Aa Gham e Shabbir Aa Seene Laga Kar Choom Loon Lyrics

Aa Gham e Shabbir Aa Seene Laga Kar Choom Loon Lyrics

Qawwal : Nusrat Fateh Ali Khan
Kalaam : Allama Saim Chishti


Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|


اردو میں پڑھیے

हिंदी में पढ़िए

Wafa Ka Noor Dunya Mein Kabhi Maddham Nahi Hota
Gham e Shabbir Badhta Ja Raha Hai Kam Nahi Hota

Wo Dil, Dil Hi Nahi Pathar Ke Tukde Se Bhi Badtar Hai
Ke Jis Dil Mein Nabi Ke Ladle Ka Gham Nahi Hota

 

Aa Gham e Shabbir Aa

 

Aa Gham-e-Shabbir Aa Seene Laga Kar Choom Loon
Karbala Ki Khaak Ko Aansoo Pila Kar Choom Looñ

aa gham e shabbir aa ..
aa gham e shabbir aa ..

Zaigham Ali Ka Zulm Ke Jungle Mein Ghir Gaya
Zehra Ka Chaañd Shaam Ke Badal Mein Ghir Gaya

aa ghame shabbir aa ..
aa ghame shabbir aa ..

 

Tha Gul-Izaar e Fatima Khaaroñ Meiñ Ghir Gaya
Tanha Ali Ka Laal Hazaroñ Mein Ghir Gaya

aa ghame shabbir aa ..
aa ghame shabbir aa ..

 

Aa Gham e Shabbir Aa Seene Laga Kar Choom Loon
Karbala Ki Khaak Ko Aansoo Pila Kar Choom Looñ

 

Aa Mere Asghar
Sada Deti Hai Sughra Raat Din

Aa Teri Raahoñ Ko Maiñ
Palkeiñ Bichha Kar Choom Looñ

 

Yuñ Mukhatib Lasha e Akbar Se The Ibn e Ali

Uth Mere Bete Tujhe
Dil Mein Bitha Kar Choom Loon

 

Jab Chale Maidan Ko Qasim To Syed Ne Kaha

Ruk Zara Dulha Tujhe
Sehre Saja Kar Choom Loon

 

Rok Kar Aun o Mohammad Ko Yeh Zainab Ne Kaha

Aakhri Baar Aao
Seene Se Laga Kar Choom Loon

 

Tum Bhi Mere Chaañd Asghar Pani Pe Kar Aa Gaye

Aankh To Kholo Tumhein
Lori Suna Kar Choom Loon

 

Jis Ne Bachaaya Khalq Ko Dozakh Ki Aag Se
Afsoos Uski Aal Ke Khaime Bhi Jal Gaye

Ashgar Ki Hichki Aakhiri Garche Thi Be-Sada
Phir Bhi Zameen o Aasmañ Ke Dil Dahil Gaye

Saim Kamal e Zabt Ki Koshish To Ki Magar
Palkoñ Ka Halqa Tod Kar Aañsu Nikal Gaye

 

palkoñ ka halqa tod kar aañsu nikal gaye..
palkoñ ka halqa tod kar aañsu nikal gaye..

 

Kaise Qalam Raqam Kare Aayat e Karbala
yeh Bolti Kitab Ke Paare Ki Baat Hai

palkoñ ka halqa tod kar aañsu nikal gaye..
palkoñ ka halqa tod kar aañsu nikal gaye..

 

Chhaye The Badal Zulm o Tashaddud Ke Aal Par
Pathar Baras Rahe The Mohammad ﷺ Ke Laal Par

Dard o Alam Azal Se Tha Hissa Hussain Ka
Gham Se Bhara Hua Hai Sab Qissa Hussain Ka

palkoñ ka halqa tod kar aañsu nikal gaye..
palkoñ ka halqa tod kar aañsu nikal gaye..

 

Teighon Se Band Band Juda Tha Janab Ka
Sheeraze Kul Gaye the Khuda Ki Kitab Ka

(Mir Anis ka sher kuchh tarah hai:
Milta tha fasl ka na thikaana na baab ka
Sheeraazah Khul gaya tha sitam ki kitab ka
ملتا تھا فصل کا نہ ٹھکانا نہ باب کا
شیرازہ کھل گیا تھا ستم کی کتاب کا)

palkoñ ka halqa tod kar aañsu nikal gaye..
palkoñ ka halqa tod kar aañsu nikal gaye..

 

Lashei Pade The Dasht e Musibat Mein Is Tarah
Sahn e Chaman Mein Phol Bikharte Hein Jis Tarah

 

palkoñ ka halqa tod kar aañsu nikal gaye..
palkoñ ka halqa tod kar aañsu nikal gaye..

 

Tum Bhi Mere Chaañd Asghar Pani Pe Kar Aa Gaye
Aankh To Kholo Tumhein Lori Suna Ker Choom Loon

 

Jab Chale Maidan Ko Qasim To Syed Ne Kaha
ruk Zara Dulha Tujhe Sehre Saja Ker Choom Loon

 

Raat Din Jo Aañkh Roti Hai Gham e Shabbir Mein
Kyuñ Na Main Saim Use Aankhein Jhuka Kar Choom Loon

 

Aa Gham e Shabbir Aa
Seene Laga Kar Choom Loon


Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|

Urdu, Hindi and English Lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti  | Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

| Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hassan Akhtar

aa-gham-e-shabbir-aa-lyrics

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *