Mera Khwaja Baadshah Hai Lyrics

Mera Khwaja Baadshah Hai Manqabat Lyrics

Qawwal : Iftekhar Amrohi

 

Karam Nawaz Idhar Bhi Zara Nigaah-e Karam
Khade Haiñ Dar Pe Gunahgar Sar Jhukaaye Hue.

 

Mujhko Haasil Hai Tere Dar Ki Gadayi Ai Dost
Is Se Badh Kar Koi Kya Rutba-e Shaahi Dega.

 

Na Jaane Kya Bana De ..
Na Jaane Kya Bana De ..

Ho, Na Jaane Kya Bana De
Na Jaane Kya Bana De ..

Na Jaane Kya Bana De Mere Khwaja Ki Nigah
Na Jaane Kya Bana De Mere Khwaja Ki Nigah

Mera Khwaja Baadshah Hai
Mera Khwaja Shahinshah Hai.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Dar-e Ghair Ka Sawali Na Bana Hañsi Udegi
Mujhe Log Taana Deñge, Tere Ghar Meiñ Kya Kami Hai.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Mera Khwaja.. Mera Khwaja ..

Mera Khwaja.. Mera Khwaja ..

Mera Khwaja.. BaadShaah Hai

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Be Sabab Nahi Hai Jaana Tere Dar Pe Sajda-Rezi
Maiñ Jahañ Jahañ Mujhe Aabru Mili Hai.

Ye Teri Nawaazisheñ Mujhe Dar Pe Hai Bulaya
Maiñ Samajh Gaya Yaqeenan Meri Bigdi Ban Gayi Hai.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Tu Jahañ Ka BaadShaah Hai Maiñ Faqeer-e BeNawa Huñ
Meri Khaali Jholi Bhar De Tere Dar Pe Kya Kami Hai.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Tera Naam Bhi Bada Hai, Teri Zaat Bhi Badi Hai
Hai Mera Khayal Tujhko Teri Banda Parwari Hai,

Tere Aage Kyuñ Na Phaile Mera Daamaan-e Gadayi
Tu Mataa-e Do Jahañ Hai Tere Paas Kya Kami Hai

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Daata Ko Ikhtiyar Hai Rad Karde Wo Sawal
Saayil Ka Farz Ye Hai Ko Wo Iltija Kare.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Mauj-e Karam Kabhi To Meri Simt Aayegi
Baitha Huñ Is Liye Maiñ Samandar Ke Saamne.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Mahfil Meiñ Pahli Saf Meiñ Jagah Di Gayi Mujhe !
Ai Mere Dost Ye Teri Nisbat Ki Baat Hai.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Wo Haiñ To Har Ek Cheez Zamane Ki Haseeñ Hai
Warna Mere Naseeb Ka Maana Hi Nahiñ Hai.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Ai BaadShaah-e Husn Nigaah-e Karam Idhar
Ham Bhi Khade Haiñ Husn Ki Khairaat Ke Liye.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Ham Aur Hamara Pyar To Aisa Na Tha Magar
Tere Karam Ki Baat Thi Apna Bana Liya.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Unki Nazar Se Mujhko To Dekha Kare Jahañ
Meri Nazar Se Unko Na Dekha Kare Koi.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Har Nayi Shakl Se Wa Basta Meri Zaat Nahiñ
Jo Har Ek Haath Ko Thaame Wo Mera Haath Nahiñ,

Kaaba-e Dil Ho, Kaleesa Ho, Ke Butkhana Ho
Kaun Si Jaa Jahañ Aap Mere Saath Nahiñ,

Ek Hi Dar Pe Maiñ Phailaata Huñ Apna Daaman,
Kooche Dar Dar Ki Gadayi Mujhe Manzur Nahiñ.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Tashna-Labi Qubool Hai Lekin Ba Sad Adab
Is Maikade Ko Chhod Ke Jaaya Na Jaayega,

Raushan Haiñ Jis Se Aalam-e Uqba Ke Raaste
Wo Ishq Ka Charagh Bujhaya Na Jaayega,

Kaaba Har Aastañ Ko Banaya Na Jaayega
Har Sang-e Dar Pe Sar Ye Jhukaya Na Jaayega,

Jo Haath Tere Dast-e Mohabbat Meiñ De Diya
Wo Har Kisi Ke Aage Badhaya Na Jaayega.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Charaagh-e Ishq Se Har Ghaam Meiñ Ujaala Hai
Junuñ ki aabru Allah Rakhne Wala Hai,

Jahañ Jahan Mere Qadmoñ Meiñ Laghzisheñ Aayi
Tere Nisar Ke Tu Ne Mujhe Sambhala Hai,

Khuda Gawah Hai Ke Tu Hi Wo Husn Waala Hai
Ke Jiske Dam Se Meri Bazm Meiñ Ujala Hai.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Kitab-e Roo-e Muqaddas Hai Saamne Har Dam
Koi Kitab Nahi Roo-e Yaar Se Badhke,

Kasam Khuda Ki Ye Duniya o Dil Ki Jannat Hai
Dayar Koi Nahi Is Dayar Se Badh Ke,

Wo Shaaha Kaar Hai Har Shaahakaar Se Badh Ke
Kisi Ka Yaar Nahi Mere Yaar Se Badhke.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Jeene Na Dete Hamko Zamane Ke Haadse
Achha Hua Ke Teri Panahoñ Meiñ Aa Gaye.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Banda-Nawaz Banda-Nawaazi Ka Shukriya
Tere Karam Ka Faiz Raha, Ham Jahan Rahe.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Unki Nigaah-e Naaz Ke Qurbaan Jaayiye
Karti Hai Jo Faqeer Ko Lamhe Meiñ BaadShaah

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Kaisi Inayateñ Haiñ Ye Mujh Pe Khuda Gawaah
Kya Jaane Kya Bana De Mere Yaar Ki Nigaah.

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Aap Ke Saaye Meiñ Pala Huñ Maiñ
Warna Ye Martaba Nahiñ Milta. Dekho,

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Rang o Ahsaas Meiñ Doobi Hui Tahreer Bani
Tere Maathe Ki Shikan Ishq Ki Taqdeer Bani,

Jalwagar Yuñ Hi Nahiñ Surat-e Jaanañ Dil Meiñ
Saikdo Naksh Mitaaye To Ye Tasveer Bani

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Tum Ba Khabar Ho Chaahne Waaloñ Ke Haal Se
Sab Ke Diloñ Ka Raaz Tumhari Nazar Meiñ Hai,

 

Wo Jaante Na Hoñ To Koi Mudda’aa Kahuñ
Sab Kuchh Unheiñ Khabar Hai To Phir Unse Kya Kahuñ

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Jab Us Nigaah Se Pahle Pahal Nigaah Mili
Phir Us Ke Baad Na Ab Tak Kahiñ Panaah Mili,

Mataa-e Kaun o Makañ Bhi Mileñ To Thukra Duñ
Ye Kam Nahiñ Ke Mujhe Teri Baargah Mili !

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ..
Mera Khwaja Baadshah Hai ..

 

Mera Khwaja Baadshah Hai ……
Mera Khwaja Shahinshah Hai ..

More Manqabat Ghareeb Nawaz

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *