Sanson Ki Mala Pe Simrooñ Main Pee Ka Naam Lyrics
Qawwal : Nusrat Fateh Ali Khan
हिंदी में पढ़िए
Aa piya in nainan mein
main palak dhaañp tohe looñ
Na main dekhooñ ghair ko
na main tohe dekhan dooñ
Kajar daarooñ kirkara Surma diya na jaaye
Jin nainan mein piya base
bhala dooja kaun samaay
Neel gagan se bhi parei sayyan ji ka gaam
Darshan jal ki kaamna patt rakhiyo hey raam
Ab Qismat ke haath hai is bandhan ki laaj
Maine to man likh diya saañwariya ke naam
Jaane kaun se bhes me saañwariya mil jaaye
Jhuk jhuk kar sansar me sab ko karooñ Salaam
Wo chaatar hai kaamini wo hai sundar naar
Jis pagli ne kar liya saajan ka man raam
Jab se Radha-Shyam ke nain hue hain chaar
Shyam bane hain Radhika Radha ban gayi Shyam
Sanson Ki Mala Pe
Sanson Ki Maala Pe Simrooñ Maiñ Pee Ka Naam
Apne Man Ki Maiñ Jaanooñ Aur Pee Ke Man Ki Raam
Sanson Ki Maala Pe..
Sanson Ki Maala Pe..
Sanson Ki Maala Pe Simroon Main Pee Ka Naam
Yahi meri bandagi hai,
Yahi meri pooja hai.
Sanson Ki Mala Pe Simrooñ Maiñ, Pee Ka Naam
Ik ka sajan mandir mein
Aur ik ka preetam masjid mein, par main
Sanson Ki Maala Pe Simroon Main Pee Ka Naam
Ham aur nahi kachhu kaam ke
Matwale pee ke naam ke
Sanson Ki Maala Pe Simroon Main Pee Ka Naam
Sajani paati tab likhuñ, Jo Pritam Ho Pardes
Tan meiñ, man meiñ, piya base, ab bhejooñ kise sañdes?
Sanson Ki Mala Pe Simroon Main Pee Ka Naam
Har har mein hain har base
(Isme usme tujhme mujhme)
Har har mein hain har base
Har har ko har ki aas,
Har ko har har dhooñdh phiri
Aur har hain morey paas.
Sanson Ki Mala Pe Simroon Main, Pee Ka Naam.
Prem Ke Rang Mein Aisi Doobi, Ban Gaya Ek Hi Roop
Prem Ki Maala Japte Japte, Aap Bani Main Shyam
Sanso Ki Maala Pe Simroon Maiñ …
Preetam Ka Kuchh Dosh Nahiñ Hai, Wo To Hai Nirdosh
Apne Aap Se Baaten Kar Ke, Ho Gayi Main Badnaam
Sanso Ki Maala Pe Simroon Main …
Prem Pyala Jab Se Piya Hai Jee Ka Hai Ye Haal
Angaaroñ Pe Neeñd Aa Jaaye Kaañtoñ Pe Aaraam
Sanso Ki Maala Pe Simroon Main …
Jiwan Ka Singaar Hai Preetam, Maañg Ka Hai Sindoor,
Preetam Ki Nazron Se Gir Ke Jeena Hai Kis Kaam.
Sanson Ki Mala Pe Simrun Main Pee Ka Naam
Simroon Main Pee Ka Naam
Simroon Main Pee Ka Naam
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar