Aaqa ke diwano ko ye eid Mubarak ho
Apno ko begano ko ye eid Mubarak ho
Maa-baap bahan-bhai ko eid Mubarak ho
Har ek shanasaai ko eid Mubarak ho
Islam ke shayidaai ko eid Mubarak ho
Sab deeni gharaano ko ye eid Mubarak ho
Aaqa ke diwano ko ye eid Mubarak ho
Apno ko begano ko ye eid Mubarak ho
Har phool kali khushboo khudshiyon ke bhi gulshan ko
Yaaron ko hareefon ko ghamkhwar ko dushman ko
Mamta ke taqaddus ko ulfat bhare daman ko
Chahat ke thikano ko ye eid Mubarak ho
Aaqa ke diwano ko ye eid Mubarak ho
Apno ko begano ko ye eid Mubarak ho
Khushiyon ka qamar roushan masroor sitare hain
Ghar ghar me mohabbat ke dariyaon ke dhare hain
Sab eid ki khushiyon se mansoob nazare hain
Ulfat ke khazano ko ye eid Mubarak ho
Aaqa ke diwano ko ye eid Mubarak ho
Apno ko begano ko ye eid Mubarak ho
Ham door watan se hain ham door hain manzil se
Ham door hain apno ki ulfat bhari mahfil se
Gham bhool ke furkat ka kahte hain tahe dil se
Khushiyon ke jahano ko ye eid Mubarak ho
Aaqa ke diwano ko ye eid Mubarak ho
Apno ko begano ko ye eid Mubarak ho
Har sahib e ima.n ko har sahib e ramza.n ko
Qur’aan ke qaari ko har hafiz e quraa’n ko
Jafar ki taraf se hai har fard musalma ko
Bachchon ko jawano ko ye eid Mubarak ho
Aaqa ke diwano ko ye eid Mubarak ho
Apno ko begano ko ye eid Mubarak ho
Recited By: Anwar Haseeb
Lyrics: Molana Abu Jafar Sahab
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar