Wasf e Rukh Unka Kiya Karte Hain lyrics in hindi
वस्फ़े रुख़ उनका किया करते हैं लिरिक्स
Naat Khwan: Owais Raza Qadri
वस्फ़े रुख़ उनका किया करते हैं,
शरहे वश्शम्सुद्दुह़ा करते हैं।
उनकी हम मदह़ो सना करते हैं,
जिनको मह़मूद कहा करते हैं।
Wasf-E-Rukh Unka Kiya Karte Hain,
Shar’he wash-shamsudduha Karte Hain.
Unki Hum Mud-ho Sana Karte Hain,
Jinko Mahmood Kaha Karte Hain.
उंगलियां पाईं प्यारी प्यारी,
जिन से दरिया-ए-करम हैं जारी ।
जोश पर आती है जब ग़म ख़्वारी,
तिश्ने सैराब हुआ करते हैं ।
Ungliyan Paayi(n) Wo Pyaari-Pyaari,
Jin se Dariya-E Karam Hain Jaari.
Josh Par Aati Hai Jab Gumkhwari,
Tishne Sairaab Hua Karte Hain
उनकी हम मदह़ो सना करते हैं,
जिनको मह़मूद कहा करते हैं।
Unki Hum Mud-ho Sana Karte Hain,
Jinko Mahmood Kaha Karte Hain.
तू है खुरशीदे रिसालत प्यारे,
छुप गये तेरी ज़िया में तारे ।
अम्बिया और हैं सब मह-पारे,
तुझसे ही नूर लिया करते हैं ।
Tu Hai Khursheed-E-Risalat Pyaare
Chhup Gaye Teri Ziya Me Taare
Ambiya Aur Hain Sab Mah-Paare,
Tujhse Hi Noor Liya Karte Hain.
उनकी हम मदह़ो सना करते हैं,
जिनको मह़मूद कहा करते हैं।
Unki Hum Mud-ho Sana Karte Hain,
Jinko Mahmood Kaha Karte Hain.
जिस के जल्वे से उहुद है ताबां,
मा’दिने नूर है इस का दामां ।
हम भी उस ख़ाक़ पे होकर कुरबां,
दिले संगी की जिला करते हैं ।
Jiske Jalwe Se Uhud Hai Taba(n),
Ma’dine Noor Hai Uska Damaa(n).
Hum Bhi Us Khaaq Pe Ho Kar Kurbaa(n),
Dil-E Sangi Ki Jila Karte He
उनकी हम मदह़ो सना करते हैं,
जिनको मह़मूद कहा करते हैं।
Unki Hum Mud-ho Sana Karte Hain,
Jinko Mahmood Kaha Karte Hain.
आस्तीं रह़मते आ़लम उल्टे,
कमर-ए-पाक पे दामन बांधे ।
गिरने वालों को चहे दोज़ख़ से,
साफ़ अलग ख़ीच लिया करते हैं ।
Aastee(n) Rehmat-E Aalam Ulte,
Kamar-e-Paak Pe Daaman Baandhe.
Girne Waalon Ko Chahe Dohzakh Se,
Saaf Alag Kheench Liya Karte Hain.
उनकी हम मदह़ो सना करते हैं,
जिनको मह़मूद कहा करते हैं।
Unki Hum Mud-ho Sana Karte Hain,
Jinko Mahmood Kaha Karte Hain.
हां यही करती हैं चिड़ियां फ़रियाद,
हां यही चाहती है हरनी दाद ।
इसी दर पर शुतराने नाशाद,
गिला-ए-रन्जो अ़ना करते हैं ।
Haan Yahin Karti Hain Chidiyan Fariyaad,
Haan Yahin Chaahti Hai Harni Daad.
Isi Darr Par Shutraane-Naashaad,
Gila-E-Ranjo Ana Karte Hain.
उनकी हम मदह़ो सना करते हैं,
जिनको मह़मूद कहा करते हैं।
Unki Hum Mud-ho Sana Karte Hain,
Jinko Mahmood Kaha Karte Hain.
Urdu, Hindi and English Lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hassan Akhtar