Uski Dar-e Habeeb-e Khuda Tak Rasaayi Hai Lyrics
Hamare Waaste Rahmat Hai Rauza-e Khwaja
Ajab Namoona-e Qudrat Hai Rauza-e Khwaja
Khuda Ka Khaas Karam Hai Ye Raahat-e Miskeeñ
Zameene Hind Meiñ Jannat Hai Rauzae Khwaja.
Unki Dar-e Habeeb-e Khuda Tak Rasaayi Hai
Peshaani Jisne Khwaja Ke Dar Pe Jhukaayi Hai.
Hasti Jahañ Meiñ Uski Bada Rang Laayi Hai
Khwaja Piya Ne Jisko Nazar Se Pilaayi Hai.
Jo Khwaja Ka Hua Woh Muhammad ﷺ Ka Ho Gaya
Baad-e Saba Khabar Ye Madine Se Laayi.
Is Dar Ki Haaziri Ke To Qaabil Nahi tha Maiñ
Chashm-e Karam Tumhari Mujhe Kheiñch Laayi Hai.
Kya Poochhte Ho Azmat-e Khwaja Moinuddin
Peeroñ Ne Peeri Khwaja Ke Sadqe Meiñ Paayo Hai.
Peshaani Jisne Khwaja Ke Dar Pe Jhukaayi Hai ..
Uski Dar-e Habeeb-e Khuda Tak Rasaayi Hai
Peshaani Jisne Khwaja Ke Dar Pe Jhukaayi Hai ..
Hoti Hai Usko Deed Bhi Khairul Anaam Ki
Jiski Nazar Meiñ Khwaja Ki Soorat Samaayi Hai.
Peshaani Jisne Khwaja Ke Dar Pe Jhukaayi Hai ..
Uski Dar-e Habeeb-e Khuda Tak Rasaayi Hai
Peshaani Jisne Khwaja Ke Dar Pe Jhukaayi Hai
Kausar Na Poochh Raunaq-e Darbar-e Chisht Ki
Har Cheez Jaise Mulk Se Laa Kar Sajaayi Hai.
Hoti Hai Usko Deed Bhi Khairul Anaam Ki
Jiski Nazar Meiñ Khwaja Ki Soorat Samaayi Hai.
Uski Dar-e Habeeb-e Khuda Tak Rasaayi Hai
Peshaani Jisne Khwaja Ke Dar Pe Jhukaayi Hai ..
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan