Chalo Madine gham ke maaro lyrics

Chalo Madine gham ke maaro lyrics in English and Hindi

Qawwal: Sabri Brothers (Ghulam Farid Sabri and Maqbool Ahmad Sabri)

 

English | हिन्दी लिरिक्स


Ai mere Allah, in meiñ se ..

Koi insañ kisi insaan ko kya deta hai!
Aadmi sirf bahana hai khuda deta hai.

 

(Koi insañ kisi insaan ko kya deta hai)

Ai mere Allah, In me se ..

bahut aise haiñ ke jo ilm o hunar rakhte haiñ

bahut aise hain ke jo Daulat o zar rakhte haiñ

bahut aise haiñ ke jo teigh o sipar rakhte hain

Lekin, hum Faqat teri kareemi pe nazar rakhte hain

 

Koi Insañ kisi insaan ko kya deta hai
Aadmi sirf bahana hai khuda deta hai

Jab bhi deta hai wo dene ke dher deta hai
Aur leta hai to chamdi udhed leta hai.

 

Muqaddar ka likha to sabko deta hai khuda lekin
Jo Qismat meiñ na likha ho wo milta hai Madine meiñ.

 

Chalo Madine gham ke maaro, haa aa..

Chalo Madine gham ke maaro
Nabi ko haal Sunayeñ

Karam ka dar khula hai
Karam ka dar khula hai..

 

Chalo Madine, Chalo Madine, chalo Madine chale chalo.

 

Wohi Ek dar hai sajda Gaahe Dil tu sochta kya hai

Wahiñ chal kar khulega zindagi ka mudda’a kya hai,

Khirad wale Na samjhe haiñ na samjheñge kabhi isko

Ye Ahl e Dil samajhte haiñ, Maqaam e Mustufa kya hai

Chalo Madine gham ke maaro
Chalo Madine gam ke maaro ..

 

Fiqr e uqba kar ke naahaq
Waqt mat zaaya karo.

Chalo Madine gham ke maaro
Chalo Madine gam ke maaro ..
(Raaga)

Chalo Madine, Chalo Madine, chalo Madine
Chalo, Chalo, chalo, chalo, chalo, chalo
chalo Madine

 

Madine jaane ka jis dam irada Maine kiya

To hañsta Khelta Ek Kaafile ke Saath Chala

Chubhe the Paañw meiñ Kaañte to Thak ke Baitha Tha

Paas Aakar mere Saalaar-Kaafile ne kaha

Chalo Madine gham ke maaro ..

 

Chalo Madine, Chalo Madine
Sab, Chalo Madine, Chalo Madine

Madine chalo Madine, Madine Chalo Madine

Chalo Madine.. Chalo Madine ..
Chalo Madine.. Chalo Madine ..

Chalo Madine gham ke maaro
Chalo Madine gham ke maaro ..

 

Har kas waseela Daarad o Ma BeWaseela ei
Ma ra Waseela Neist BaJuz Aastane Tou.

Chalo Madine gham ke maaro
Chalo Madine gham ke maaro ..

 

Chalo Madine gham ke maaro
Nabi ko haal Sunayeñ

Karam ka dar khula hai
Karam ka dar khula hai..

 

Madina Salle-ala ki basti har dam barse Noor
Wahañ ka Zarra zarra chamke jaise Koh e Tür

Madina Baab e Fazl o Rahmat bakhshish ka saamaan
Gunaah dhul jaate Haiñ saare Allah ki hai Shaan

Nabi ke dar ka liye sahara jo Mañgta bhi jaay
Kisi bhi shai ki kami nahi hai jo maañge so paay

Kisi bhi shai ki kami nahi hai jo maañge so paay …

 

Chalo Madine khil Jaayeñge taqdeeroñ ke phool
Dukhi Diloñ ki ho jaati hai pal meiñ dua qubool

Ghareeb hi kya Ameer bhi haiñ us dar ke mauhtaj
Dar e Nabi par jo bhi pahuñcha rakh lete Haiñ laaj

Nabi ki nagri Allah Allah bante haiñ sab kaam
BatTe haiñ Hasnain ke Sadqe har Sub’ho har shaam ..

 

BatTe haiñ Hasnain ke Sadqe…
BatTe haiñ Hasnain ke Sadqe..

BatTe haiñ us nain ke Sadqe..

 

Jin nainoñ ko Fatima choome
Us nain ke Sadqe batTe haiñ

Us nain ke Sadqe batTe haiñ ..
Kaunain ke Sadqe batTe haiñ..
Do nain ke Sadqe batTe haiñ

 

Shere khuda ke laadle haiñ noor e ain haiñ
Haañ haañ wohi to Fatima ke dil ka chain hain

Hai naam Hasan ek ka dooje husain Haiñ
Mere Rasool e Paak ke ye dono nain haiñ.

Us nain ke Sadqe batTe hai ..
Hasnain ke Sadqe batTe haiñ..
Do nain ke Sadqe batTe haiñ ..

Jin nainoñ ko Fatima choome
Us nain ke Sadqe batTe hai ..

(Raag)

 

Madina chal ke karo Nabi se ro ro kar fariyad
Shahe Madina kar dete hain naaShaadoñ ko shaad.

 

Gali gali meiñ Taiba ki hai Jalwoñ ki bharmar
Nabi ke Sadqe meiñ hota hai Allah ka deedar.

 

Chalo Madine taaza hoñge hum sab ke Eemaan
Diloñ mein jitne tadap rahe hain nikleñge armaan.

 

Koi na Saayil lauta abtak Chaukhat se mahroom
Beshak, beshak, beshak-beshak

 

Machi hui hai karam ki unke do Aalam mein dhoom
Beshak, beshak, beshak-beshak

 

Sunehre khwaboñ ki milti hai us dar par taabeer
Karam se unke ban jaati hai har Bigdi taqdeer

Karam se unke ban jaati hai
Karam se unke ban jaati hai..

 

Chalo Madine karam jahañ par hota hai har baar
Safeene dube hue bhi Aalam ho jaate hain paar.

 

Chalo Madine gham ke maaro .. haa

aa..
Nabi ko haal Sunayeñ
Karam ka dar khula hai

Karam ka dar khula hai
Karam ka dar khula hai..

Chalo Madine, Chalo Madine Chalo Madine chale chalo..

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *