Kash Main Dour e Payambar Me Uthaya Jaata Naat Lyrics
काश मैं दौरे पयम्बर में उठाया जाता
KNaat Khwan: Farhan Ali Waris
काश मैं दौरे पयम्बर में उठाया जाता
बाखुदा क़दमों में सरकार के पाया जाता
Kash main dour e payambar me uthaya jaata
Bakhuda qadmon me sarkaar ke paya jaata
साथ सरकार के ग़ज़वात में शामिल होता
उनकी नुसरत में लहू मेरा बहाया जाता
Sath sarkaar ke ghazwat me shamil hota
Unki nusrat me lahu mera bahaya jaata
रेत के ज़र्रों में अल्लाह बदल देता मुझे
फिर मुझे राहे मुह़़म्मद में बिछाया जाता
Rait ke zarron me Allah badal deta mujhe
Phir mujhe raahe Muhammad me bichhaya jaata
ख़ाक हो जाता मैं सरकार के क़दमों के तले
ख़ाक को ख़ाके मदीना में मिलाया जाता
Khak hojata mein sarkaar ke qadmon ke taley
Khak ko khak-e-madina me milaya jaata
मिल के सब लोग मुझे माटी से गारा करते
फिर मुझे मस्जिद-ए-नबवी में लगाया जाता
mil ke sab log mujhe maati se gara karte
Phir mujhe masjide nabvi me lagaya jata
उनके रौज़े के दरोबाम सजाने के लिए
रौज़नों में मेरी आँखों को लगाया जाता
Unke Rouze ke daro baam sajane ke liye
Rouzano me meri ankhon ko lagaya jaata
काश ऐ काश मैं होता कोई ऐसी लकड़ी
जिसको सरकार के मिम्बर में लगाया जाता
काश मैं दौरे पयम्बर में उठाया जाता
Kaash ay kaash mein hota koi aisi lakdi
Jisko sarkaar ke mimber me lagaya jaata
Kash mein dour e payambar me uthaya jaata
लाया जाता सरे दरबार असीरों की त़रह
हुक्म पर उनके मैं आज़ाद कराया जाता
काश मैं दौरे पयम्बर में उठाया जाता
laya jaata sar e darbaar aseeron ki tarah
Hukm par unke mein azaad karaya jaata
Kash mein dour e payambar me uthaya jaata
या उतरता मैं किसी नात के मिसरे बनकर
रुबरु उनके मैं उनको ही सुनाया जाता
ya utarta main kisi naat ke misre bankar
roobaru unke main unko hi sunaya jata
होते उस दौर का क़िस्सा कोई नूरो फ़रहान
आज के दौर में बच्चों को पढ़ाया जाता
काश मैं दौरे पयम्बर में उठाया जाता
Hote us dour ka qissa koi noor o farhan
Aj ke dour me bachchon ko padhaya jaata
Kash mein dour e payambar me uthaya jaata
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan