Sara Aalam Naam Leva Ghaus e Samdani Ka Hai lyrics, Manqabat Shah e Jilan lyrics
Qawwali Sarfaraz Chishti
Tere nazdeek murdo ka jilana kuchh nahin mushkil
Tere nazdeek dooboñ ko Tirana kuchh nahin mushkil
Tere nazdeek bigdi ko banana kuchh nahi mushkil
Meri bigdi bana do ya Muhaiyyudin Jilani
Diloñ par Hazrat e Ghaus ul Wara ki hukmraani hai
Ajab tarz e takallum hai, ajab Mauj e Rawaani hai
Khuda ne isliye Ghaus ul Wara ki baat maani hai
Mera Jilañ mere pyare Muhammad ﷺ ki nishaani hai
Is tarha karam aam hai Peeran e Peer ka
Sab ki zabañ pe naam hai Peeran e Peer ka
Sara Aalam Naam Leva Ghaus e Samdani Ka Hai
Sara Aalam Naam Leva Ghaus e Samdani Ka Hai
Aam har ik par karam Mahboob e Sub’hani Ka Hai
Rukhe Mahboob e Sub’hani ke Sadqe
Maiñ us Tasveer e laa Saani ke Sadqe
Tasadduq hai haseenon par zamana
Main apne Peer e Laa Saani ke Sadqe
Fida Bedam Ali ke laadloñ par
Rasool Allah ke jaani ke Sadqe
Saara Aalam Naam Lewa Ghaus e Samdani Ka Hai
Raaz Aakhir keh gaya jazbaat meiñ
Jhoot to hargiz nahi is baat meiñ
Wo Muhammad ﷺ ke rahega saath mein
Ghous ka daaman ho jiske haath meiñ
Saara Aalam Naam Lewa Ghaus e Samdani Ka Hai
Saara Aalam Naam Lewa Ghaus e Samdani Ka Hai
Aam har ik par karam Mahboob e Sub’hani Ka Hai
Sheesha ehsaas kar gaya hota
Zarra zarra bikhar gaya hota
Teri nisbat ne zindagi bakhshi
Warna main kab ka mar gaya hota
Aam har ik par karam Mahboob e Sub’hani Ka Hai
Hadd e gham e hasti se guzarne nahi dete
Gar maut bhi aa jaaye to marne nahi dete
Tasbeeh ke daanoñ ko bikharne nahi dete
Ye jisko banaate hain bikharne nahi dete
Aam har ik par karam Mahboob e Sub’hani Ka Hai
Sarkar jiske aap nigehbaan ho gaye
Jo kal gada the aaj wo Sultan ho gaye
Aam har ik par karam Mahboob e Sub’hani Ka Hai
Utho faqeer uttho lag jaao laa’in mein
Sadqa har ik ko milega Peeran e Peer ka
Aam har ik par karam Mahboob e Sub’hani Ka Hai
Tere karam ne aisa nawaza teri qasam
Duniya se maangne ki zarurat nahi rahi
Main khaak nasheeñ tha mujhe Masnad pe bithaya
Ye tera nawazish hai tera karam hai
Aam har ik par karam Mahboob e Sub’hani Ka Hai
Jo bigdi ban nahi sakti use jilaañ banaate hain
Khuda ko dena padta hai jise Jeelañ dilate hain
Maanta hoon waqt mujh par ye Pareshani ka hai
Mere haathon mein bhi daaman Shaah e Jilani Ka Hai
Be asar jiski dua ho ye wo faqeer nahi
Hamare peer ke jaisa kisi ka peer nahin
Mere haathon mein bhi daaman Shaah e Jilani Ka Hai
Ye woh daaman hai daaman khuda ki qasam
Door karta hai jo Deen o duniya ke gham
Marte dam tak inhi ki mohabbat rahe
Mere ghaus ka daaman salamat rahe
Mere haathon mein bhi daaman Shaah e Jilani Ka Hai
Aa gaya unka daaman mere haath mein
Mushkileñ ab raheñ apni auqat mein
Mere haathon mein bhi daaman Shaah e Jilani Ka Hai
Jaanta hoon jo irada Mauj e tughyani ka hai
Mere hathon mein bhi daaman Ghaus e Jilani Ka Hai