Aa Gaya Sher e Ali Lyrics | Mir Hasan Mir
Abbas Abbas Abbas Abbas
Abbas Abbas Abbas Abbas
Ameer-e-Lashkar-e-Hussain
Bada Baland Hausala!
Misaal-e-Shah-e-La-Fatah
Ghuroor-e-Aal-e-Mustafa
Wafa Ba-Hadd-e-Mojiza
Hizabr-e-Dasht-e-Nainawa
Ameer-e-Lashkar-e-Hussain!
( Hizabr هِزَبْر = Lion)
Abbas Abbas
Abbas Abbas
Abbas Abbas
Aa Gaya..Aa Gaya..
Aa Gaya Sher-e-Ali
Aa Gaya Sher-e-Ali
Sham Ki Fauj Ye Kahte Huye Dariya Se Hati
Aa Gaya..Aa Gaya..
Aa Gaya Sher-e-Ali
Aa Gaya Sher-e-Ali
Par Sameite Huye Jibreel Ne Aawaz Ye Di
Aa Gaya Sher-e-Ali
Aa Gaya Sher-e-Ali
Rob Se Sher-e-Dilawar Ke Falak Bhi Kham Hai
Chhote Hazrat Ki Sawari Ka Ajab Aalam Hai
Chand Badhta Hai Sarakti Haiñ Ghatayeñ Saari.
Aa Gaya..Aa Gaya..
Aa Gaya Sher-e-Ali
Aa Gaya Sher-e-Ali
Rann Me Abbas He Abbas Dikhayi Denge
Aaj Siffeen Ke Murde Bhi Duhayi Denge
Fauj Ke Haal Me Yaad Aayega Sabko Maazi.
Aa Gaya Sher-e-Ali
Aa Gaya Sher-e-Ali
Kis Sher Ki Aamad Hai Ke Rann Kaañp Raha Hai
Rann Ek Taraf Charkhe Kohann Kaañp Raha Hai
Rustam Ka Badan Zere-e-Kafan Kaañp Raha Hai
Har Qasre Salateen e Zaman Kaañp Raha Hai
Arey! Shamshir Ba-Kaf Dekh Ke Haider Ke Pisar Ko
Jibreel Larazte Haiñ Sameite Huye Par Ko.
Aa Gaya..Aa Gaya..
Aa Gaya Sher-e-Ali
Aa Gaya Sher-e-Ali
Shaam Waloñ Ke Liye Waqt e Zawaal Aaya Hai
Aaj Zehra Ki Mashi’at Ko Jalaal Aaya Hai
Al Amaañ Kahte Hain Jinnaat o Malak Hoor o Pari.
Aa Gaya Sher-e-Ali
Aa Gaya Sher-e-Ali
Dam ba-Khud Sooreh-Saraafeel Hua Hai Is Dam
Kya Qayamat Hai Larazte Haiñ Pahadoñ Ke Qadam!
Zalzala Hai Ya Zamiñ Leti Hai Saañse Jaldi.
Aa Gaya..Aa Gaya..
Aa Gaya Sher-e-Ali
Aa Gaya Sher-e-Ali
Rahat Ke Mohallon Ko Bala Pooch Rahi Hai
Hasti Ke Makano Ko Fana Pooch Rahi Hai
Taqdeer Se Umr Apni Qaza Pooch Rahe Hai
Dozakh Ka Pata Fauj e Jafa Pooch Rahi Hai
Al Hashr Jo Murde Na Pukareñ To Ghazab Hai
Al Maut Zaban e Malkul Maut Pe Ab Hai.
Aa Gaya Sher-e-Ali
Aa Gaya Sher-e-Ali
Tegh e Abbas Bhi Bijli Ki Chamak Jaisi Hai
Lashkar e Shaam Ki Ye Kaali Ghata Kahti Hai
Aaj Maidan Me Barsaat Saroñ Ki Hogi.
Aa Gaya..Aa Gaya..
Aa Gaya Sher-e-Ali
Aa Gaya Sher-e-Ali
Rann Se Har Bhagne Wala Ye Sada Deta Hai
Sher Ke Haath Me Talwar Nahi, Neza Hai!
Ye Isi Neze Me Ham Sabko Piro Dega Abhi!
Aa Gaya Sher-e-Ali
Aa Gaya Sher-e-Ali
Allah Re Aamad, Aamad e Abbas e Sab Shikan
Larzañ The Koho, Hilte The Dil, Kaañpta Tha Tann
Jangal Ke Sher Ban Gaye The Khauf Se Hiran
Ik Shor Tha Ke Aaj Padega Ghazab Ka Rann
Ye Sher Kam Nahi Hai Asad e Qallageer Se
Goya Muqabla Hai Janab e Ameer Se.
Aa Gaya..Aa Gaya..
Aa Gaya Sher-e-Ali
Aa Gaya Sher-e-Ali
Har Taraf Maut Ka Maidañ Me Laga Hai Pehra
Zere Lab Padhte The Jis Tarah Ali Ya Zehra
Waise Maidan Me Dohraate Huye Naad e Ali.
Aa Gaya Sher-e-Ali
Aa Gaya Sher-e-Ali
Ho Gayi Aapke Aane Me Takallum Taakhir
Likh Chuke Aamad e Abbas Anis Aur Dabi
Unke Misron Ki Sada Goonj Rahi Hai Ab Bhi.
Aa Gaya Sher-e-Ali
Aa Gaya Sher-e-Ali
Recited by: Mir Hasan Mir
Poet: Janab Mir Anees Sahab
Janab Mirza Dabeer Sahab
Janab Mir Takallum Sahab
4 Shaban Manqabat 2023
Kya Hai Abbas Lyrics – Farhan Ali Waris
Our Pages
Manqabat Shahidan e Karbala Nohey Lyrics
Manqabat Imam Hussain As Lyrics
Manqabat Bibi Sakina Sa Lyrics
Manqabat Bibi Fatima Sa Lyrics
Noha Khwan