Sar Bulandi Ki Riwayat Sar Katane Se Chali Lyrics

Sar Bulandi Ki Riwayat Sar Katane Se Chali Lyrics
सर बुलन्दी की रिवायत सर कटाने से चली

Naat Khwan: Owais Raza Qadri

 

सर बुलन्दी की रिवायत सर कटाने से चली
नब्ज़ ए ईमां, तेरी नब्ज़ें डूब जाने से चली
Sar Bulandi Ki Riwayat Sar Katane Se Chali
Nabz-e Imaan, Teri Nabzein Doob Jane Se Chali

 

नज़र-ए-दीं, जां ही नहीं, सब लख़्ते जां भी कर दिए
रीत ये तुझसे चली तेरे घराने से चली
Nazar-e-Deen Jaan Hee Nahi, Sab Lakhte Jaa.n Bhi Kar Diye
Reet Ye Tujhse Chali Tere Gharane Se Chali

 

तूने मानी ही बदल डाले शिकस्त-ओ-फ़त्ह के
रस्मे हस्ती, अपनी हस्ती को मिटाने से चली
Tune Maani Hee Badal Daale Shikhast-o-Bat’ha Ke
Rasme Hasti, Apni Hasti Ko Mitane Se Chali

 

घर से तुझको कर्बला की सम्त जाता देख कर
अब्र उठा सहरा से, बिजली आशियाने से चली
Ghar Se Tujhko Karbala Ki Samt Jata Dekh Kar
Abr Utha Sahra Se Bijli Aashiyane Se Chali

 

आने वाला लम्हा-लम्हा तेरी बैअत कर चुका
बात तेरी अज़-सरे-नौ हर ज़माने से चली
Aane Wala Lamha-Lamha Teri Baiyat Kar Chuka
Baat Teri Ajsare Nouhar Zamane Se Chali

 

सर बुलन्दी की रिवायत सर कटाने से चली
नब्ज़ ए ईमां, तेरी नब्ज़ें डूब जाने से चली
Sar Bulandi Ki Riwayat Sar Katane Se Chali
Nabz-e Imaan, Teri Nabzein Doob Jane Se Chali

 

मैं मुह़म्मद का ग़ुलाम आले मुह़म्मद का ग़ुलाम
अपनी हर तस्वीर इसी आईना ख़ाने से चली
Main Muhammad Ka Ghulam Aale Muhammad Ka Ghulam
Apni Har Tasveer Isi Aaina Khane Se Chali

 

सर बुलन्दी की रिवायत सर कटाने से चली
नब्ज़ ए ईमां, तेरी नब्ज़ें डूब जाने से चली
Sar Bulandi Ki Riwayat Sar Katane Se Chali
Nabz-e Imaan, Teri Nabzein Doob Jane Se Chali


Hindi and English Lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Allama Saim Chishti  | Bedam  Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

QAWWALI |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hassan Akhtar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *