Nabi Ka Ishq Mila Sari Kayenat Mili Naat e Paak Lyrics in Urdu English
کلامِ خالد محمود خالد نقشبندی
نبی ﷺ کا عشق ملا ساری کائنات ملی
دل و نگاہ کو اک جاوداں حیات ملی
Nabi Ka Ishq Mila Saari Kaayenaat Mili
Dil o Nigaah Ko Ik Jaawidaañ Hayat Mili
ملے حضور ﷺ متاعِ تجلّیات ملی
حسین تر ہمیں ایک اور کائنات ملی
Mile Huzur, Mataa-e Tajalliyaat Mili
HaseenTar Hameñ, IK Aur Kaayenaat Mili
ہر ایک فکر سے ہر غم سے ہوگئے آزاد
حسابِ سود و زیاں سے ہمیں نجات ملی
Har Ek Fikr Se, Har Gham Se, Ho Gaye Aazad
Hisaab e Sood o Zayaañ Se Humeiñ Nijaat Mili
جمالِ گنبدِ خضریٰ سے جو نہیں غافل
وہی نظر تو ہمیں جامِعُ الصّفات ملی
Jamaal e Gumbad e Khazra Se Jo Nahiñ Ghaafil
Wahi Nazar To Humeñ, Jaame’uss Sifaat Mili
جہاں میں سارے ہیں اچھوں کے چاہنے والے
گناہگاروں کی حامی تمہاری ذات ملی
Jahañ Meiñ Saare Haiñ Achchhoñ Ke Chaahne Wale
Gunaahgaaroñ Ki Haami, Tumhari Zaat Mili
سبھی کو دیکھا ہے اک اک کو آزمایا ہے
تمہاری یاد مگر حلِِّ مشکلات ملی
Sabhi Ko Dekha Hai, Ik Ik Ko Aazmaya Hai
Tumhari Yaad Magar Halle Mushkilaat Mili
جہاں میں غیرتِ خورشید بن کے چمکا ہے
وہ ذرہ جس کو تیرے حسن کی زکوٰۃ ملی
Jahañ Meiñ Ghairat e Khursheed Ban Ke Chamka Hai
Woh Zarrah, Jis Ko Tere Husn Ki Zakaat Mili
کسی طرح جو اندھیروں سے آشنا ہی نہیں
بیادِ سرورِ عالم ﷺ ہمیں وہ رات ملی
Kisi Tarah Jo Añdheroñ Se Aashna Hi Nahi
BaYaad e Sarwar e Àalam Hameñ Woh raat Mili
نبی ﷺ کے عشق کا فیضانِ خاص ہے خلل
وہ کیفیت جو مجھے حاصلِ ثبات ملی
Nabi Ke Ishq Ka Faizaan e Khaas Hai Khalid
Woh Kaifiyat Jo Mujhe, Haasil e Sabaat Mili
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |