guldane murtaza ke hein gulab ghouse azam Lyrics

guldane murtaza ke hein gulab ghouse azam Lyrics 

Naat Khwan: Asad Iqbal

 

गुलदाने मुर्तज़ा के हैं गुलाब ग़ौसे आज़म
हैं सितारे औलिया तो माहताब ग़ौसे आज़म

guldane murtaza ke hein gulab ghouse azam
Hain sitare auliya to mahtab ghouse azam

 

अभी चांदनी लुटाए भरी दोपहर का सूरज
तू हटा दे अपने रुख से जो नक़ाब ग़ौसे आज़म

Abhi chandni lutaye bhari dopahar ka sooraj
Tu hata de apne rukh se jo naqaab ghause azam

 

जिसे हर्फ़ हर्फ़ पढ़कर हुए औलिया भी कामिल
वही नूर ए मारफ़त की है किताब ग़ौसे आज़म

Jise harf- harf padhkar huye aulya bhi kaamil
Wahi noore marifat ki hain kitab ghause azam

 

तेरी ज़िक्र अब्रे रह़मत तेरी फ़िक्र जाने राहत
तुझे सोचना मुसलसल है सबाब ग़ौसे आज़म

Tera zikr abre rahmat teri fikr jaane rahat
Tujhe sochna musalsal hai sabab gouse azam

 

तुझे मुस्त़फ़ा के सदक़े वोह मक़ाम रब ने बख़्शा
ना मिसाले औलिया में ना जवाब ग़ौसे आज़म

Tujhe mustafa ke sadqe woh maqaam rab ne bakhsha
Na misale auliya me na jawab ghause azam

 

तेरे जल्वा ए हसीं कोई क्या नज़र मिलाये
भला किस में इतनी होगी तबोताब ग़ौसे आज़म

Tere jalwa e hasin se koi kya nazar milaye
Bhala kis me itni hogi tabotaab ghause azam

 

तेरा इ़श्क़ रखने वाला हुआ जन्नती मुसाफ़िर
तेरा बुग़्ज़ तो ख़ुदा का है अजाब ग़ौसे आज़म

Tera ishq rakhne wala hua jannati musafir
Tera bughz to khuda ka hai ajaab ghouse azam

 


Hain sitare auliya to mahtab ghouse azam lyrics


Hindi And English lyrics

Naat-E-Paak|

 Khalid Mahmud ‘Khalid’ Allama Saim Chishti  | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

 

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *