Mere Nabi Sa Koi Saahib e Kamaal Nahi English Lyrics
Singer: Tahir Chishti
Lyrics: Tahir Chishti
हिन्दी के लिए यहां टच करें
Mere Nabi Sa Koi Saahib e Kamaal Nahi
Ye Wo Rasool Hein Jinki Koi Misaal Nahin
Baghair Ishq e Muhammad Khuda Nahin Milta
Koi Maqaam Koi Martaba Nahin Milta
Jahan Me Aaye Hein Yun To Tamaam Paighaber
Magar Janab e Shahe Ambiya Nahin Milta
Ye Wo Rasool Hein Jinki Koi Misaal Nahin
Quraan Se Aya.n Hai Haqiqat Rasool Ki
Karne Ko Noor Aata Hai Ziyarat Rasool Ki
Mashgool The Quraa.n Ki Tilawat Me Khud Rasool
Quraan Kar Raha Tha Tilawat Rasool Ki
Ye Wo Rasool Hein Jinki Koi Misaal Nahin
Jo Kaam Aata Ho Us Rahnuma Ki Baat Karo
Bhatak Rahe Ho To Shaahe Khuda Ki Baat Karo
Bhala Charagh Se Kab Roushani Juda Hogi
Khuda Ke Saath Rasool e Khuda Ki Baat Karo
Ye Wo Rasool Hein Jinki Koi Misaal Nahin
Tanveer e Kibriya Hai Dayare Rasool Me
Jalwon Ka Silsila Hai Dayare Rasool Me
Lazim Hai Ahtraam Ki Nazron Se Dekhna
Kya Jaane Koun Kya Hai Dayare Rasool Me
Ye Wo Rasool Hein Jinki Koi Misaal Nahin
Gulab, Bela, Chameli Na Mushk Amber Se
Mahak Raha Hai Zamana Gul e Payamber Se
Bareilly, Kaliyar o Ajmer, Karbala Wa Najaf
Tamaam Nahreyn Hain Nikli Isi Samandar Se
Ye Wo Rasool Hein Jinki Koi Misaal Nahin
Laat o Huwal Manane Ka Charcha Tha Jagah-Jagah
Sara Nizaam e Dahar Tha Us Dam Bujha-Bujha
Ranaeeye Jahan Ko Hai Sadqa Rasool Ka
Har Ped Ye Kah Raha Hai Hokar Hara Bhara
Ye Wo Rasool Hein Jinki Koi Misaal Nahin
Na Maal o Zar Na Khazina Talash Karta Hai
Ghulam Raahe Madina Talash Karta Hai
Khuda Ne Aib Kahan Mustafa Me Rakkha Hai
Jo Aake Najdi, Bahawi Talash Karta Hai
Ye Wo Rasool Hein Jinki Koi Misaal Nahin
Hai Sheesh Ka Idris o Zakariya Ka Muqaddar
Ye Nooh Bhi, Ye Loot Bhi Kahte Hein Barabar
Be-misl Be-Nazeer Hai Allah Ka Mahboob
Kahta Hai Jhoom-Jhoom Ke Ye Har Ek Payamber
Ye Wo Rasool Hein Jinki Koi Misaal Nahin
Hindi And English Lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan