Aa Gaya Shaban Lyrics By Kazmi Brothers
Khushiyañ manao naare lagao
Khushiyañ manao naare lagao
Rab ne kiya ehsaan
Aa gaya Shaban
Lekar khush-qismat daman me
Lekar khush-qismat daman me
Qismat ke qur’aan
Aa gaya Shaban.. ×4
Sallalla ho alika ya Zainab
Nabiyoñ waliyoñ ka sar kham hai
Yani ye Shaban e yakam hai
Nabiyoñ waliyoñ ka sar kham hai
Yani ye Shaban e yakam hai
Mohsin e rab par Aaliya karne
Aayi hai Ahsaan
Nabiyoñ waliyoñ ka sar kham hai
Yani ye Shaban e yakam hai
Aa gaya Shaban.. ×4
Maula Hussain.
Ummat Muslim jaane saari
Kalma hai pehchan hamari
3 Shaban ko Rab ne bheji
Kalme ki pehchan
Aa gaya Shaban.. ×4
Sher e Ali ki aamad hai ×2
Haider ke aakkas ki aamad
4 ko hai Abbas ki aamad
Aya hai tauheed e khuda ke
Pardoñ ka nigehbaan
Aa gaya..
Aa gaya Shaban.. ×4
Mubarak ho maula Hassan
Lo Shaban ki saat (7) hai aayi
Sifat se milne zaat hai aayi
Dekhne apna husn Hassan ke
Ghar aaya yazdaan
Aa gaya Shaban.. ×4
Allahoakbar
Aa gaya Shaban
Utri hai tasvir e payambar
Husn bhi bola allahuakbar !
Husn e Yusuf ki khaliq hai
Akbar ki muskaan
Aa gaya Shaban.. ×4
Paak Hussain aur Ghazi aaye
Akbar Qasim mehdi aaye
Deere Deere utri surah hai
Aal e Imran
Aa gaya Shaban.. ×4
Khushiyañ manao naare lagao
Rab ne kiya ehsaan
Kalam | A Gya Shaban
Recited by | Kazmi Brothers
Poet | Janab Imran Jatki
Our Pages
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan