Huzoor Aagaye Hain Naat Lyrics | Falak Ke Nazaro Zameeñ Ki Baharo Naat Lyrics | ﻓﻠﮏ ﮐﮯ ﻧﻈﺎﺭﻭ ﺯﻣﯿﻦ کی ﺑﮩﺎﺭﻭ | फलक के नज़ारो ज़मीं की बहारो | हुज़ूर आगए हैं | Rabiul Awwal Naat
Kalaam : Mohammad Ali Zahoori
हिंदी में पढ़िए | اردو میں پڑھیے
Falak ke naazaro, zameen ki bahaaro
Sub Eidein manao Huzoor Aagaye hain
Uttho bay saharo chalo gham ke maaro
khabar ye sunao Huzoor Aagaye hain
Huzoor Aa Gaye hain, Huzoor Aa Gaye hain
Anokha niraala Woh zee shaan aaya
Woh saare Rasoolon ka Sultan aaya
Aray kaj kula’ho aray baadshaho
Nigahein jhukao Huzoor Aagaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huwaa char su Rahmaton ka basera
Ujaala ujaala, sawera sawera
Halima ko pohnchi khabar Aamina ki
mere ghar main aao Huzoor Aagaye Haiñ
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Hawaon mein jazbaat hain Marhaba ke
fizaon mein naghmaat Salle’Alla ke
Daroodon ke gajre salamon ke tohfe
Ghulamo sajaao, Huzoor Aagaye Hain
Huzur aagaye hain, Huzur aagaye hain
Sama hai sana e Habeeb e Khuda ka
Yeh Milad hai Sarwar e Ambiya ka
Nabi kay gadao, sab ik doosre ko
Khabar yeh sunao, Huzoor agaye hain
Huzur agaye haiñ, Huzur agaye Haiñ
Kahañ Maiñ Zahoori Kahañ Unki Baateñ
Karam hi karam hain ye Din aur Raateiñ
Jahañ par bhi jaao Diloñ ko jagaao
Yahi kahte jaao Huzur aagaye Hain
Huzur agaye hain, Huzur agaye hain
Falak ke naazaro, zameen ki bahaaro
Sab Eidein manao Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Assalato Wassalaamo Alaika Ya Rasool Allah s.a.w
Urdu, Hindi and English Lyrics
Our Pages
Naat-E-Paak
Rabiul Awwal Se Mutalliq Kalam
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Imam Ahmad Raza Khan
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan: