Aaqa Teri Yaad Aati Hai Lyrics
Jab Dil Pe Shab-e-Gham Chhaati Hai
Aur Dil Ki Shab-e-Gham Me Koi
Jab Barq-e Bala Lahrati Hai,
Aur Barq-e Bala Jab Ban Ke Ghata
Baarane Sharar Barsaati Hai,
Aise Me Tadap Uthta Hai Ye Dil
Aise Me Teri Yaad Aati Hai.
Ae Mere Nabi Ae Sidq-o-Safa
Aise Me Teri Yaad Aati Hai..
Jab Chaandi Ke Buttkhano Me
Insañ Ke Lahu Ki Bhet Chade,
Nasha Ho Mahantoñ Par Taari
Har Butt Ka Qad Kuchh Aur Badhe,
In Buttkhano Me Cheekh Koi
Jab Gooñj Ke Dil Dahlaati Hai,
Aise Me Tadap Uthta Hai Ye Dil
Aise Me Teri Yaad Aati Hai.
Ae Mere Nabi Ae Sidq-o-Safa
Aise Me Teri Yaad Aati Hai…
Bazar-e-Gunah Ki Roshaniya
Jab Ghor Andhere Failayeñ,
Kam Khwab Ki Saijoñ Ki Kaliyañ
Chubhte Huye Kaañte Ban Jayeñ,
Jab Aghwa Hokar Bikne Wali
Koi Tawa’if Gaati Hai,
Aise Me Tadap Uthta Hai Ye Dil
Aise Me Teri Yaad Aati Hai.
Ae Mere Nabi Ae Sidq-o-Safa
Aise Me Teri Yaad Aati Hai…
Mahaul Ki Chakki Me Pad ker
Jazwat Mere Jab Piste Haiñ,
Iman Ko Choteñ Lagti Haiñ
Jab Zakhm-e-Tamanna Riste Haiñ,
Sad’ha Fitnoñ Ke Ghere Me
Jab Tab-‘e-Haziñ Ghabrati Hai,
Aise Me Tadap Uthta Hai Ye Dil
Aise Me Teri Yaad Aati Hai.
Ae Mere Nabi Ae Sidq-o-Safa
Aise Me Teri Yaad Aati Hai…
Jab Saathi Sab Kho Jate Haiñ
Jab Main Tanha Rah Jata Huñ,
Anjane Dukh Ki Lahroñ Me
Bebas Hokar Bah Jata Huñ,
Jab Sahmi Sahmi Meri Khudi
Lahroñ Me Ghote Khaati Hai,
Aise Me Tadap Uthta Hai Ye Dil
Aise Me Teri Yaad Aati Hai.
Ae Mere Nabi Ae Sidq-o-Safa
Aise Me Teri Yaad Aati Hai…
Jab Takht Bichhate Haiñ Apna
Namrood Naye Shaddaad Naye,
Shamsheereiñ Jab Lahrate Haiñ
Maqtal Me Khade Jallad Naye,
Nazuk Se Zameer-e-Insañ Me
Sil Jabr Ki Jab Lag Jaati Hai,
Aise Me Tadap Uthta Hai Ye Dil
Aise Me Teri Yaad Aati Hai.
Ae Mere Nabi Ae Sidq-o-Safa
Aise Me Teri Yaad Aati Hai…
Ishrat Ki Pari Ke Ghamze Jab
Har Azm Ko Ghayal Karte Haiñ,
Jab Tark e Safar Par Raahi Ko
Rahbar He Maail Karte Haiñ,
Tahzeeb e Bashar IThla Kar
Har Mod Pe Jab Bahkaati Hai,
Aise Me Tadap Uthta Hai Ye Dil
Aise Me Teri Yaad Aati Hai.
Ae Mere Nabi Ae Sidq-o-Safa
Aise Me Teri Yaad Aati Hai…
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar