jallallah
Mafi Qalbi Ghairullah
Noore Muhammad Sallallah
La Ilaha Il Lallah

 

Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali