Main Dar e Mustufa Ka Mangta Hoon Lyrics

Main Dar e Mustufa Ka Mangta Hoon Bheek Milti Hai.. (Naat e Paak) Lyrics in Urdu, Hindi and English.. میں در مصطفی کا منگتا ہوں मैं दरे मुस्तफा का मंगता हूं ..


हिंदी में लिरिक्स पढ़िए


میں در مصطفی کا منگتا ہوں بھیک ملتی ہے آستانے سے
جو سگ ہیں در محمد ﷺ کے کچھ نہیں مانگتے زمانے سے
Main Dar e Mustufa Ka Mangta Hoon
Bheek Milti Hai Aastane Se
Jo Bhi Sag Haiñ Dar-e Muhammad ﷺ Ke
Kuchh Nahin Maangte Zamane Se

 

ہم تو صدقہ نبی کا کھاتے ہیں ان کی چوکھٹ پہ سر جھکاتے ہیں
ہر جگہ سر بلند رہتا ہے ان کی چوکھٹ پہ سر جھکانے سے
Ham to sadqa nabi ka khaate hain
Unki chaukhat pe sar jhukate hain
Har jagah sar buland rahta hai
Unki chaukhat pe sar Jhukane se

 

جب کوئی بات نہ بنے تیری یا نبی یا نبی پکارا کر
وہ بنائیں تو بات بنتی ہے ایسے بنتی نہیں بنانے سے
Jab koi baat na bane teri
Ya nabi ya nabi pukara kar
Wo banayeñ to baat banti hai
Aise banti nahin banane se

 

جب سے میں نے سجا کے رکھا ہے نام سرکار کا محبت سے
بجلیاں جو ستم کی گرتی ہیں لوٹ جاتی ہیں آشیانے سے
Jab se maine saja ke rakha hai
Naam sarkar ka mohabbat se
Bijliyan Jo sitam ki girti hain
Laut jaati hain aashiyane se

 

مجھ پے کتنا کرم حضور کا ہے جب بھی تڑپا ہے دل زیارت کو
مجھ کو در پہ بلا ہی لیتے ہیں میرے آقا کسی بہانے سے
Mujhpe kitna karam huzur ka hai
Jab bhi tadpa hai dil ziyarat ko
Mujhko dar pe bula hi lete hi lete hain
Mere aaqa kisi bahaane se

 

آلِ اَطْہار جس کو کہتے ہیں وہ گھرانہ نبی کی آل کا ہے
وہ میرے مصطفی کا پیارا ہے جس کو نسبت ہے اس گھرانے سے
Aale athaar jisko kahte Hain
Wo gharaana nabi ki aal ka hai
Wo mere mustafa ko pyara hai
jisko Nisbat hai is gharane se

 

میں گنہگار ہوں سجل لیکن ایک امید دل میں رہتا ہوں
ہوگی بخشش ہماری حشر کے دن نعتیں سرکار کی سنانے سے
Main Gunahgar hoon sajal lekin
Ek ummeed dil mein rakhta hoon
Hogi Bakhshish hamari hashr ke din
Naateñ Sarkar ki sunane se

 

میں در مصطفی کا منگتا ہوں بھیک ملتی ہے آستانے سے
جو سگ ہیں در محمد ﷺ کے کچھ نہیں مانگتے زمانے سے
Main Dar e Mustufa Ka Mangta Hoon
Bheek Milti Hai Aastane Se
Jo Bhi Sag Haiñ Dar-e Muhammad ﷺ Ke
Kuchh Nahin Maangte Zamane Se


Urdu, Hindi And English lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

 

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *