Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi Lyrics in Urdu, Hindi and English | اب میری نگاہوں میں جچتا نہیں کوئی | अब मेरी निगाहों में जचता नहीं कोई | Kahlid Mahmood
Kalaam : Khalid Mahmood ‘Khalid’
हिंदी में पढ़िए
Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
اب میری نگاہوں میں جچتا نہیں کوئی
جیسے مرے سرکار ہیں ویسا نہیں کوئی
Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
Jaise Meray Sarkaar Hain Waisa Nahi Koi
تم سا تو حسیں آنکھ نے دیکھا نہیں کوئی
یہ شان لطافت ہے کہ سایہ نہیں کوئی
Tumsa Tou Haseen Aankh Ne Dekha Nahi Koi
Ye Shaan-e-Latafat Hai Ke Saaya Nahi Koi
اے ظرفِ نظر دیکھ مگر دیکھ ادب سے
سرکار کا جلوہ ہے تماشا نہیں کوئی
Aye Zarf e Nazar Dekh Magar Dekh adab se
Sarkar Ka Jalwa Hai Tamasha Nahin Koi
یہ طور سے کہتی ہے ابھی تک شب معراج
دیدار کی طاقت ہو تو پردہ نہیں کوئی
Ye Toor Say Kehti Hai Abhi Tak Shab-e-Mairaj
Deedar Ki Taaqat Ho To Parda Nahin Koi
ہوتا ہے جہاں ذکر محمد ﷺ کے کرم کا
اس بزم میں محرومِ تمنا نہیں کوئی
Hota Hai Jahañ Zikr Muhammad ﷺ Ke Karam Ka
Uss Bazm Mein Mehroom e Tamanna Nahi Koi
اعزاز یہ حاصل ہے تو حاصل ہے زمیں کو
افلاک پہ تو گمبد ِ خزرا نہیں کوئی
Aizaaz Ye Haasil Hai Tou Haasil Hai Zamee Ko
Aflaak Pe Tou Gumbad-e-Khizra Nahi Koi
درمانِ غم و درد شفاءِ دلِ بیمار
جزو آپ کے اے جان مسیحا نہیں کوئی
Darmaan e Gham o Dard, Shifaa e Dil e Betaab
Juz Aap ke Ay Jaane Masiha Nahiñ Koi
سرکار کی رحمت نے مگر خوب نوازا
یہ سچ ہے کہ خالد سا نکما نہیں کوئی
Sarkar Ki Rehmat Ne Magar Khoob Nawaza
Ye Sach Hai Ke Khalid Sa Nikamma Nahi Koi
از کلام : خالد محمود خالد نقشبندی
ab meri nigaho me jachta nahi koi naat lyrics
Urdu, Hindi and English Lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hassan Akhtar