Mera Payambar Azeem Tar Hai Lyrics in Urdu مرا پیمبر عظیم تر ہے मेरा पयंबर अज़ीम तर है
Poet : Muzaffar Warsi Sahab
हिन्दी में पढ़िए
مرا پیمبر عظیم تر ہے
مرا پیمبر عظیم تر ہے
Mera Payambar Azeem Tar Hai
کمالِ خلاق ذات اُس کی
جمالِ ہستی حیات اُس کی
Kamaal-e-Khallaq Zaat Uski
Jamaal-e-Hasti Hayaat Uski
بشر نہیں عظمتِ بشر ہے
مرا پیمبر عظیم تر ہے
Bashar Nahi Azmat-e-Bashar Hai
Mera Payambar Azeem Tar Hai
شرحِ احکام حق تعالیٰ
وہ خود ہی قانون خود حوالہ
Woh Sharh-e Ehkaam-e Haq Ta’ala
Woh Khud Hi Qanoon Khud Hawala
وہ خود ہی قرآن خود ہی قاری
وہ آپ مہتاب آپ ہالہ
Woh Khud Hi Qur’aan, Khud Hi Qari
Woh Aap Mehtaab, Aap Haala
وہ عکس بھی اور آئینہ بھی
وہ نقطہ بھی، خط بھی، دائرہ بھی
Woh Aqs Bhi Aur Aaina Bhi
Woh Nukta Bhi, Khat Bhi, Daayera Bhi
وہ خود نظارہ ہے خود نظر ہے
مرا پیمبر عظیم تر ہے
Woh Khud Nazaara Hai, Khud Nazar Hai
Mera Payambar Azeem Tar Hai
شعور لایا کتاب لایا
وہ حشر تک کا نصاب لایا
Sha’oor Laaya, Kitab Laaya
Woh Hashr Tak Ka Nisaab Laya
دیا بھی کامل نظام اس نے
اور آپ ہی انقلاب لایا
Diya Bhi Kaamil Nizaam Usne
Aur Aap Hi Inqilaab Laya
وہ علم کی اور عمل کی حد بھی
ازل بھی اس کا ہے اور ابد بھی
Woh ilm Ki Aur Amal Ki Had Bhi
Azal Bhi Uska Hai Aur Abad Bhi
وہ ہر زمانے کا راہبر ہے
مرا پیمبر عظیم تر ہے
Woh Har Zamane Ka Raahbar Hai
Mera Payambar Azeem Tar Hai
وہ آدم و نوح سے زیادہ
بلند ہمت بلند ارادہ
Woh Aadam o Nooh Se Zyada
Buland Himmat, Buland Irada
وہ زُہدِ عیسیٰ سے کوسوں آ گے
جو سب کی منزل وہ اس کا جادہ
Woh Zohd e Eesa Se Kosoñ Aage
Jo Sabki Manzil Woh Uska Jaada
ہر اک پیمبر نہاں ہے اس میں
ہجومِ پیغمبراں ہے اس میں
Har IK Payambar Nihañ Hai Usmein
Hujoom-e Paighambarañ Hai Usmein
وہ جس طرف ہے خدا ادھر ہے
مرا پیمبر عظیم تر ہے
Woh Jis Taraf Hai Khuda Udhar Hai
Mera Payambar Azeem Tar Hai
بس ایک مشکیزہ اک چٹائی
ذرا سے جَو ایک چارپائی
Bas Ek Mashkeeza, Ik Chatai
Zara Se Jau, Ek Char Paayi
بدن پہ کپڑے بھی واجبی سے
نہ خوش لباسی نہ خوش قبائی
Badan Pe Kapde Bhi Waajibi Se
Na Khush Libasi, Na Khush Qabaayi
یہی ہے کُل کائنات جس کی
گنی نہ جائيں صفات جس کی
Yehi Hai Kul Kaainaat Jiski
Gini Na Jaye Sifaat Jiski
وہی تو سلطانِ بحرو بر ہے
مرا پیمبر عظیم تر ہے
Wohi To Sultaan-e-Bahr-o-Bar Hai
Mera Payambar Azeem Tar Hai
جو اپنا دامن لہو سے بھر لے
مصیبتیں اپنی جان پر لے
Jo Apna Daaman Lahoo Se Bhar Le
Museebateiñ Apni Jaan Par le
جو تیغ زن سے لڑے نہتا
جو غالب آ کر صلح کر لے
Jo Teigh-e Zan Se Lade Nihatta
Jo Ghaalib Aakar Sulah Kar Le
اسیر دشمن کی چاہ میں بھی
مخالفوں کی نگاہ میں بھی
Aseer Dushman Ki Chaah Mein Bhi
Mukhaalifoñ Ki Nigaah Mein Bhi
امیں ہے صادق ہے معتبر ہے
میرا پیمبر عظیم تر ہے
Ameeñ Hai, Sadiq Hai, Mo’atbar Hai
Mera Payambar Azeem Tar Hai
جسے شہِ شش جہات دیکھوں
اُسے غریبوں کے ساتھ دیکھوں
Jise Shah-e Shash Jihaat Dekhuñ
Use Ghariboñ Ke Saath Dekhuñ
عنانِ کون و مکاں جو تھامے
کدال پر بھی وہ ہاتھ دیکھوں
Inaan e Kaun o Makañ Jo Thaame
Kudaal per Bhi Woh Haath Dekhuñ
لگے جو مزدور شاہ ایسا
نہ ذر نہ دَھن سربراہ ایسا
Lage Jo Mazdoor, Shaah Aisa
Na Zar, Na Dhan, Sarbaraah Aisa
فلک نشیں کا زمیں پہ گھر ہے
میرا پیمبر عظیم تر ہے
Falak Nasheeñ Ka Zameeñ Pe Ghar Hai
Mera Payambar Azeem Tar Hai
وہ خلوتوں میں بھی، صف بہ صف بھی
وہ اِس طرف بھی وہ اُس طرف بھی
Woh Khalwatoñ Mein Bhi Saf Ba Saf Bhi
Woh Iss Taraf Bhi Woh Uss Taraf Bhi
محاذ و منبر ٹھکانے اس کے
وہ سربسجدہ بھی سربکف بھی
Mahaaz o Mimbar Thikaane Us Ke
Woh Sar Ba Sajda Bhi Sar Ba Saf Bhi
کہیں وہ موتی کہیں ستارہ
وہ جامعیت کا استعارہ
Kahiñ Woh Moti Kahiñ Sitaara
Woh Jaame-ee-yat Ka Iste’aara
وہ صبحِ تہذیب کا گجر ہے
میرا پیمبر عظیم تر ہے
Woh Sub’h-e-Tahzeeb Ka Gajar Hai
Mera Payambar Azeem Tar Hai
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan