Aap Shamshudduha Aap Badrudduja Lyrics By Jainul Abedin
आप शम्सुद्दुहा आप बदरूद्दुजा
Aap Shamshudduha Aap Badrudduja
Naam Aisa Suhana Kisi Ka Nahi
Kaabe Ki Chhaon Hai, Noor Ka Gaon Hai
Aisa Pyara Gharana Kisi Ka Nahin
Jab Ke Aadam Na The Unka Putla Na Tha
Aur Farishton Ne Bhi Aisa Socha Na Tha
Raaz-E-Husn-E-Nabi Par Tha Parda Pada
Yani Allah Ne Kuchh Bataya Na Tha
Arsh Par Aapka Noor Tha Jalwagar
Naam Itna Purana Kisi Ka Nahin
Zikre Eesa Bhi Hai Zikre Musa Bhi Hai
Nooh Bhi Aaye Hain, Sheesh Bhi Aaye Hain
Aur Nabiyon Ke Bhi Tazkire Hain Yahan
Parcham-E-Noor Inke Bhi Lahraye Hain
Dekhiye Martaba Mustafa Ke Siwa
Arsh Par Aana Jana Kisi Ka Nahin
Sirf Allah Allah Tha Jis Jagah
Mustafa Us Jagah Par Bulaye Gaye
Raston Par Sitare Bichhaye Gaye
Baam Arshe Barin Ke Sajaye Gaye
Rab Ki Fahrist Me Naam Hain Saikadon
La Makan Me Thikana Kisi Ka Nahin
Ret Ki Aagh Par Tan Jalaya Gaya
Phir Bhi Chhoota Nahin Daman-E-Mustafa
Koi Shikwa Shikayat Na Koi Gila
Gham Mila Jo Bhi Duniya Me Wo Sah Liya
Jaise Naam-E-Bilal Aur Ishq-E-Nabi
Aisa Koi Diwana Kisi Ka Nahin
Naat Khwan: Jainul Abedin
Aap Shamshudduha Aap Badrudduja Lyrics Hindi
आप शम्सुद्दुहा आप बदरूद्दुजा
नाम ऐसा सुहाना किसी का नहीं
काबे की छांव है, नूर का गांव है
ऐसा प्यारा घराना किसी का नहीं
जबकि आदम ना थे, उनका पुतला ना था
और फरिश्तों ने भी ऐसा सोचा ना था
राज़-ए-हुस्न-ए-नबी पर था पर्दा पड़ा
यानी अल्लाह ने कुछ बताया ना था
अ़र्श पर आपका नूर था जल्वागर
नाम इतना पुराना किसी का नहीं
ज़िक्र-ए-ईसा भी है, ज़िक्रे-ए-मूसा भी है
नूह भी आए हैं, शीश भी आए हैं
और नबियों के भी तज़किरे हैं यहां
परचम-ए-नूर इनके भी लहराये हैं
देखिए मर्तबा मुस्तफ़ा के सिवा
अ़र्श पर आना-जाना किसी का नहीं
सिर्फ़ अल्लाह अल्लाह था जिस जगह
मुस्तफ़ा उस जगह पर बुलाए गए
रास्तों पर सितारे बिछाए गए
बाम अ़र्श-ए-बरीं के सजाए गए
रब की फहरिस्त में नाम हैं सैकड़ों
ला मकां में ठिकाना किसी का नहीं
रेत की आग पर तन जलाया गया
फिर भी छूटा नहीं दामन-ए-मुस्तफ़ा
कोई शिकवा शिकायत न कोई गिला
ग़म मिला जो भी दुनिया में वो सह लिया
जैसे नाम-ए-बिलाल और इश्क़-ए-नबी
ऐसा कोई दिवाना किसी का नहीं
Hindi And English lyrics
Our Pages
-
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan