Hosla Hare Na Insan Pareshani Mein Lyrics
Qawwal: Aziz Mian
Qur’aan Ki Har Aayato Surat dekhi
Islam Ki Tafseer o Haqeeqat dekhi
Imaan Pe Jab Ghaur Kiya Hai Maine
Sarkar-e do Aalam Ki Mohabbat dekhi
Housla Haare Na Insaan Pareshani Mein
Hosla Hare Na Insan Pareshani Mein
Har Banaa Kaam Bigad Jata Hai Naadaani Meiñ
Sabr Har Haal Mein Haasil Hai Pareshani Mein
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Muhammad ﷺ Ki Nigehbani Mein..
Momin Kabhi GhamNaak Nahiñ Ho Sakta
Ba Rafta-e Idraak Nahin Ho Sakta
Sarkar-e Do Aalam Ki Mohabbat Ke Baghair Insaan Ka Dil Paak Nhi Ho Sakta
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Muhammad ﷺ Ki Nigehbani Mein ..
Kashti Ka Mere Haath Mein Langar To Nahin Hai
Gardish Mein Sitare Hain Muqaddar To Nahin Hai
Tarif Is Tarah Ki Zulekha Na Kiya kar
Ye Maana Ke Yusuf Bhi Tera Khaas Hai Dilbar
Ye Maana ke Yusuf bhi Khuda Ke Hain Payamber
Rutbe mein Mohammad ﷺ Ke Barabar To Nahin Hai
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Muhammad ﷺ Ki Nigehbani Mein ..
Hosla Hare Na Insan Pareshani Mein
Har Banaa Kaam Bigad Jata Hai Naadaani Meiñ
Sabr Har Haal Mein Haasil Hai Pareshani Mein
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Muhammad ﷺ Ki Nigehbani Mein ..
Nazar Ka Noor Diloñ Ke Liye Qarar Durood
Aqeedatoñ Ka Chaman, Rooh Ka Nikhar Durud
Charag, Yaas-e Musalsal Ke Ghup Andheron Mein
Ghamoñ Ki Dhoop Mein Hai Abr-e Sayadaar Darood
Durud Rooh Ki Paaleedgi Ka Saamañ Hai
Jabeen-e Shauq Ko Deta Hai Ik Nikhar Durood
Durood Naghma-e Naat-e Nabi Ka Zeena Hai
Sadabahar Duaaoñ Ka Hai Wiqaar Durood
Gulab Zahn Ke Pardoñ Pe Khilne Lagte Hain
Zabaañ Pe Jab Bhi Meri Aata Hai Muskbaar Durood
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Muhammad ﷺ Ki Nigehbani Mein ..
Madine mein kisi Patthar Ke neeche Meri Turbat Ho
Wo Patthar bhi jo Unke Dar Ka Patthar ho to Behtar Ho
Aur Us Patthar pe Naksh-e Paa-e Sawar Ho to kya kahna !
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Muhammad ﷺ Ki Nigehbaani Mein ..
Dars-e Aadaab Padhaane Ke Liye Aap Aaye
Maani-e Zeest Bataane Ke Liye Aap Aaye
Muztarib Sara Zamana Tha Hisar-e Gham Se
Isliye Saare Zamane Ke Liye Aap Aaye
Jab Kahin Deen Ke Suraj Ka Ujala Na Raha
To, Zulmat-e Kufr Mitaane Ke Liye Aap Aaye
Husn-e Akhlaq o Mohabbat Ka Sahifa Lekar
Iktilaafat Mitane Ke Liye Aap Aaye
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Mohammad ﷺ Ki Nigehbaani Mein ..
Haktabi Rahat o Taskeen Meiñ Dhal Jaate Hain
Jab Karam Hota Hai Haalaat Badal Jaate Hain
Rakh Hi Lete Hain Bharam Unke Karam Ke Sadqe
Jab Kisi Baat Pe Deewane Machal Jaate Hain
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Mohammad ﷺ Ki Nigehbaani Mein ..
Us Kaali Kamaliya Wale Ne Kya Kya Na Jahan Mein Kar Daala
Ye Shaan Hai Mere Aaqa Ki Jise Khali Dekha Bhar Dala
Jab Auj Main Aayiñ Voh Maujeñ Qatre Ko Samandar Kar Dala
Ye Reet Puraani Hai Unki Jise Khaali Dekha Bhar Daala
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Mohammad ﷺ Ki Nigehbaani Mein ..
Hosla Hare Na Insan Pareshani Mein
Har Banaa Kaam Bigad Jata Hai Naadaani Mein
Sabr Har Haal Mein Haasil Hai Pareshani Mein
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Mohammad ﷺ Ki Nigehbaani Mein ..
Thi Manzil Kaun Si Wallah Aalam, Raat Thi Main Tha
Tha mahv-e raqs-e bismil saara aalam, Raat thi main tha
Wo Maashook-e Pari Paikar, Saru Qad Laala-Rukh Tauba !
Tha Dil Ke Waste Mahshar Mujassam, Raat Thi Main Tha
Raqeeboñ Ke Lage Thei Kaan, Wo Naazañ, Mujhe Khadshe
Bahut Mushkil Tha Karna Baat Baaham, Raat Thi Main Tha
Ay Khusro Aap Allah Laa Makaañ Meiñ Meer-e Majlis tha
Shama Mahfil Thei Sarkar-e Do Aalam, Raat Thi Main Tha.
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Mohammad ﷺ Ki Nigehbaani Mein ..
Aariz-e Taabaañ, Mus’haf-e Eemaañ, Sayyad-na wa Mohammad-na
Soorat-e Insaañ, Jalwa-e Yazdaañ, Sayyad-na wa Mohammad-na
Lauh-e Jabeeñ, PurNoor-e Risalat, Mish’al-e Eemañ, Sham-e Hidayat
Wahdat Kasrat Rukh se Numaayañ, Sayyad-na wa Mohammad-na
Aaye Khuda Ke Banke Payaami, Mujrayi Laakhoñ, Laakhoñ Payaami
Maalik-e Duniya, Deen Ke Sultañ, Sayyad-na wa Mohammad-na
Fakhr-e Zameen o Fakhr-e Zamana, Aamina Ka Farzand-e Yagaana
Zeir-e Qadam Hai Aalam-e Imkaañ, Sayyad-na wa Mohammad-na
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Mohammad ﷺ Ki Nigehbaani Mein ..
20:30
Nabuwwat, Haadi o Rahbar
Nabuwwat, Waaqif-e Daawar
Nabuwwat, Ahmad o Sarwar
Nabuwwat, Sabir o Shaakar
Nabuwwat, Sayyad o Akbar
Nabuwwat, Shafaye Mahshar
Nabuwwat, Saqi-e Kausar
Nabuwwat, A’ala o Afzal
Nabuwwat, Kamil o Akmal
Nabuwwat, Haasil e Eemañ
Nabuwwat Haamile Qur’aañ
Nabuwwat, Rahbar-e Insaañ
Nabuwwat, Zeenat-e Imkaañ
Nabuwwat, Nayyar-e Taabaañ
Nabuwwat, Sarwar-e Sultañ
Nabuwwat, Raunaq-e wuzdaañ
Nabuwwat, Jalwa-e Yazdaañ
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Muhammad ﷺ Ki Nigehbaani Mein ..
Tere Ushshaaq Ko Raazi-Ba-Raza Kahte Hain
Teri Manzil Meiñ Fana Ko Bhi Baqa Kahte Hain
Main To Naadaan Tha, Daanishta Bhi Kya Kya Na Kiya
Laaj Rakhli Mere Sarkar Ne Ruswa Na Kiya
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Muhammad ﷺ Ki Nigehbaani Mein ..
Hosla Haare Na Insaan Pareshani Mein
Har Banaa Kaam Bigad Jata Hai Naadaani Meiñ
Sabr Har Haal Mein Haasil Hai Pareshani Mein
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Muhammad ﷺ Ki Nigehbaani Mein ..
Yuñ To Kya Kya Nazar Nahiñ Aata
Koi Tumsa Nazar Nahin Aata
Jholiyañ Sabki Bharti Jaati Hain
Dene Wala Nazar Nahiñ Aata
Zeir-e Saaya Usi Ke Hain Ham Sab
Jiska Saya Nazar Nahiñ Aata
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Muhammad ﷺ Ki Nigehbaani Mein ..
Ali Se Poochha Kisi Ne Iska Sabab Kya Hai
Ke Kalme Mein Nabi Ke Naam ko maa baad Rakha Hai
Bhala Ye Aashiqui Kaisi Hai Aur Yeh Ishq Kaisa Hai
Rakhe Mashooq Ko Peechhe Yeh Kab Aashiq Ka Sheva Hai
To, Ali Ne Jis Tarah Samjhaya Us Gustakh-e Behad Ko
Are nadan! Tu Samjha Nahin Hai Raaz-e Qudrat ko
Khuda Ne isliye Rakha Hai Peechhe Naam-e Ahmed ko
Ke NaaPaaki Mein Na lele Koi Naam-e Mohammad ﷺ ko
Zabaañ Dhul Jaaye Pahle Naam Jab Allah Ka Nikle
Fir Uske Bad Mein Kalma Rasulallah Ka Nikle
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Muhammad ﷺ Ki Nigehbaani Mein ..
Tadapte Hain Machalte Hain Bahut Armaan Seene Mein
Rawaañ Jab Kafila Hota Hai Yaañ Hajj Ke Mahine Mein
Bhala Yeh Kaise Mumkin Hai Mohabbat Ke Qareene Meiñ
Maza Kya Khak Aaye Dur Rahakar Aise Jeene Meiñ
Ke Parwana Yahañ Tadpe Jale Shamma Madina Meiñ
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Muhammad ﷺ Ki Nigehbaani Mein ..
Malaayak, Jinn o Insaañ ka to Aakhir Poochhna kya hai!
Hawayeñ Bhi Adab Ke Sath Chalti Hain Madina Meiñ
Mohammed ﷺ Is Tarah Se Jalwa Farma Haiñ Madina Meiñ
Ke Jaise Surah-e Yaseen Hai Qur’aañ Ke Seene Mein
Dar-e Aaqa Pe Pahuchooñ Aur Pahuñch Kar Dam Nikal Jaaye
Yahi hai Aarzoo Meri Bane Madfan Madina Meiñ
Meri Kashti Ko Kya Gham Tufan o Hawadis Ka
Muhammad ﷺ Ka Wasila Leke Baithooñga Safeene Meiñ
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Muhammad ﷺ Ki Nigehbaani Mein ..
Hosla Haare Na Insaan Pareshani Mein
Har Banaa Kaam Bigad Jata Hai Naadaani Meiñ
Sabr Har Haal Mein Haasil Hai Pareshani Mein
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Muhammad ﷺ Ki Nigehbani Mein ..
Khaaliq-e Haq Ke Samawaat Ka Ahsaan Hai Ye
Dekho Duniya Mein Musalmanoñ Ki Pahchan Hai Ye
Noor Hota Hai Musalmanoñ Ki Peshani Mein
Noor Hota Hai Musalmanoñ Ki Peshani Mein
Hosla Haare Na Insaan Pareshani Mein
Har Banaa Kaam Bigad Jata Hai Naadaani Mein
Sabr Har Haal Mein Haasil Hai Pareshani Mein
Doob Sakti Nahi Toofan Ki Tughyaani
Jiski Kashti Ho Mohammad ﷺ Ki Nigehbaani Mein ..
Urdu, Hindi And English lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |