Mahboob-e ilaahi Karam Karam Lyrics
Qawwal : Iqbal Afzal Sabri
Jaadaha-e Haram o Dair Jahañ Milte Haiñ
Usse Aage Tere Qadmoñ Ke Nishaañ Milte Haiñ
HaiAise Maikhane Se Hai Mera Ta’alluk Ke Jahañ
Haath Phailaye Hue Peere Mugañ Milte Hai
Ai Noor-e Nigaahe Ganj-e Shakar
Mahboob e ilaahi Karam Karam ..
Ba Khoobi Ham-chu Mah Taabinda Baashi
Ba Mulke Dilbari Paayinda Baashi
Man-e Durvesh Ra Kushti Ba-ghamza
Karam Kardi Ilaahi Zinda Baashi
Ai Noor-e Nigaahe Ganj-e Shakar
Mahboob e ilaahi Karam Karam ..
Ai Shaah-e Butaañ Gada Nawaze
Ai Shaah-e Butaañ Gada Nawaze
Bar Man Ba Figan Nigaahe Naaze
Bar Man Ba Figan Nigaahe Naaze
Na Gharaz Haram Ke Waqar Se
Na Sanamkade Ki Bahaar Se
Hame Kaam Hai Dar-e Yaar Se
Dar-e Yaar Phir Dar-e Yaar Phir
Ai Shaah-e Butaañ Gada Nawaze
Ai Shaah-e Butaañ Gada Nawaze
Mujhe To Meri Talab Se Siwa Diya Tu Ne
Main Kya Tha Aur Mujhe Kya Bana Diya Tune
Ai Shaah-e Butaañ Gada Nawaze
Ai Shaah-e Butaañ Gada Nawaze
Ye Gham Nahiñ Hame Duniyañ Kisi Ke Saath Rahe
Hamari Samt Teri Chashm-e iltafataat Rahe
Koi Nigaah-e Mohabbat Se Meri Door Na Ho
Khuda Bhi Saath Rahe Aur Sanam Bhi Saath Rahe
Hamre Dast-e Talab Meiñ tumhara haath rahe
Khuda Ke Ghar Bhi Hamara Tumhara Saath Rahe
Ai Shaah-e Butaañ Gada Nawaze
Ai Shaah-e Butaañ Gada Nawaze
Meri Bisaat Hi Kya Hai Ye Jaanta Huñ Maiñ
Tere Karam Ke Sahare Pe Jee Raha Huñ Maiñ
Saare Jagat Ke Daata Ho Tum Sabke Bhaag Banayyo
Saare Jagat Ke Bhaag Jaga Kar Hamre Ghar Bhi Ayyo
Ai Shaah-e Butaañ Gada Nawaze
Ai Shaah-e Butaañ Gada Nawaze
Haiñ Haazir-e Darbar Bure Haiñ Ya Bhale Haiñ
Mahboob-e ilaahi Tere Tukdoñ Se Pale Haiñ
Ai Shaah-e Butaañ Gada Nawaze
Ai Shaah-e Butaañ Gada Nawaze
Bar Man Ba Figan Nigaahe Naaze
Bar Man Ba Figan Nigaahe Naaze
Mere Mahboob Ho, Aaqa, Mere Daata Tum Ho
Mere Mahboob .. Mere Mahboob
Mere Mahboob .. Mere Mahboob
Tasbeeh Ke Daanoñ Ko Bhikharne Nahiñ Deta
Tu Jisko Banata Hai Bigadne Nahi Deta
Mere Mahboob .. Mere Mahboob
Mere Mahboob .. Mere Mahboob
Na Meeñ Daanam Che Manzil Bood
Shab Jaaye Ke Man Boodam
Ba Har Su Rakse Bismil Bood
Shab Jaaye Ke Man Boodam
Pari Paikar Nigaar-e Sarwa Kadde Laalah Rukhsare
Sarapa Aafat-e Dil Bood Shab Jaaye Ke Man Boodam
Mere Mahboob .. Mere Mahboob
Mere Mahboob .. Mere Mahboob
Gham Sabhi Raahat o Taskeen Meiñ Dhal Jaate Haiñ
Jab Karam Hota Hai Halat Badal Jate Hain
Bus Tera Naam Hai Har Dard Ka Har Gham Ka Ilaaj
Lakh Khatre Ho To Is Naam Se Tal Jaate Hain
Mere Mahboob .. Mere Mahboob
Mere Mahboob .. Mere Mahboob
Aapki Zaat Ko Allah Salamat Rakhe
Aap Jaisa Na Mila Koi Meherbañ Mujhko
Mere Mahboob .. Mere Mahboob
Mere Mahboob .. Mere Mahboob
Ghataoñ Ne Tumhari Zulf Ka Fanda Nahiñ Dekha
Sitaron Ne Bhi Aisa Chañd Sa Mukhda Nahiñ Dekha
Nazar Waaloñ Ne Koi Aisa Nazzara Nahiñ Dekha
Inhi Aañkhoñ Se Is Duniya Meiñ Maine Kya Nahiñ Dekha
Hazaroñ Mahjabiñ Dekhe Magar Tumsa Nahiñ Dekha
Mere Mahboob .. Mere Mahboob
Mere Mahboob .. Mere Mahboob
Ai Noor-e Nigaah-e Ganj-e Shakar Mahbub-e Ilahi Karam Karam
Kaafi Hai Hameñ Bas Ek Nazar Mahbub-e Ilahi Karam Karam
Kaafi Hai Hameñ Bas Ek Nazar
Kaafi Hai Hameñ Bas Ek Nazar
Ai Sarw-e Naazneen-e Man Az Man Che Deeda ee
Yak Baar Mehre Az Mane Miskeeñ Bureeda ee
Aare Ba Seem o Zar Hama Kas Banda Mee Sham Az
Ma Banda-e Tou Em Ke Be-Zar Khareeda ee
Kaafi Hai Hameñ Bas Ek Nazar
Kaafi Hai Hameñ Bas Ek Nazar
Aañkhoñ Se Meri Deed Ki Hasrat Nikal Do
Ye Maine Kab Kaha Mujhe Duniya Ka Maal Do, Aaqa
Kaafi Hai Hameñ Bas Ek Nazar
Kaafi Hai Hameñ Bas Ek Nazar
Khabaram Raseed Im Shab
Ke Nigaar Khwahi Aamad
Sar-e Man Fida-e Raah-e
Ke Sawaar Khwahi Aamad
Hamah Aahuwaan-e Sahra
Sar-e Khud Nihada Bar-kaf
Ba Umeed Aañ Ke Roze
Ke Shikaar Khwahi Aamad
Kaafi Hai Hameñ Bas Ek Nazar
Kaafi Hai Hameñ Bas Ek Nazar
Ai Noor-e Nigaah-e Ganj-e Shakar
Mahboob-e ilaahi Karam Karam
Kaafi Hai Hameñ Bas Ek Nazar
Mahboob-e ilaahi Karam Karam
Duniya Se Hame Kya Lena Hai
Kya Haal Kisi Se Kahna Hai
Hai Tere Karam Pe Meri Nazar
Mahboob-e ilaahi Karam Karam
Mere Mahbub Meri Laaj Bachaye Rakhna
Apne Daman Meiñ Yuñhi Mujhko Chupaye Rakhna.. Rakhna
Hai Tere Karam per Meri Nazar
Hai Tere Karam per Meri Nazar
Bahut Kathin Hai Dagar Panghat Ki
Kya Bhar Laauñ Maiñ Jamuna Se Matki
Maiñ To Gayi Thi Paniya Bharan Ko
Daud Jhapat Mori Matki Matki Patki
Khusro Nizam Ke Bali Bali Jayiyo
Laag Rakhi Mere Ghunghat Pat Ki, dekho
Hai Tere Karam per Meri Nazar
Hai Tere Karam per Meri Nazar
Hai Tere Karam Pe Meri Nazar
Mahboob-e ilaahi Karam Karam
Iqbal Afzal Ko Ai Daata
Jo Kuchh Bhi Diya Hai Tune Diya
Sab Teri Inayat Ka Hai Asar
Mahboob-e Ilahi Karam Karam
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan