Jab Apne Husn Ki Mehfil Sajane Ka Khayal Aaya lyrics

Jab Apne Husn Ki Mehfil Sajane Ka Khayal Aaya by Sabri Brothers

Qawwal: Sabri Brothers

Composition: Maqbool Sabri


हिन्दी में लिरिक्स के लिए यहां टच कीजिए


Aaa …

Aa aa aa..

Aaa… Haa..haa..aa.. haa

He.. Ri.. De.. Na… O.. ho…He.. ri. de na.. 

Ri de ri de naaa ri. de.. na.. aa.. a..

 

Tu Mila bhi hai..

Tu Mila bhi hai, Juda bhi hai, Tera kya kehna

 

(Hañ saab)

Aaa..

Tu Mila bhi hai Juda bhi, hai Tera kya kehna

Tu…, Tuuu.. hu..

Tu Mila bhi hai, Juda bhi hai, Tera kya kehna

Tu sanam bhi hai, khuda bhi hai, tera kya kehna

 

Marz hai, tu hi dawa bhi hai, tera kya kehna

Tu shifa bhi hai, dawa bhi hai, tera kya kehna

 

Tere Usshaq ko, Raazi-Ba-Raza kehte hain

Teri Manzil meiñ Fanaa ko bhi, Baqa kehte haiñ

Teri Manzil meiñ Fanaa ko bhi, Baqa kehte haiñ

 

Aaa… aa a aa..

E..ee e. Aa.., e.. e.. e.. e.. aa.. aa…aa…….a

 

Too…

Tu agar chaahe to, Qatare ko Samandar karde

Tu….agar chaahe to, Qatare ko Samandar karde

Chashma-e-Chashm ke har Ashq ko Gauhar karde

 

Tu gadaa…oñ ko nawaze..

Tu…… Gadaaoñ ko nawaze to Shahenshah baneñ

Aur chaahe to Yateemoñ ko Payambar karde

 

Aaa…

Tu…… Gadaaoñ ko nawaze to Shahenshah baneñ

Ha.. aa aaa.. haa.. aa.. aa.. a

Tu Gadaaoñ ko nawaze to Shahenshah baneñ

Aur chaahe to Yateemoñ ko, Payambar karde

 

Aaa..

Kaleemullah ko..

Kaleemullah ko, Inni-Anaa se khelte dekha

Kaleemullah ko Inni-Anaa se khelte dekha

 

Aur,

Zabeeh-Allaah ko Haq ki Razaa se khelte dekha

Zabeeh-ullaah ko Haq ki Razaa se khelte dekha

Janab Ayyub ko Sabr-o-Raza se khelte dekha

Janab Ayyub ko Sabr-o-Raza se khelte dekha

 

Aur,

Haleema ko..

Haleema ko Mohammed Mustafa ﷺ se khelte dekha

Aur,

Mohammed ﷺ Kamli Waale ko Khuda se khelte dekha

Mohammed ﷺ Kamli Waale ko Khuda se khelte dekha

 

Aaa..aa.. aa..aa .. aaaa.. Aa.. aa… Aa… Aa.. Aaadam ..Aadam. Aaadam aadam

Aadam..

Adam ko ye rutba

Adam ko ye rutba, ye Hadaya na mila

Aisa, kisi Insaan, ko Paaya na mila

Allah re Lataafat-e-Tan-e-paak-e-Rasool

Allah re Latafat-e-Tan-e-paak-e-Rasool

Dhooñdha ke ye Aftab Saaya na mila

 

Jalwe..eee …….. Ee ee re

Aa aa aa aha..

Jalwe tere us Waqt bhi the, aur kam bhi nahi the

Ye baateiñ jab ki hain, jab Hazrat-e-Adam bhi nahi the.

 

Jab Apne Husn ki, Mehfil sajaane ka Khayal Aaya …

Jab Apne Husn ki, Mehfil sajaane ka Khayal aaya…

Jab Apne Husn ki, Mehfil sajaane ka Khayal aaya…

Jab apne husn ki. Aaa…

 

Jab Apne Husn ki Mehfil sajaane ka Khayal aaya

Jab apne Husn ki.. Jab Apne Husn ki

Jab Apne Husn, Husn ki

Jab apne Husn, Husn ki..

 

Jab apne Husn, ahe..Husn ki..

jab apne Husn, Husn ki..

jab apne Husn, Husn ki

Jab apne..

Jab Apne Husn ki Mehfil sajaane ka Khayal aaya

Jab Apne Husn ki Mehfil sajaane ka Khayal aaya ..

Jab Apne Husn ki Mehfil sajaane ka Khayal aaya …

 

(Haañ saab, Ye Jab ki haiñ baateiñ, ke jab Aadam bhi nahi the)

(Jalwe to Aap Hazrat Rasoolullah Karim sallallaho Alaihi wasallam ke us waqt bhi the, Kab? ke jab Hazrat Aadam Alaihissalam ko duniya me nahi bheja tha Allah ta’aala ne. Us waqt bhi Huzur ka Noor maujood tha. Kehte haiñ ke- Jalwe tere us Waqt bhi the, aur kam bhi nahi the. Ye baateiñ jab ki hain, jab Hazrat-e-Adam bhi nahi the)

 

Jab Apne Husn ki Mehfil sajaane ka Khayal aaya

Jab Apne Husn ki Mehfil sajaane ka Khayal aaya

Aur, Charagh-e-Bazm-e-Imkaañ ke Jalaane ka khayaal aaya

Charagh-e-Bazm-e-Imkaañ ke Jalaane ka khayaal aaya

Aur, Hareem-e-Naaz ke parde uthane ka khayal aaya

Hareem-e-Naaz ke parde uthane ka khayal aaya

To, Khuda ko noor jab apna dikhane ka khayal aaya

Khuda ko noor jab apna dikhane ka khayal aaya

Khuda ko noor jab apna dikhane

 

Aaa..

Khuda ko,

Khuda ko noor jab, apna dikhane ka khayal aaya

Rukh-e-Ahmed ko. O.

Rukh-e-Ahmed ko aayina banane ka khayal aaya

Rukh-e-Ahmed ko aayina banane ka khayal aaya

 

Rukh-e-Ahmed ko, Ahmad ko..

Rukh-e-Ahmed ko, Ahmad ko..

Rukh-e-Ahmed ko Aayina banane ka khayal aaya

Khuda ko noor jab apna dikhane ka khayal aaya

 

Aaya..

Rukh-e-Ahmed ko Aayina banane ka khayal aaya

Rukh-e-Ahmed ko Aayina banane ka khayal aaya

 

Inhi ke waaste paida kiya saare Zamaane ko

Inhi ke waaste paida kiya saare Zamaane ko

 

Aur, Inhi par khatm farmaya zamane ke fasane ko

Inhi par khatm farmaya zamane ke fasane ko

 

Aur Saji,

Saji, Bazm-e-Jahañ Mehboob ki Izzat badhane ko

Saji Bazm-e-Jahañ Mehboob ki Izzat badhane ko

To, Sar-e ……. ee.. ee. Eeee..

Sar-e-Mehshar do alam ko bula bheja dikhane ko

 

Aaa..

Sar-e-Mehshar, do alam ko bula bheja dikhane ko

Unhe jab hashr mein dulha banane ka khayal aaya

Unhe jab Hashr meiñ Doolha banane ka khayaal aaya

Unhe jab Hashr meiñ Doolha banane ka khayal aaya

 

Unhe jab.. Hashr meiñ Dulhaa

Unhe jab.. Hashr meiñ Dulhaa

Unhe jab Hashr meiñ Doolha banane ka khayaal aaya

Unhe jab Hashr meiñ Doolha banane ka khayaal aaya

 

Aur, Baharoñ ko a’taa kiñ wus-a’teiñ, Phooloñ ko Hairani

Baharoñ ko a’taa keeñ wus-a’teiñ, Phooloñ ko Hairani

 

Zimeeñ ko Husn bakhsha, Charkh ko bakshi Darakh-shaani

Zameeñ ko Husn bakhsha, Charkh ko bakshi Darakh-shaani

 

Qamar ko Noor, Taaroñ ko Chamak, Zarroñ ko Taabaani

Qamar ko Noor, Taaroñ ko Chamak, Zarroñ ko Taabaani

Qamar ko Noor, Taaroñ ko Chamak, Zarroñ ko Taabaani

 

(Haan saab, Samaat farmaayeñ: Jab Nabi-e-Kareem sallaaho Alaihi wasallam, Makke meñ Tashreef laa rahe the, Ye us waqt ka Manzar hai. Allah Ta’ala ne- Baharoñ ko a’taa keeñ wus-a’teiñ, Phooloñ ko Hairani. Zameeñ ko Husn bakhsha, Charkh ko bakshi Darakh-shaani. Qamar ko Noor, Taaroñ ko Chamak, Zarroñ ko Taabaani)

 

(Kyuñ)

Ai..Baad-e-Sabaa.. kya tune suna?

Ai Baad-e-Sabaa.. kya tune suna?

Mehmaan wo aane wale haiñ

Kalll…iyañ na bichha

Kaliyañ na bichha

Kaliyañ na bichha tu raahoñ meiñ

Kaliyañ na bichha tu raahoñ meiñ,

Hum Aañkheñ bichhane wale haiñ

 

Baharoñ ko a’taa keeñ wus-a’teiñ, Phooloñ ko Hairani

Zameeñ ko Husn bakhsha, Charkh ko bakshi Darakh-shaani

Qamar ko Noor, Taaroñ ko Chamak, Zarroñ ko Taabaani

Sajawat ko Chaman ke dee gayi woh Jalwa-Saamani

Chaman meiñ jab teri Tashreef laane ka khayaal aaya

 

Chaman meiñ..Ya Rasoolallah..

Chaman meiñ..Ya Rasoolallah..

Chaman meiñ jab teri Tashreef laane ka khayaal aaya

Chaman meiñ jab teri Tashreef laane ka khayaal aaya

Chaman meiñ jab teri Tashreef laane ka khayaal aaya

 

To, Shab-e-Asra kaha Khaliq ne, ho jo Mustafa maañgo

Shab-e-Asra kaha Khaliq ne ho jo Mustafa maañgo

Aur, Tumhare waaste haiñ, do Jahañ ai Mustafa maañgo

Tumhare waaste haiñ do Jahañ ai Mustafa maañgo

A’taa kardooñ agar kuch aur bhi iske siwa maañgo

A’taa kardooñ agar kuch aur bhi iske siwa maañgo

A’taa kardooñ agar kuch aur bhi iske siwa maañgo

 

To, Shab-e-Asra kaha Khaaliq ne ho, jo Mustafa maañgo…

Nabi ko Apni Ummat Baksh-waane ka Khayal aaya

Nabi ko Apni Ummat Baksh-waane ka Khayal aaya

Nabi ko Apni Ummat Baksh-waane ka Khayal aaya

Nabi ko Apni Ummat Baksh-waane ka Khayal aaya

Nabi ko …

 

Aa..a.a…a, Aa…….a…a.a.a…

e..e…aaa..a..a..a

Sa ga pa pa, pa ga pa ga sa

Sa ga pa pa, pa ga pa ga sa

Aaa..aa..a.a..a.a..

Aa..aa..aa..aa..aa…aa..aa..aa..aaa

Aa..aa..aa..aa..aa..aa..aa…aa..aa..aa..aaa

 

Nabi ko Apni Ummat Baksh-waane ka Khayal aaya

Nabi ko Apni Ummat Baksh-waane ka Khayal aaya

Aur, Jab Apne Husn ki Mehfil sajane ka khayaal aaya..

Aaa..


See Translation in English


Urdu, Hindi and English Lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Allama Saim Chishti  | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

| Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir Maulvi Ahmad Hassan Akhtar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *