Aisa Koi Mehboob Hua Hai Na To Hoga Lyrics | ऐसा कोई महबूब हुआ है न तो होगा लिरिक्स | ایسا کوئی محبوب ہوا ہے نہ تو ہوگا | Hazrat Umar Ke Daur-e Khilafat Ka Waqya lyrics
Qawwal : Jani Babu
हिंदी में पढ़िए
Aisa koi mehboob hua hai na to hoga..
Aisa koi mehboob hua hai na to hoga..
Dil Pukara Mujhko Ik Noor-e Mujarrad Chaahiye
Shauq Bola Noor Ki Aur Naar Ki Zad Chaahiye
Aql Boli Naala o Fariyad Ki Had Chaahiye
Ishq Bola Jazwa e Mansoor o Sarmad Chaahiye
Aañkh Boli Mujhko Deedar e Muhammad Chaahiye
Aisa koyi mehboob hua hai na to hoga..
Aisa koyi mehboob hua hai na to hoga..
Apne Bandoñ Se Kiya Maalik Ne Ye Jis Dam Sawal
Ik Taraf Rahmat Hai Meri Ik Taraf Qahr o Jalal
Ik Taraf Hai Husn-e Yusuf Ik Taraf Duniya Ka Maal
Manglo Kya Chahiye Zahir Karo Apna Khayal
Saari Duniya Bol Uthi Humko Mohammed Chaahiye
Aisa koyi mehboob hua hai na to hoga..
Aisa koyi mehboob hua hai na to hoga..
Jab Jab Bhi Tasawwur Par Ghalib Darbar e Payambar Hota Hai
Allah Re Mere Peish-e Nazar Firdaus Ka Manzar Hota Hai
Jis Waqt Namaz-e Ulfat Se Imaan Munawwar Hota Hai
Naa’lain e Mohammad Ka Bosa Sajde Ke Barabar Hota Hai
Aisa Koyi Mahboob Hua Hai Na To Hoga
Aisa Koyi Mahboob Hua Hai Na To Hoga
Hazrat Umar Ke Daur-e Khilafat Ka Waaqaya
Suniye Huzoor Tumko Sunata Hun Main Zara
Bachcha Tha Ek Unka Haseeñ Aur Ladla
Hazrat Umar Ki Aankhon Ka Tara Tha Dil Ka Chain
Ek Roz Raste Mein Mile Aap Se Hussain
Bad Assalam Khelne Ka Mashwara Hua
Us Kamsini Meiñ Donoñ Ka Jab Saamna hua
Kuchh Khel Khelte Hue Uljhan Si Ho Gai
Ghusse Meiñ Laal Muh Hue Aapas Meiñ Tan Gayi
Bole Hussain Kis Tarah Tu Bad-Lagaam Hai
Maaloom Hai Tujhe Tu Hamara ghulaam hai
Bachche Ko Sun Ke Josh Mein Kuchh Na Rahi Khabar
Bola Ke Mera Baap Bhi Sultan Hai Umar
Main Badshah Ka Ladka Hun Tazim Meri Kar
Warna Maiñ Apne Baap Ko Dooñga Teri Khabar
Bole Husain Jao Abhi Baap Se Kaho
Tumko Qasam Hai Kahte Hue Mujhse Na Daro
Bachche Ne Ja Ke Baap Ko Qissa Suna Diya
Abba Hameñ Husain Ne Neecha Dikha Diya
Ghulaam kaha hai!
Abba Hameñ Husain Ne Neecha Dikha Diya
Bole Umar Ye Bete Se Tu Ja Ke Bolna
Jo Kuchh Kaha Hai Aapne Likh Dijiye Zara
Bacche Ne Phir Husain Ko Jakar Yahi Kaha Tumne Ghulam Jo Kaha Likh Dijiye Zara
Bole Hussain Ye Koi Mushkil Maqaam Hai !
Ham Likh Ke De Rahe Hain Tu Mera Ghulaam Hai
Bachche Ne Jake Baap Ko Tahreer Jab Ye Di
Hazrat Umar Ne Aakho Se Apne Vahiñ Mali
Bole Umar Ye Bete Se Maiñ Shaad Kaam Hun
Tu Cheez Kya Hai Maiñ Bhi To Unka Ghulaam Hooñ
Aisa Koyi Mahboob Hua Hai Na To Hoga..
Aisa Koyi Mahboob Hua Hai Na To Hoga..
Ali se Arz ki ik Shakhs ne iska Sabab kya hai
Ke Kalme mein Nabi Ke Naam ko Maabaad Rakha Hai
Khuda Ne Khud ko di Tarjeeh to fir yeh Ishq kaisa hai
Rakhe Mashook ko piche yeh kab Aashiq ka Sheva hai
Ali ne is tarah samjhaya use Gustaakh e Behad ko
Are nadan tu Samjha Nahin is Raaz e Wahdat ko
Khuda ne isliye rakha hai peechhe Naam e Ahmad ko
Ke Naa-paaki mein na le le koi Naam e Mohammad ko
Zubaañ dhul Jaaye pahle Naam Jab Allah ka nikle
Phir uske baad Mein kalma Rasulullah ka nikle
Aisa Koyi Mahboob Hua Hai Na To Hoga..
Aisa Koyi Mahboob Hua Hai Na To Hoga..
Urdu, Hindi and English Lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hassan Akhtar