Ya Mustafa Noor ul Huda Saani Tera Koi Nahiñ Lyrics
Qawwal : Nusrat Fateh Ali Khan
Karam Jab Aal-e Nabi Ka Shareek Hota Hai
Bigad Bigad Ke Har Ek Kaam Dheek Hota Hai
Durood-e Aal-e Muhammad ﷺ Ki Ye Fazeelat Hai
Ke Laa-Shareek Bhi Is Meiñ Is Meiñ Shareek Hota Hai
Har Nafas Ishq-e Muhammad ﷺ Ka Payaami Kar Lo
Zindagi Mit Ke Mohabbat Mein Dawaami Karlo
BaadShaahi Hai Agar Dono Jahañ Ki Darkaar
Dosto Aao Mohammad ﷺ Ki Ghulami Kar Lo
Allah Ki Ham JalwaGari Dekh Rahe Haiñ
Ya Husn o Jamaal-e Madani Dekh Rahe Haiñ
Jis Waqt Padho Salle-ala Aal-e Muhammad ﷺ
Samjho Ke Rasool-e Arabi Dekh Rahe Haiñ
Hadd-e Tauseef Se Bhi Naam Hai Baala Tera
Ke Khuda Aap Hai Khud Chaahne Waala Tera
Tere Sadqe Hui Manzoor Duaa-e Aadam
Roz-e Awwal Hi Tha Maujood Ujala Tera
Ya Mustafa Noor ul Huda
Ya Mustafa Noor ul Huda Saani Tera Koi Nahiñ …
Ya Mustafa Noor ul Huda Saani Tera Koi Nahiñ
Shams-ud-duha Koi Nahi Badr-ud-duja Koi Nahi
Ya Mustafa Noor ul Huda Saani Tera Koi Nahiñ …
Saani Tera Koi Nahiñ ..
Saani Tera Koi Nahiñ ..
Kaali Kamli Waale Aaqa
Saani Tera Koi Nahiñ ….
Rasool Aur Bhi Aaye Jahaan Mein, Lekin
Kaali Kamli Waale Aaqa
Saani Tera Koi Nahiñ ….
Shah-e Yasrabi Tere Husn Ki
Kise Taab Jo Kare Hamsari
Na Guloñ Meiñ Aisi Shuguftgi
Na Ye Rango Boo Na Ye Saadgi
Ye Anokhi Chhab Ye Nayi Phaban
Ye Adaaeñ Pyaari Ye Saadgi
Teri Misl Koi Hua Na Ho
Tere Sadqe Jaauñ Maiñ Ya Nabi
Kaali Kamli Waale Aaqa
Saani Tera Koi Nahiñ ….
Har-Har Kundal-Kundal Utte Aashiq Da Dil Dole
Husn Tere Di Sift Ki Aakhaañ Kaafir Kalma Bole, Aakhe
Kaali Kamli Waale Aaqa
Saani Tera Koi Nahiñ ….
Nazroñ Ne Meri Saara Jahañ Chhaan Liya Hai, Par
Kaali Kamli Waale Aaqa
Saani Tera Koi Nahiñ ….
(Sargam)
Kaali Kamli Waale Aaqa
Saani Tera Koi Nahiñ ….
Phire Zamaane Meiñ Chaar Janib
Nigaar-e Yakta Tumhi Ko Dekha
Haseen Dekhe Jameel Dekhe
Par Ek Tumsa Tumhi Ko Dekha
Kaali Kamli Waale Aaqa
Saani Tera Koi Nahiñ ….
Hue Haiñ Hazrat-e Yusuf Haseeñ Zamaane Meiñ
Magar Unheiñ Bhi Tere Husn Ki Zaqaat Mili
Kaali Kamli Waale Aaqa
Saani Tera Koi Nahiñ ….
Ya Mustafa Noor ul Huda Saani Tera Koi Nahiñ
Shams-ud-duha Koi Nahi Badr-ud-duja Koi Nahi
Khatm-e Rusul Khair-ul Amal Koi Nahi Tera Badal
Aayeena-e Husn-e Azal Tere Siwa Koi Nahiñ
Jaayeñ Kahañ Ham Be-Nawa Aaqa Tere Dar Ke Siwa
Ham BeKasoñ Ka Aasra Ya Mustafa Koi Nahiñ
Ai Mazhar-e Noor-e Khuda Tum Sa Kahañ Hai Doosra
Tum Ho Imaam-ul Ambiya Tum Sa Hua Koi Nahiñ
Ya Mustafa Noor ul Huda Saani Tera Koi Nahiñ
Shams-ud-duha Koi Nahi Badr-ud-duja Koi Nahi
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan