Pyar Ke Mod Par Mil Gaye Ho By Sabri Brothers Qawwali Lyrics
Qawwal: Sabri Brothers
Composed by: Maqbool Sabri
हिन्दी में लिरिक्स के लिए यहां टच कीजिए
Aaa..
Ae Abr e karam
Ae Abr e karam, zara tham ke baras
Itna na baras ke Wo aa na sakeñ
Wo aa jaayeñ to jam ke baras,
Aur Itna baras, ke wo jaa na sakeñ
(Haañ saab, ek nazar aur char kaam)
Nazar ooñchi ki to Dua ban gayi
Nazar neechi ki to Haya ban gayi
Nazar tirchhi ki to Ada ban gayi
Aur,
Nazar pher Lee to Qaza ban gaye
Pyar ke mod par
Are! Pyar Ke Mod Par
Pyar ke mod par mil gaye ho agar
Aur milne milane ka waada karo ….
Aa rahe ho to jaane ki Zid Na karo
Jaa rahe ho to aane ka waada karo ..
Taskeen e Dil ke waaste waada to kijiye
Hum jante hain aap se aaya na jaayega
Aa rahe ho to jaane ki Zid Na karo
Jaa rahe ho to aane ka waada karo ….
Agar tu bura na maane, to Jahan e Rang o Bu me
Mai sukoon e Dil ki khatir, Koi dhooñdh luñ sahara
Jaa rahe ho to aane ka Waada Karo ..
Chaliye maana ye Ulfat ka Dastoor hai
Husn ki ye Ada, Hum ko Manzoor hai
Roothna hai zuzuri to Rutho magar..
Barabar Khafa ho Barabar manayeñ
Na tum Baaz aao na hum Baaz aayeñ
Tujhe Maza agar aata hai Rooth jaane meñ
To Lutf aata hai Mujh ko tere Manaane meñ
Roothna hai zuzuri to Rutho magar
Baad me Maan jaane ka Waada karo …
Wo Ruth jaayeñ to, aaye Maza Manane ka
Bahana khoob milega Gale lagane ka
Roothna hai zuzuri to Rutho magar
Baad me Maan jaane ka Waada karo …
Mujh se Bichhde to Khud gum bhi ho jaaoge
Is Ujaale ki Duniya me kho jaaoge
Meri Taarik Ratoñ ka Jugnu ho Tum
Raushni me na aane ka Waada karo…
Aañsuoñ se to sab Raaz khul Jaayeñge
Aur Khayanat Mohabbat me ho jaayegi
Mere Mehboob Tum ho Amaanat meri
Gham mein bhi Muskurane ka Wada Karo …
Main hi SHAHID nahi tum ko bhi hai pata
Baat aage badhane se kya faayeda ..
Jab nibhane ki Himmat nahi hai to fir
Saare Waade bhulaane ka wada karo …..
(Maine kaha)
Jab nibhane ki Himmat nahi hai to fir
(To aayi Aawaaz,)
Ye hai mera waada… Ho mera waada
Are, Ye hai mera waada… Ho mera waada
Basa luñga main Dil me Soorat tumhari
Sunuñga tumhe Dil ki Dhadkan bana kar
Aur,
Mere Pyar se Tum na Maayūs hona
Tumhe Ghar me laauñga Dulhan bana kar
Are, Ye hai mera waada… Ho mera waada
Ye hai mera waada… Ho mera waada
Razaa meri bhi wo hogi, jo Marzi Aap ko hogi
Tumhare har Ishaare par, Meri Gardan jhuki hogi
Are, Ye hai mera waada… Ho mera waada
Dekho, Ye hai mera waada… Ho mera waada
Utha kar meri Qabr ki thodi Mitti
Bana lena Chehre ka Gulnar ghaaza
Bache Koi Tukda Kafan ka jo Mere
Laga lena Khidki me Chilman bana kar
Ye Nazuk si, Resham si, Zulf e Moambar
Khuda jaane kya ho gayi Bhool is se
Ye paida huyi thi mahekne ki khatir
Ise rakh diya sab ne Naagan bana kar
To,
Basa luñga main Dil me Soorat tumhari
Sunuñga tumhe Dil ki Dhadkan bana kar
Are,
Mere Pyar se Tum na Maayus hona
Tumhe Ghar me laauñga Dulhan bana kar
Are, Ye hai mera waada… Ho mera waada
Abhi Kamsin ho, Naadañ ho, kahiñ kho-doge Dil Mera
Tumhare hi liye rakha hai, le-lena Jawañ ho kar
Ye hai mera waada… Ho mera waada
Jitne Shikwe-Gile haiñ Mita le abhi
Jo sunana hai unko suna le abhi
In Haseenoñ ka koi Bharosa nahi
Aaj wada kiya, Kal mukar Jaayeñge
Naaz e sad Kajkulahi uthayeñge hum
Tujh se Ahde – Mohabbat nibhayeñge hum
Apne Daman me Kaañte bhare hoñ magar,
Tera Aaghosh Phooloñ se bhar jayenge
Ye hai mera waada… Ho mera waada
(Kya Wade ko nibhaya hai samat farmmayiye,
Hazrat Allama Doctor Iqbal Sahab farmate haiñ.
Allah Tabarak Ta’ala se Shikwa karte hain)
(Allama Iqbal Sahab farmate haiñ)
SHIKWA
Ke,
Kyuñ Ziyañkaar banuñ, Sood faramosh rahuñ
Fiqre Farda na karuñ, Mahv e Ghame Dosh rahuñ
Naale Bulbul ke sunuñ aur Hamatan Gosh rahuñ
Humnawañ maiñ bhi Koi Gul hooñ ke Khamosh rahooñ
Jurrat aamoz meri Taabe Sukhan hai Mujh
ko
Aur,
Shikwa Allah se Khaakam-ba-Dahan hai mujhko
Dil se jo Baat nikalti hai asar rakhti hai
Par nahi, Quwwat e Parwaaz Magar rakhti hai
Qudsi ul asl hai Rif’at pe Nazar rakhti hai
Khak se uthti hai, Gardu pe guzar rakhti hai
Ishq tha Fitnagar-o-Sarkash-o-Chaalak mera
Aasmañ cheer ke aana lahe bebak mera
Hai baja, Sheva e Taslim me Mash-hoor haiñ hum
Qissa e Dard sunate hain ke Majboor hain hum
Saaz Khamosh hain, Faryad se Maamoor hain hum
Shakwa aata hai agar Lab pe to Maazur hain hum
Aye Khuda Shikwa e Arbab e Wafa bhi sun le
Khu-gar-e – Hamd se Thoda sa Gila bhi sun le
Thi to Maujood Azal hi se, Teri Zaat e Qadeem
Phool tha zeb e Chaman, par na Pareeshañ thi Shamim
Shart Insaaf hai aye Sahibe Altaaf e Ameem
Boo-e-Gul Phailti kis tarha jo hoti na Naseem
Hum ko Jam-eeyat e Khatir ye Pareshani thi
Warna Ummat Tere Mehboob ki Deewaani thi
Hum se Pehle tha Ajab tere Jahañ ka Manzar
Kahiñ Masjood the Patthar, Kahiñ Maabood Shajar
Khu-gar e Paikar e Mahsoos thi Insañ ki Nazar
Maanta phir Koi Andekhe Khuda ko kyuñkar
Tujh ko Maaloom hai, Leta tha koi Naam Tera
Quwwat e Bazu e Muslim ne kiya Kaam Tera
(Allah Ta’ala ki janib se Jawab aaya)
JAWAB E SHIKWA
Aql hai Teri Sipar, Ishq hai Shamsheer Teri
Mere Darwesh, Khilafat hai Jahañgeer Teri
Ma-siva-Allah ke liye, Aag hai Taqbeer Teri
Tu Musalmañ ho to, Taqdeer hai Tadbeer Teri
Ki Mohammad se Wafa Tune to Hum tere haiñ
Ye Jahan Cheez hai kya Lauh-o-Qalam Tere Haiñ
Ye hai mera waada… Ho mera waada